Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2019

ALI ALI HAIDER LYRICS -FARHAN ALI WARIS 2018 MANQABAT

Ali ali haider Ali ali haider.. Ali ali haider Ali haider, ali haider..(2) Abhi to binte asad thi tawaaf e kaaba mein Ke pattharo me Khushi se ajab hi laali thi Khuda ka shukr ke, ek samt ruk gayi warna Har ek samt se deewaar phatne wali thi Nafs e nabi, Shere khuda, Zehra ka shauhar Maula mera, Aaqa mera, Saqiye kausar Ali ali haider, haider..ali ali haider 1. Aake zameeno ko khud aflaak ne chuma Bayt e khuda wajd me kuch aur bhi jhooma Bint e asad aayi to kaabe mein bana darr Ali ali haider, haider..ali ali haider 2. Bint e asad kehne lagi maajra hai kya Aankh nahi kholta dekhe mera baccha Bole nabi bhai ko haatho'n pe utha kar Ali ali haider, haider..ali ali haider 3. Duniya ko dekhna bhi gawara nahi kiya..(2) Jab tak Ali ne dekha na chehra Rasool ka..(2) Shere khuda na banta to banta bhi aur kya Bachpan hi se jo paala (hua tha rasool ka)..(2) Ye bhi ali wali ki fazeelat hai ek badi..(2) Jo hai ali ka shajra wo shajra rasool ka Rabb ki qasam ali hai

DHADKAN BOLE ALI ALI LYRICS - FARHAN ALI WARIS 2019 MANQABAT

Farhan (ALI WARIS) (2019) Dhadkan bole ali Ali - ali, ali - ali, ali - ali, ali - ali, ali - ali, yaa ali hoo.... Ali hal ataa, ali innama, ali kulkafa, ali badshah ali bandagi, ali zindagi, ali aagahi, ali roshni Hoo.. Ishq e ali hai dil ki manzil phir kaisa ghum kaisi mushkil is naam ka kare wird mera dil, mera dil seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan maula maula, maula maula seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan dhadkan bole ali ali..(2) Tera bhi maula, mera bhi maula Hum sab ka maula ali ali seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan dhadkan bole ali ali.. dhadkan dhadkan ali ali, dhadkan dhadkan ali ali maula maula, maula maula 1. Haaan... Tooti hui deeware kaaba bol rahi hai ab tak raaz ali ki aamad ke wo khol rahi hai ab tak is ghar ka makee'n hai.. ali ali dhundho to yehi hai.. ali ali kaabe ka nagee'n hai.. ali ali seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan dhadkan dhadkan ali ali, dhadkan dhadkan ali ali maula maula, maula maula

ALI YAAD AYE LYRICS - IMRAN DATOO MANQABAT

Imran Datoo (2018) Ali yaad aaye Ya ali, ali ali ali ali, ya ali Musibat ke badal, juhi sar pe chaaye, ali yaad aaye ali yaad aaye Bhula baithe jab saare apne paraaye… 1. Har ek kehkashaa(n) mein hai unka hi jalwa Maho mehr mein bhi ali ko hi dekha Sitaare sare arsh jab jhil milaaye… 2. Udoo ko bhi mushkil se jis ne churaya Halakat se kitno ko jisne bachaya Koi jaan kar usko jitna bulaaye… 3. Payambar ne hare k ko jab aazmaya Koi bhi na khaybar ka dar tod paaya Sabhi hoke na kaam jab lawt aaye… 4. Ali ki wilayat ka munkir huwa tha Tujhe zikr e haider buraa lag raha tha Qayamat mein sajde na jab kaam aaye… 5. Sare khum bhari dopehr mein ali ko Rasool e khuda ne yu(n) mola banaya Ke jab bhi koi haaji saaye mein jaaye… 6. Jo sidra ki manzil pe pohnche payambar Koi haath parde se nikla jo baahar Anghuti ko dekha nabi muskuraaye… 7. Sitamghaar ka halq chilne laga tha Ke haybat se darbaar hilne laga tha Ali ki jo beti ne khutbe sunaaye… 8. Rasool e khuda

GAR FATEMA NA HOTIN LYRICS - IMRAN DATOO MANQABAT

Imran Datoo (2018) Gar Fatema na hoti Teri kayenat mola, na libaas e kun pehenti, gar fatema na hoti Kabhi bazme do jahaa(n) mein, nah ya ki baat chalti, gar fatema na hoti 1. Teri lam yalid ki baatein, koi maanta bhi kaise Tere laa ilaah ki hurmat, koi jaanta bhi kaise Jo banaayi tu ne duniya, tujhe kibriya na kehti, gar fatema na hoti 2. Ye kalaam-e paak saara, hai manqabat usi ki Karta hai zikr uska, khud sura e nisa bhi Tafseer hal ata ki, lafzo(n) mein kaise dhalti, gar fatema na hoti 3. Tune hi to kaha tha ek roz mustafa se Takhleeq e do jahaa(n) hai, mansoob sayyada se Main kuch nahi banata, haa(n) nasl mein tumhari, gar fatema na hoti 4. Saqlain mein ali ka, koi bhi kuffo nahi tha Saara jahaan tera, ya rab nusairi hota Sach to yahi hai ya rab, mola ali ki biwi, gar fatema na hoti 5. Is darja paak bibi, dekhi nahi koi bhi Duniya ke saamne hai, quraan ki gawahi Tatheer ki aayat, kiske liye utarti, gar fatema na hoti 6. Ye chaand aur sitaare, ye asmaa(n)

LOGO MAI SAKINA LYRICS - HASNAIN MEHDI MANQABAT

Hasnain Mehdi (2016) Logo mai sakina hu Logo mai sakina hu'n..(2) sakina hu sakina Shabbir ki dukhtar hu mai poti hu ali ki jis rukh se bhi dekho hu mai tasweer jali ki is tarha pali hu mai nigaho mein wali ki jis tarha se taqdeer ho gulshan mein kali ki haider ki angoothi ka..(2) nageena hu nageena sakina hu sakina Sab heech hai irfan ke mauzu mere aage phailaye hai islam ne baazu mere aage kya bechti hai khuld ki khushbu mere aage abbas bhi kham karte hai zaanu  mere aage bistar hai mera hazrate..(2) shabbir ka seena sakina hu sakina Kamsin hu mai dikhne mein par adam se badi hu adam bhi  bhala kya hai do aalam se badi hu tum samjho to mai sura e maryam se badi hu jis dum mein tha dum sheh ka mai us dum se badi hu asghar ka muqaddar..(2) mere maathe ka paseena sakina hu sakina Thokar se muqaddar ka muqaddar mai jagaa du hoore bhi tarasti hai mai qadmo mein jagah du shaer abu talib ka jise chahu bana du masroof e azaa jo hai unhe kyu na dua du

SAVERE SAVERE ALI KA QASIDA LYRICS - ALI TAFSEER MANQABAT

Ali Tafseer (2010) Savere Savere Musalle pe maine ali ka qasida juhi gungunaya savere savere khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko bada lutf aaya savere savere 1. Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2) to khud aaftab e shahadat ne uska muqaddar jagaya, savere savere 2. Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2) parindo ne apni zuba me qasida ali ka sunaya, savere savere 3. Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2) libaas e jina leke rizwan e jannat ne darr khat khataya, savere savere 4. Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2) chiragh e hadis e kisa apne ghar me jo maine jalaya, savere savere 5. Mai soya tha shab me ali ko bula kar ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2) mujhe khwab me roza e murtaza ka nazara karaya, savere savere 6. Namaz e mawaddat me guzri meri shab jhuka fajr me sar (paye saj

NA KOI AMAL HAIN LYRICS - ALI SHANAWAR MANQABAT

Ali Shanawar and Ali Jee (2013) Na koi amal hai Na koi amal hai na mai parsa hu..(2) meri baat tere karam se bani hai 1. {Mai kuch bhi nahi hun, magar ye sharaf hai ke rukh mere aaqa ka meri taraf hai } ..(2) areyy mai to.. bus unke darr ka gadaa hun 2. {Mere mustafa ke jo darr ka gadaa hai haqeeqat me dekho to wo badshaah hai} ..(2) teri nazre rehmat ka talib raha hun 3. {Jahan mangta hun wo tera hi darr hai mujhe naaz hai to isi baat par hai} ..(2) mere aaqa tere mai darr ka gadaa hun 4. {Bhatakne se maula ne mujhko bachaya sada majliso me hai mujhko bulaya} ..(2) teri zaat se mo'tabar hogaya hun

TU ALI KI KARTA HAI HUMSARI LYRICS - ALI SHANAWAR MANQABAT

Ali Shanawar and Ali Jee (2013) Tu Ali Ki Karta Hai Humsari Ya ali x5 Tu Ali as ki karta hi hum sari x2 Ye tere zameer ki bhol hai x2 Tujh mein ali as ki wila nahi x2 Teri bandagi bhi fazool hai Tu ali as ki karta hi hum sari x2 Yeh jo kar raha hai tu sakhtiyan,mere pyar ka hai ye imtihan Tujhe takht par bhi sakoon nahi,mujhe dhar par bhi mili amma Mein adu ko Q na adu kahoonx2 Mei zindagi ka asoo hai Mein maroon toh lab pe ho ya ali as x2 Mujhe aisa marna Qabool hai Tu ali as ki karta hai hum sari x2 Wo ali as jamala –e-inama Wo ali as jo hasil-e-kul kafan Usy kya kahoon tu khud bata, chalo tujh pe chora ye faisla Jisey haq ny baksha hai martaba,jo azal se shohar-e-batoola.s.a hai Jahan jagta toh imam a.s hai, kabhi so gya toh Rasool S.A.W hai Tu Ali as ki karta hai hum sari Ye tere zameer ki bhool hai Tujh mein Alias ki wila nahi teri bandgi bhi fazool hai Ya ali x5 

AYE MERE BARADAR E EEMANI LYRICS- ALI SAFDAR MANQABAT

Ali Safdar (2007) Aye mere baradar e eemani Aye mere baradar e eemani..(2) mat ghayr se apni yaari rakh Aye mere baradar e eemani mat momin se narazi rakh Aye mere baradar e eemani Aye mere baradar e eemani..(2) 1. Zehra ko imam e zamana ko mumkin hai isi se sadma ho mat momin se narazi rakh aye mere baradar e eemani 2. Jab baat kare na mehram se ya saamne aajaye tere tu apne nigaahe neechi rakh aye mere baradar e eemani 3. Aamal o aqaed apni jagah huliya bhi to ho momin jaisa muche kam kar aur daadhi rakh aye mere baradar e eemani 4. Nigraa'n hai imam e zamaa'n tujh par taqleed bhi kar matam bhi kar dushman pe nigahein gehri rakh aye mere baradar e eemani 5. Uff tak ki ijazat tujhko nahi maa baap se jab tu baat kare awaaz bhi apni dheemi rakh aye mere baradar e eemani 6. Ban sakta nahi qambar, fizza par soch tu hai shia kiska kuch laaj ali o batool ki rakh aye mere baradar e eemani 7. Mat radd e amal ki parwah kar ae shaer e haqq &qu

RASHKE MARYAM NAAZE SAARA SAYYEDA LYRICS - ALI SAFDAR MANQABAT

Ali Safdar (2010) Rashke Maryam naaze Saara Sayyeda rashke maryam naze sara sayyada mustafa ke dilka paara sayyada hum ko yeh maalum hai jannat me bhi aap hi kaa hai ijaara sayyada mustafa ke dilka paara sayyada hauslaa zainab ka allaho ghani aa gayi jaise dubaara sayyada mustafa ke dilka paara sayyada rotiyo par aapki hai aajtak arsh walo ka guzara sayyada mustafa ke dilka paara sayyada aate aate aapke darbaar tak bhar gaya daaman humaara sayyada mustafa ke dilka paara sayyada dono aalam me nahi jiski misaal aisa qunbaa hai tumhaara sayyada mustafa ke dilka paara sayyada ghar mei haider k hua jalwaa figan teri kismat ka sitaara sayyada mustafa ke dilka paara sayyada baadshaho ne teri aulaad se maanga bakshish ka sahaara sayyada mustafa ke dilka paara sayyada zulme duniya khamoshi se ai abad kar gayi kaise gawaara sayyada mustafa ke dilka paara sayyada

ALLAH MUJHE LASHKARE MEHDI SE MILA DE LYRICS - ALI SAFDAR MANQABAT

Ali Safdar (2010) Allah Muje Lashkare mehdi se mila de Allah mujhe lashkar e mehdi se mila de Allah mujhe lashkar e mehdi se mila de...AMEEN Aisa na ho aaka mera halmin ki sada de nazro ko meri layake didar bana de parda jo pada he meri ankho pe utha de hadi e zama karo pe purnur dikha de Allah mujhe lashkar e mehdi se mila de Allah mujhe lashkar e mehdi se mila de...AMEEN har ek nisha ko pro zalalat ka mita du har rah me ek dip sadaqat ka jala du iss khair e amal ki mujhe taufeek khuda de Allah mujhe lashkar e mehdi se mila de...AMEEN likh de meri taqdeer me maula ki ghulami hasil mujhe ho jaye ye ezaz dawami har khwaish e duniya ko mere dil se mita de Allah mujhe lashkar e mehdi se mila de...AMEEN shamil rahe lehje me sada har pe sadaqat shamshir tale me bhi karo koi ibadat ay kash mujhe fatima zehra ye dua de Allah mujhe lashkar e mehdi se mila de...AMEEN shabbir ke ansar me shamil ho mera naam jo hur ka ho mehshar me wohi ho mera anjaam kha ke

ALI IMAM MAN ASTO MANAM GHULAM E ALI LYRICS - ALI SAFDAR MANQABAT

Ali Safdar (2014) Ali imam e man asto manam ghulam e ali Ali ali ali ali ali..(4) Hai kayenaat me..(2) tauheed ki jo shamma jali Usi ke noor ka..(2) jalwa hai mustafa o ali Ali imam e man asto manam ghulam e ali..(2) 1. Karam khuda ka hua hogaye wo shere khuda bahaduri me koi hai kahan ali jaisa..(2) hasan husain ke baba..(2) wo janesaar e nabi 2. Mila jo hukm e ilahi buto'n ko tha dhaya khuda ne taaje wilayat inhi ko pehnaya..(2) ali ka ghar hai jahan..(2) aale mustafa hai pali 3. Hua ishara e haider gira dare khaibar shikare teghe ali the jo marhabo antar..(2) misaale balk wo..(2) maidaa'n me zulfiqar chali 4. Ali wali hai mujahid hai shere yazdaa'n hai huzoor ne ye kaha tha wo kulle eemaa'n hai..(2) haq unke saath hamesha..(2) aur uske saath ali 5. Kisi ne martaba e buturaab kab jaana faqat khuda o nabi ne ali ko pehchana..(2) jo puchna hai to pucho..(2) inhi se kya hai ali 6. Na dusra hai ali aur na koi aisa jari na aasmaan ne dek

ALI KE CHAHNE WALE KHUSHI AISE MANATE HAIN LYRICS - ALI SAFDAF MANQABAT

Ali Safdar (2014) Ali ke chahne wale khushi aise manate hai ali ali ali ali ali Haider..(2) Haider haider haider Ali k chahne wale khushi aise manate he lagate haideri naare jo chehre muskurate he 1. hamari bandagi maula hamari zindagi maula nabi ne kehdiya maula jisse bus he wahi maula sikhaya maa ne apni looriyo me yaa ali maula ghadeere kum ka kissa apne bacho ko sunate he 2. khula karta he haj ke darmiya khushiyo ka darwaza tawaf aisa he hota jhumta he khaanaye kaaba dilome azmate tauheed lab par ya ali maula khuda k ghar ali paida huwe sabko batate he 3. jo kehlata he momin karbala ka he wo bashinda mazalim k mukabil khoon se rehta he payinda ali par jaan dekar ye hamesha hogaye zinda shaheedo k to chehre b kafan me muskurate he 4. koi bhooda b aajaye to wo hokar jawaa uthe dilo se naaraye haider zami ta asma uthe mere har shair par dilse munafik k dua uthe jo munkir he ali k unko lafzo se jalate he 5. musalsal koshisho k batbi nakaam tha lashkar alam

MUBARAK HO YE SHAADI LYRICS - ALI SAFDAR MANQABAT

Ali Safdar (2014) Mubarak ho ye shaadi Mubarak mubarak Mubarak ho yeh shaadi....x4 Mubarak Jahan shaadi ki mehfil ho kaside ham sunate hain..x3 Jahan shaadi ki mehfil ho..... Jahan shaadi ki mehfil ho kaside hum sunate hain Mubarak ho......x2 Ali ke chahnewale khushi aise manate hain Jahan....x2 Wilawaley yaha par hain,wali ka zikr lazim hain Khudawaley yah par hain,nabi ka zikr lazim hain Aliwaley ki shaadi hain,Ali ka zikr lazim hain Koi milad karte hain Koi milad karte hain, koi mehfil sajate hain Mubarak ho...x2 Ali ke....Jahan shaadi.... Jahan ho zikr e Zehra, Aasman aisi zameen hogi Wahan mahaul me bhi pakeezgi bhi bil yaqeen hogi Ali ki manqabat hogi toh mausiqi nahi hogi Gunahon se har ek takreeb Gunahon se har ek takreeb, daamal bachate hain Mubarak ho...x2 Ali ke...Jahan shadi... Koi apni khushi ho panjetan ko shaad rakhte hain Charage karke hum farshe aza abaad rakhte hain Woh mehfil ho ke majlis karbala ko yaad rakhte hain Tabarruk bhi khila

SAB KE BAS KI BAAT NAHI LYRICS - ALI SAFDAR MANQABAT

Ali Safdar (2016) Sab ke bas ki baat nahi Zikr e ali ka baar uthana sab ke bas ki baat nahi seeno mein ye noor basana sab ke bas ki baat nahi 1. Allah, Mohammad aur Ali ne, jab chaha ye kaam kiya..(2) maghrib se suraj paltana, sab ke bas ki baat nahi seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat nahi 2. Kaun bajuz Allah ali hai, aisa shaja o shareef o kareem..(2) dushman ko marne se bachana, sab ke bas ki baat nahi seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat nahi 3. Amn ki haalat mein to shayad, neend pa bas chal jaaye magar..(2) maut ke bistar par sojana, sab ke bas ki baat nahi seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat nahi 4. Ahlebait ka daawa hai aur, un hi pe sajta jachta hai..(2) qabr se jannat tak lejana, sab ke bas ki baat nahi seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat nahi 5. Hukm e khuda se uth jaa kehkar, murde jhilate the isa(a.s.) ..(2) thokar se murdo ko jilana, sab ke bas ki baat nahi seeno mein ye noor basana, sab ke bas ki baat n

AB ZAHOOR KIJIYE IMAMA LYRICS - ALI DEEP RIZVI MANQABAT

Ali Deep Rizvi (2009) Ab zahoor kijiye imam ab zahoor kijiye imam..(2) de rahe he ab yahi sadaye sab ghulam ab zahoor kijiye imam 1. Har taraf hi zulm he fiza he ashk baar horaha he aapka hi maula intezar kar rahe he momineen girya zarozaar ashikane maula horahe he bekarar jald ho zahoor ye dua he subho shaam 2. Sarkashi ka daur he munkir he shadma zulm charsu he dhunte he sab amaa be akeeda log kar rahe he ye fugha koi rehnuma nhi he jaaye hum kaha momino ke lab pe mustakil he ye kalam 3. Deen ko mazak log yun bana rahe khudko ashikane mustufa bata rahe jo kaha rasool ne ye sab bhula rahe apni marzi deen me he khud chala rahe deen ka badal ke rakhdiya he har nizaam 4. Haq ki dasta koi nahi daba saka zikre karbala koi nhi chupa saka koi na hussain sa duniya me aa saka jo apne khoo se deene mustufa bacha saka dushmano se lene aaiye ab intekaam 5. Horahi he majliso me ab siyasate jahilo ke haath me he ab nizamate qaum muntashir he muntashir kayadate khu

AL-AJAL YA IMAM E ZAMANA LYRICS - ALI DEEP RIZVI MANQABAT

Ali Deep Rizvi (2010) Al-ajal Ya Imam Al-ajal ya imam e zamaa'n..(2) aye muntaqeem e karbala, ye waqt hai zahoor ka..(2) jo apne waqt ke maula ke intezaar mein hai..(2) khiza mein reh nahi sakte wo sab bahaar me hai jo apne waqt ke maula ke intezaar mein hai..(2) 1. Unhe zamane ki phir fikr ho nahi sakti..(2) jo dil se hujjat e akhir ki reh guzaar mein hai 2. Koi bhi haadsa unko dara nahi sakta..(2) jinhe yaqeen hai maula ke ham hisaar mein hai 3. Amal hamare khudaya qubool ho jaye..(2) imam humse ho raazi hum intezaar mein hai 4. Wohi to sacche sipahi hai aaj maula ke..(2) amal ke saath jo mehdi ke intezaar mein hai 5. Na jaane kabse ye dil muntazir hai mehdi ka..(2) nigaahe deedaye hasrat ke hi khumaar mein hai 6. Hamesha unki zabaa'n par hai al-ajal maula..(2) imam e asr ke jo dil se intezaar mein hai 7. Bata rahi hai ali deep ki mawaddat yeh..(2) hum aaj jo bhi hai maula tumhare pyaar mein hai jo apne waqt ke maula ke intezaar mein hai..(2) ay

CHALO GHADEER CHALE LYRICS - ALI DEEP RIZVI MANQABAT

Ali Deep Rizvi (2011) Chalo ghadeer chale Saji hai bazme mawaddat (chalo ghadeer chale) × 3 Agar nabi se hai ulfat (chalo ghadeer chale) × 3 1. (Khuda ne bheji wahi aaj yeh nabi keh do) × 2 Yehi hai kaar e resaalat (chalo ghadeer chale) × 2 2. (Khuda ka dee(n) bhi mukammal hua hai aaj ke din) × 2 Hai khaas mil rahi ne'amat (chalo ghadeer chale) × 2 3. (Mai jiska maula hu uske hai ye Ali maula) × 2 Yehi hai hukme risaalat (chalo ghadeer chale) × 2 4. (Nahi saqife ka band kamra ye khula maidaa(n) ) × 2 Ye sab hai rab ki inayat (chalo ghadeer chale) × 2 5. (Ali Hi logo'n bilaa fasl hai nabi ke wasi) × 2 Nahi daleel ki haajat (chalo ghadeer chale) × 2 6. (Khushi ke din bhi jise maut aa gayi logo'n) × 2 Ye apni apni hai kismat (chalo ghadeer chale) × 2 7. (Zamane bhar ko ye paighaam de raha hai ghadeer) × 2 Nabi ke baad imamat (chalo ghadeer chale) × 2 8. (Najis hai jinka lahu unse kya gila karna) × 2 Hai jinke khoo(n) me sharafat (chalo ghadeer chale

QURAN KO PADHNA HAI QURAN SUNANA HAI LYRICS - ALI DEEP RIZVI MANQABAT

Ali Deep Rizvi (2015) Quran ko padhna hai quran sunana hai quran ko padna he quran sunana na he hum iske muhafiz he duniya ko batana he 1. Jo kuch isme likha he usko samajna he kirdar ko bhi apne phir humne parakhna he bhatke huwe logo ko....2 humne samjhana he quran ko padna he quran sunna na he hum iske muhafiz he duniya ko batana he 2. Ye noore hidayat he emaan ki pehcha he ye haqqa wazifa he bakshish ka saamaa he jo hukm diya isne....2 humne wo nibhana he quran ko padna he quran sunna na he hum iske muhafiz he duniya ko batana he 3. Karna na tafarka tum quran ne roka he kya arbi kya ajmi is fark se rooka he humne khud ko achha....2 insaan banana he quran ko padna he quran sunna na he hum iske muhafiz he duniya ko batana he 4. Do chize chod raha hun apni ummat me kuch fark nhi rakhna quran aur itrat me dono se wafa karke....2 kausar pe jana he quran ko padna he quran sunna na he hum iske muhafiz he duniya ko batana he 5. Quran uthake bus juzdaan me

HUMNE AQEEDATO KA SALEEQA BHULA DIYA LYRICS - ALI DEEP RIZVI MANQABAT

Ali Deep Rizvi (2016) Humne aqeedato ka saleeqa bhula diya Humne aqeedato ka (saleeqa bhula diya)..(2) farshe aza ko khel (tamasha bana diya)..(2) Humne aqeedato ka (saleeqa bhula diya)..(2) 1. Mimbar pe khel hota hai zikre hussain se..(2) kuch waizo ne humko to (ruswa kara diya)..(2) 2. Apna liye hai saare tareeqe yazid ke..(2) darse husainiyat ko to (humne bhula diya)..(2) 3. Maqsad ghume hussain manana tha momino..(2) is ghum ko aaj humne (dikhawa bana diya)..(2) 4. Naamo ke saath saath laqab hai bohot bade..(2) kirdaar kuch nahi hai ye (sabko dikha diya)..(2) 5. Shohrat ki hawis naam ke talib hai ye sab log..(2) ghum sayyeda ke laal ka (dil se bhula diya)..(2) 6. Ankho mein ehteraam na, tazeem na adab..(2) har be adab ko shaere (aazam bana diya)..(2) 7. Milta hai ishtehaar mein payso ke awiz naam..(2) humne zameer is tarah (apna gawa diya)..(2) 8. Milad o manqabat mein ghina ka gumaan ho..(2) mahaul padhne walo ne (kaisa bana diya)..(2) 9. Masjid khud

HUM ALI KE DEEWANE HAR ADAA GHADEEERI GAI LYRICS - AKHTAR HUSSAIN MANQABAT

Akhtar Hussain (2013) Hum ali ke deewane har adaa ghadeeri hai Hum ali ke diwane har adaa ghadiri hai ibteda ghadiri hai, inteha ghadiri hai Ambiya imamo ka silsila ghadiri hai padhlo aaya e balligh khud khuda ghadiri hai Aaj bhagne wale raasta na payenge raasta na payenge aaj bhagne wale Aaj bhagne wale raasta na payenge.. Maymana ghadiri hai, maysara ghadiri hai Naam leke haider ka hum ye jaan lete Hum ye jaan lete hai naam leke haider ka Kaun hai saqifayi, kaun sa ghadiri hai Usko kya darayegi mushkile zamane ki mushkile zamane ki usko kya darayegi usko kya darayegi mushkile zamane ki Karbalayi dil jiska, hausla ghadiri hai Khud hi uske qadmo mein badhke aayegi jannat badhke jisko haider ne, kehdiya ghadiri hai Kufr aur batil ki bus saqifa manzil hai Bus saqifa manzil hai kufr aur batil ki Kufr aur batil ki bus saqifa manzil hai Haq pasand logo ka, raasta ghadiri hai Dekh kar mujhe akhtar, di sada ye rizwaa'n ne di sada ye rizwaa'n ne, dekh ka

LEKE MAULA KA NAAM ZAINAB KA LYRICS - ABIDI HAIDER ABIDI MANQABAT

Abidi Haider Abidi (2018) Leke maula ka naam zainab ka Leke maula ka naam zainab ka likh raha hu kalam zainab ka Sub pe wajib hai saath zahra ke karna bas ehteram zainab ka Farsh e majlis hussain maula ki hai ye sub intezaam zainab ka Ambiyao'n se hur ye kehne laga mujhko aaya salam zainab ka Mashwera deti hai imamo ko allah allah maqam zainab ka Naaz tujhko bhi hoga kismat pe tu bhi banja ghulam zainab ka Kaa'np utthega qalb batil ka sunke zor e kalam zainab ka Sar se chadar na hatne paye kabhi sunlo behno payam zainab ka Padhta rehta hu mai qasida zaheer raat din subho sham zainab ka

WO MERA HUSSAIN HAI LYRICS - NASIR AGHA MANQABAT

Nasir Agha (2012) WO mera Husain hai Zehra ka noor e ain hai, qalb e nabi ka chain hai, Quraa'n ki zeb o zain hai, Jo zeenat e kaunain hai, Jo maqsad e daarain hai, Jo maalik e saqlain hai. WO mera Husain hai, WO mera Husain hai. 1) Jo saahib e kirdaar hai, Jo mamba e anwaar hai, Jo kaashif e ashraar hai, Jo noor ka meenaar hai, Jo deen ka saalaar hai, Jo quld ka sardaar hai. WO mera Husain hai. 2) jis ki zubaa Quran hai, eemaan jis ki Jaan hai, Jo soorah e rehmaan hai, Allah ki burhaan hai, Jo adl ki meezaan hai, rehmat ka Jo toofaan hai. WO mera Husain hai. 3) tatheer me shaamil hai Jo, quraan ma aamil hai Jo, Islam ka haasil hai Jo, toofaan me saahil hai Jo, Har panjatan ka dil hai Jo, irfaan ki manzil hai Jo. WO mera Husain hai. 4) Jo saahib e tauqeer hai, Jo lauh ki tehreer hai, Jo arsh ki tanveer hai, Jo ibne qaibar geer hai Jis ki nazar shamsheer hai, Jo maalik e taqdeer hai. WO mera Husain hai. 5) Jo hai naqeeb e deen e haq, hai Jo muneeb e

MERE MAULA MAI LIKHU TERI FAZILAT KAISE LYRICS - NAYAB HALLORI

Nayab Hallori (2003) Mere maula mai likhu teri fazilat kaise Mere maula (a.s.) mai likhun teri fazilat kaise bada mushkil teri midhat ka safar lagta hai.....2 log keh de na nusairi yahi dar lagta hai mere maula (a.s.) mai likhun teri fazilat kaise Teri chaukhat par sitare ne salami di hai.....2 tere bacchon (a.s.) ki farishton ne gulami ki hai kulle imaan hai jibreel ka ustad hai tu had yeh hai kaunain ke sardaar ka damaad hai tu ya ali (a.s.) tere ta'arruf me koi kya bole teri thokar ka ishara ho to murda bole mere maula (a.s.) mai likhun teri fazilat kaise Ek hi waqt me chalees(40) jagah par maujood.....2 har nafas tujh me jhalakte hai sifate mabood chaand suraj bhi samajhte hai ishara tera zindagi aur ajal dono pa kabza tera ya ali (a.s.) deen e payambar ka nigeh baan hai tu jis pe allah (sw.t.) ka dhoka ho woh insan hai tu Putla adam ka banaya hai tere hathon ne.....2 naksh e kaunain tarasha hai tere hathon ne sochta hun ke nusairi ki khata hi kya ha

WO MERA ALI MERA ALI MERA ALI - NAYAB HALLORI MANQABAT

Nayab Hallori (2012) Wo mera ali mera ali mera ali hai Nabiyo ka nigehbaa'n hai jo waliyo ka wali hai wo mera ali mera ali mera ali hai Jisse mere sarkaar ki, sarkaar chali hai..(2) wo mera ali... Nabiyo ka nigehbaa'n hai jo... 1. Ye jab bhi the jab khilqate adam bhi nahi thi hadd ye hai ki buniyade do aalam bhi nahi thi jiske liye qur'an me lafz e azali hai 2. Yu hi nahi aate hai malak karne gadaayi thokar me zamana hai to mutthi me khudai taqdeer e ataa jiski kaneezi me pali hai 3. Jis rang ki baatein ho usi rang me dekho hai marde khuda kaun kisi jang me dekho toofan ke seene pa bhi jo shamma jali hai 4. Jab hogaye napaak badan rooh se mehroom tab marhab o antar ko haqeeqat hui maloom wo jiski nazar qehre ilahi me dhali hai 5. Nayaab wazifa hai ye fariyad nahi hai juzz nade ali koi sabaq yaad nahi hai jannat se hasee'n jiske dularo'n ki gali hai wo mera ali mera ali mera ali haii....

ILAHI ALMADAD HAIN RASTA DUSHWAR PAANJ ME - SALEEM BALRAMPURI

Saleem balrampuri (2013) Ilahi almadad hai rasta dushwar pani me Ilahi Al-Madad hai Rasta Dushwar paani me Qadam Rakhta nahi hai Fikr ka Rahwaar paani me Hai aisi baher jis per ashk bahre-e- bekaran to hai Radeef aisi ke doobe Qafiya Har baar Panai me Jahan Har Misra aata ho libes-e- tashnagi pahne wahan mumkin nahi sarebiye Ash'aar paani me Parakhna aag me sone ka sunte aaye the lekin Ali(a.s) ke laal Ka Parkha gaya kirdaar paani me Muqabil sher ke aate jo pahredar Paani me To hote ek ke do, aur do ke Char paani me Pighal jata hai pathar tashnagi ki aag me pad kar bikhar jaati hai jaise Ret ki deewar pani me Suboot-e-qabzaye saqqa hai dariya per abhi Rauza Batata hai utar kar saya-e-deewar paani me

WO BASHAR SAHIB E KIRDAR NAZAR AATA HAI - SADIQ ASGHAR RIZVI. MANQABAT

Sayyed Sadiq Asghar Rizvi (2018) Wo bashar sahib e kirdar nazar aata hai Wo bashar sahib e kirdar nazar ata hai. Jo bhi sarwar ka azadar nazar aata hai. Kehta rizwan hai jannat se yahi Shaamo saher-2 ha yahi khuld ka haqdaar nazar ata hai. Wo bashar sahib e kirdar nazar ata hai..... Naukri jo koi shabbir ki kar leta hai-2 Fir wo naukar kaha sardar nazar aata hai. Wo bashar sahib e kirdar nazar ata hai.... Aun qaasim ho mohammad ho ali asghar ho-2 Bachha bachha tera jarrar nazar aata hai. Wo bashar sahib e kirdar nazar ata hai.... Ran me abbas ko dekha to ye boli Fauje-2 Saniye haidar e karrar nazar ata hai. Wo bashar sahib e kirdar nazar ata hai..... Talib e bayyate fasiq ne hai dekha jab jab-2 Bas usey shah ka inkar nazar ata hai. Wo bashar sahib e kirdar nazar ata hai..... Usko mil jati hai zahra ki duayen dekho-2 Jo bhi ghazi ka alamdar nazar aata hai. Wo bashar sahib e kirdar nazar ata hai...... Laao beemar ko abid ke shifakhane me-2 Fir kaha de

ZIKRE KHUDA HO ULFATE HAIDER KE SATH - SADIQ ASGHAR RIZVI MANQABAT

Sayyed Sadiq Asghar Rizvi (2018) Zikre Khuda Zikre Khuda Ho Ulfate Haider Ke Sath Sath-2 Zikre Ali Karo Ghame Sarwar Ke Sath Sath-2 Tum Zindigi Sawar Lo Muqadar Ke Sath Sath. Zikre Khuda Ho...... Ghar Me Tumhare Ayngi Zainab Hussain Bhi. Asghar Ka Taskeyra Kro Akbar Ke Sath Sath. Zikre Khuda Ho...... Ishqe Ali Me Daar Se Mesum Ne Diya Payam. Har Jaa Hai Zikre Mula Ka Mimber Ke Sath Sath. Zikre Khuda Ho...... Jisney Sataya Zahra Ko Baghey Fidak Cheena. Dozkh Me Sidhey Jangey Qafir Ke Sath Sath. Zikre Khuda Ho....... Kya Kya Laqab Hai Aap Ke Mula Ali Merey. Mushkil Kusha Ho Fatahey Khaibar Ke Sath Sath. Zikre Khuda Ho..... Mashoor Hoga Hasher Me Jannat Me Tu Taqi. Mesum Kumail Buzaro QambbarKe Sath Sath. Zikre Khuda Ho......

HASHIM KA CHAND - SADIQ ASGHAR RIZVI MANQABAT

Sayyed Sadiq Asghar Rizvi (2018) Hashim Ka Chand Hashim Ka Chand Jayse he nikla furat par. Dhudhe se phir milana andhera furat par. Lashkar yazide fuj ka qun bhag ne laga. Kya kardiya dileyr ne hamla furat par. Hashim Ka Chand Jayse he nikla furat par...... Sajde me sar ko rakh do ye kehti hai alqama. Lo agaya wafao ka kaba furat par. Hashim Ka Chand Jayse he nikla furat par..... Kabzey me leyke neher ko haider ke lal ne. Parcham khuda ke din ka gada furat par. Hashim Ka Chand Jayse he nikla furat par....... Gada alam jo neher Pe dhusman ye keh utha. Aya hai murtuza ka sarapa furat par. Hashim Ka Chand Jayse he nikla furat par........... Ruhe e ali ye kehte hai khush hokey marhaba. Abbas tera hota hai charcha furat par. Hashim Ka Chand Jayse he nikla furat par.......

KYA DENGI SAKINA - SADIQ ASGHAR RIZVI MANQABAT

Sayyed Sadiq Asghar Rizvi (2018) Kya Dengi Sakina Kya Puchtey Ho Hamse Ke Kya Deyngi Sakina. Begdi Hui Taqdeer Bana Deygi Sakina. Kya Puchtey Ho Hamse Ke.... Baccho Ko Alamdar Banao Meri Mao-2 Ghazi Ke Kasam Tumko Dua Deygi Sakina. Kya Puchtey Ho Hamse Ke.... Poti Ali Ke Sahebey Eyjaz Hai Yazeed-2 Namo Nishan Tera Mita Dygi Sakina. Kya Puchtey Ho Hamse Ke .... Khamosh Hai Bass Marziye Maboot Pe Warna-2 Dariya Ko Kheyma Gha Se Mila Dy Gi Sakina. Kya Puchtey Ho Hamse Ke... Pani Pilaa Ke Dykh Lo Asghar Ke Nam Pe-2 Kausar Ke Jaam Tumko Pila Dygi Sakina. Kya Puchtey Ho Hamse Ke... Zainab Ne Diya Khutba Hai Lehjy Me Ali Ke-2 Abbas Ke Lehjay Me Suna Dygi Sakina. Kya Puchtey Ho Hamse Ke.... Ghabra Nahi Tu Garmiye Mehshar Se Ay Zahir-2 Abbas Ke Parcham Ke Hawa Dygi Sakina. Kya Puchtey Ho Hamse Ke.....

ZULM KE TEEGH UTHI - SADIQ ASGHAR RIZVI MANQABAT

Sayyed Sadiq Asghar Rizvi (2018) Zulm Ke Teegh Uthi Zulm ke teegh uthi sabr ke shamshir chali. Banke zahra ke duaayaye tathir chali. Teri Aukat Batane ke liye sun lye yazid. Lehjaa haider ka liye zainabye dilgir chali. Zulm ke teegh uthi... Wo Kataa Zulm ka sar wo hua seena chalni. War Pe War Hua Jab Talak takrir chali. Zulm ke teegh uthi....... Maqsade Hazrate shabbir bachaney ke liye. Leyke Ghazi ka alam shah ki hamshir chli. Zulm ke teegh uthi....... Kaarey shabbir ko anjaam diya zainab ne. Apne Hatho Pe Liye Din Ki Taqdir Chali. Zulm ke teegh uthi..... Wo Khud To Qaid Se AzadHo Gaya Ay zahir. Qaid Zalim Ko Kiye Paun Ke Zanjer Chali.

WAH HAMSHAKLE NABI - SHADMAN RAZA 2006 MANQABAT

Shadman Raza (2006) Wah hamshakle nabi Wah hamshakle nabi.....x4 Akbar jamaal kudrat e parwardigar hai Akbar khudai husn ka aaina daar hai. Laila ka maan ibne Ali ka waqaar hai. khaaliq ko jispe naaz ye wo shahkar hai. Jiska nahi jawab ye wo lajawab hai. Ye hubahu shabih e risalat ma'aab hai. Wah hamshakle nabi.....x4 Ho iske rubaru bhala kya daaghdaar chaand Muh abr me chhupake chale barbar chaand Waise muhavre me to hote hai chaar chaand Akbar ne karbala ko lagaye hazaar chaand Paya hai chehra misle payambar isiliye Rakha gaya hai naam bhi akbar isiliye Wah hamshakle nabi.....x4 Naa subho hai naa raat barabar ka waqt hai Ibne Ali ke mehre munawwar ka waqt hai Tafseer surah e rukhe anwar ka waqt hai Ye zikr hazrat e ali akbar ka waqt hai Tauqeer badrahi hai dar e buturaab ki Aamad hai phir jahaa'n me risalat ma'aab ki Wah hamshakle nabi.....x4 Shabbir ko wirasat e khairul wara mili Abbas ko shuja'at e shere khuda mili Qasim ko azmate h

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa

AAP KYA JANE FATEMA.SA KYA HAIN - SHADMAN RAZA 2008 MANQABAT

Shadman Raza (2008) Aap kya jaane Fatema kya hai Syeda, Tahira, Abida, Zahida, Taiyaba, Raziya, Marziya, Adila, Sajida Hura Batool e O Zara x2 Surah e Qadr ka yeh nara hai Ap kya janeey Fatima kya hai Jis ko Mukhtar e amr kehthay hain Jis ki ratoon ko qadr kehthay hain Subho ko jis ki Fajar kehthay hain Shaam ko jis ki asr kehthay hain Har zamanay pay jis ka qabza hain Ap kya janey Fatima kya hai x2 Qadr jis ko sada qaza nay kaha Syeda jis ko Murtaza nay kaha Apni maa jis ko Mustafa nay kaha Kanzay Maghfi jisay khuda nay kaha Jis ki chokhat pay kaba jhukta hain Ap kya janey Fatima kya hai x2 Jis kay dar say ho hal ata ko ata Inaman ki aman ka hai gosha Kul kafa jis ko khud gawaha bana Fateha kar rahi hai jis ki sana Pura Quran hee qasida hai Ap kya janey Fatima kya hai x2 Jis ki chadar ko asmaan kahiye Apnay bachon ka sahiban kahiye Isko alhumd ka nishaan kahiye Hushr kid hoop main amaan kahiye Kulay imaan ka jo musala hai Ap kya

ALLAH EK HAJ PANJATAN PAANCH HAIN - SHADMAN RAZA 2008 MANQABAT

Shadman Raza (2008) allah ek hai panjetan paanch hai Allah ek hay,Panjetan panch hain Imam barah hain Masoom chohda hain..(3) 1) Pehlay Imam Ali a.s hain Laqab jin ka Murtaza..(2) aur dosray Hassan a.s hain Laqab jin ka mujtaba..(2) aur teesray Hussain a.s Shahanshah e karbala Maa Fatima s.a hain jin ki Laqab jin ka Syeda s.a 2) Chohtay Imam Ali hain Laqab Zain ul Abideen Kehtay hain jin ko Syed e Sajjad Momineen aur ek laqab hay Abid e bemmaar o dil hazeen sajjdon say jin kay ab bhi Munawar hay yeh zameen 3) Hain Panchway Imam Muhammad hay jin ka Naam Baqar laqab say jantay hain in ko khass o aam hay ilm meray panchway aqa ka bhi Ghulam in ko salam kertay hain jibrail subah shaam 4) Hain momino kay Jafar e Sadiq a.s Chatay Imam Jin ka kalaam lagta hay Quran ka kalaam sadiq Imam ko tou hay sach bolnay say kaam hay Fiqh e Jafri ki Shariyat inhi ka naam 5) Aur saathwain Imam ko Kazim a.s laqab mila Mosa hay naam Jafar e sadiq a.s kay laal ka Jo apni pori zindag

ZAHRA KI HAI RUKHSATI - SHADMAN RAZA 2009 MANQABAT

Shadman Raza (2009) Zehra ki hai rukhsati bane hain dulha ali..(2) zehra ki hai rukhsati..(2) 1. Ghar me aayaate haq ka ujaala huwa noor arz o samaa ka dobaala huwa dekho qur'aan khud shaahwaala hua mil gayi deen ko ek nayi zindagi 2. Jibraeele ameen ki munaadi hai ye dekho ek shaahzaadi ki shaadi hai ye aur shaadi magar kitni saadi hai ye na hai israaf aur na dikhaawa koyi 3. Kaisa saada jahez is dulhan ko mila ek takya o charkha aur ek aasia ek khajooro ke patton ka bistar bhi tha kooza o mashk aur ek suraahi mili 4. Aqde zahra o haidar ki ye sunnatein momino tumpe bhi farz hai itaa'atein jaise andaaz zahra ki shaadi ke hain us taraah byaah do apni beti ko bhi 5. Aqd ke aasmaan par fasaane bhi hain huro gilmaan ke lab par taraane bhi hain sher kuch apne hamko sunaane bhi hain momino tum bhi dohraawo misraa yehi 6. Baithi binte payambar amaari me hain saath huraane jannat sawaari me hain phul jannat ke phulon ki kyaari me hai khushbu hai aaj p

GAR HO MERI HAYAAT MERE IKHTEYAAR ME - SHADMAN RAZA 2009 MANQABAT

Shadman Raza (2009) Gar ho meri hayaat mere ikhteyar me Al-ajal al-ajal ya imam e zamana al-ajal..(2) gar ho meri hayaat mere ikhteyar me, sadiya guzar dunga tere intezar me maula ab aap pardae ghaibat uthaiye, do din to zindagi ke guzaru bahar me 1. Is waqt garche adl se khali zameen hai mazloom ke makaan me zalim makeen hai duniya sitam sha’ar hai maghloob deen hai maula zaroor aaenge mujhko yaqeen hai mujhko yaqeen hai..(2) aaegi kuch kami na mere aitbaar me sadiya guzar dunga tere intezar me gar ho meri hayaat mere ikhteyar me, sadiya guzar dunga tere intezar me 2. Sab log khwahishat ke ab hogaye ghulam Iblisiyat ka daur hai be pardagi hai aam peene lage lahu hai to khane lage haram kehta hai dil ke bus abhi aajaiye imaam aajaiye imaam..(2) gar der hai mashiyat e parwardigaar me sadiya guzar dunga tere intezar me gar ho meri hayaat mere ikhteyar me, sadiya guzar dunga tere intezar me 3. Mushkil ke waqt humne pukara hai ya husain ghaibat ke imtehaa me sahar

BAAP -SHADMAN RAZA 2010 MANQABAT

Shadman Raza (2010) BAAP Din dhale jab karke mazdoori Raza aata hai Baap..(2) Dekh kar hanste hue bachon ko sukh pata hai baap Samne Ankhon k jis bete ke mar jata hai baap Lamha lamha zindagi bhar usko yaad ata hai baap Jane kitne khwab karte hain safar bache ke sath Ghar se pehli bar jab school le jata hai baap Umar bhar rehti hai us bete ke dil me ik khalish Jab tarakki dekhne se pehle mar jata hai baap Thaam kar ungli jise chalna sikhaya muddaton Ek din uske sahare ko taras jata hai baap Jab numaya kamiyabi chume bete ke qadam Nazr dilwati hai maa, sajde me gir jata hai baap Zindagi bhar chalta rehta hai mashinon ki tarah Maut ki godi me ek din thak k sojata hai baap Rote rote bus yahi kehta hai wo haye Hussain Jab kabhi apne jawan bete ko dafnata hai baap Koi un bachon se puche kya hai shadi ka maza Byaah ki tareekh rakh kar jinki mar jata hai baap Roz e ashura bana deti hai maa saqqa hume Ek chota sa uthane ko Alam lata hai baap Roke zainab s.a ne

ALLAH MOHAMMAD ALI FATEMA HASAN HUSSAIN - SHADMAN RAZA 2010 MANQABAT

Shadman Raza (2010) Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain Auzo billahe minash shaitanir rajeem. Bismillah hir rahman nir raheem. Innama yuridullaho le yuzheba ankomur rijsa ahlalbaite wa yo taherakum tath heera.... Allahumma sale ala mohammadin wa aale mohammad Bachho tum ye yaad rakho Momeeno tum ye yaad rakho Bade khuda inko samjho Subho inhi ke naam se ho Shaam aaye to dua karo Aankho me ho kajal ki tarah..x2 Paaye haider ki naalain Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x3 Jaabir se ye rawaet hai Jisko zehra se nisbat hai Ek din gharme aaye nabi Bole ke zaufe tabiyat hai Paas mere aao zehra...x2 Taake mile kuch dil ko chaen... Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2 Bole nabi meri dukhtar Le aao yamani chadar Jisko odh ke letu mai Paaye suku'n qalb e muztar Dekhke waalid ki surat...x2 Dukhi hui ummul hasnain.... Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2 Rida jo odhke lete nabi Kuch hi der na guzri thi Ghar me aaye maula hasan

BAE BISMILLAH - SHADMAN RAZA 2011 MANQABAT

Shadman Raza (2011) Bae bismillah Fatima zehra ki aala shaan hai Zauja e haider, nabi ki jaan hai Ba e bismillah ali hai ba khuda Mamba e sharmo haya hai fatima Awliya ka baadshah hai murtuza Dahr me khairun nisa hai fatima Ba e bismillah.... 1. Ye ummul aaimma hai, Maalika arzo samaa ki hai Jo marzi fatima ki hai Wohi marzi khuda ki hai Mustafa be izn ghar aate nahi Sajdagah e ambiya hai fatima Ba e bismillah... 2. Hai baba paak zehra ke Hai do bete bhi zehra ke Wo shauhar fatima ka hai Jo is chadar ke hai niche Arsh walo se khuda hai keh raha Markaz e bazme kisa hai fatima Ba e bismillah... 3. Suna bhi hai padha bhi hai Kitabo me likha hai ye Aqeedat me teri chadar Nabuwat ki dawa hai ye Odhte hai isliye sarwar ise Teri chadar me shifa hai fatima Ba e bismillah... 4. Wo dafnate the zinda hi Samajh ke betiya zehmat Teri aamad ne batlaya ke hai ye betiya rehmat Dahr me har ek beti ka martaba Tere aane se mila hai fatima Ba e bismillah...

YE MERI ZINDAGI MAULA KE NAAM HAI - SHADMAN RAZA 2011 MANQABAT

Shadman Raza (2011) Ye meri zindagi maula ke naam hai Maula maula mere maula, Mere maula maula maula.. Maula maula mere maula maula Mere maula maula maula... Unke naam se mera duniya me naam hai Ye meri zindagi maula ke naam hai Unke naam se... 1. Naam o nisha kuch mai rakhta na tha Par aap ne kya se kya kar diya Karta raha zikr mai aapka Badhta raha yu mera martaba Aapki khake qadam mera maqaam hai Ye meri zindagi maula ke naam hai 2. Nauha gari, shayari, zakiri Saari hai ye khidmate aapki Na jaho mansab na daulat kabhi Beshak kisike na kaam aaegi Kaam aanewala bus maula ka naam hai Ye meri zindagi maula ke naam hai 3. Maula tere naam ki barkatein Humko jo hasil hui rif'atein Ye maal kya, kya hai ye daulatein Tu humse khush ho ye hai jannatein Teri miljae riza rab ka in'aam hai Ye meri zindagi maula ke naam hai 4. Hu mai faqat tere darr ka ghulam Chaukhat pe teri rahunga mudaam Nauha padhu aur bheju salaam Khidmat azaa ki hai bus mera kaam

ALI KA DARWAZA - SHADMAN RAZA 2011 MANQABAT

Shadman Raza (2011) Ali ka darwaza Bhala azim hay kitna, Ali ka darvaza (2) Fazilato ne bhi dhoundha, Ali ka darvaza 1. Khare the log bohot intezar mé lekin (2) Sitara dekh ke utra Ali ka darvaza 2. Nabi ke shehr me tum kis tarha se jaoge (2) Ke raaste me padega Ali ka darvaza 3. Qassam hai khanae Kaba tere tabassum ki (2) Khuda ke ghar me bhi dekha Ali ka darvaza 4. Halakato se bachane ke vaste khud ko (2) Falan falan ne bhi dhoundha Ali ka darvaza 5. Mukhalefin bhi ye soch kar yahan pohche (2) Kabhi na band milega Ali ka darvaza 6. Rasool jab shabe meraj arsh par pohche (2) Faraze arsh pe dekha Ali ka darvaza 7. Jo dushmanane Ali hay, kahan vo jaenge (2) Dare jina pe hay likkha Ali ka darvaza 8. Bilal Buzaro Salman sabhi khade the vahan (2) Jo mayne ghor se dekha Ali ka darvaza   

YE FATIMA BHI HAIN ZAHRA BHI HAIN - SHADMAN RAZA 2011 MANQABAT

Shadman Raza (2011) Ye Fatima bhi hai Zehra bhi hai yaa raaziya yaa marziya yaa tahera yaa sayyada 2 yeh fakhre aamina sarmaayae rasool bhi hai yeh fatema bhi hai zahra bhi hai butool bhi hai 3 har ek sawaal ka behtar jawaab zinda hai sadaaqato ka mukammal nisaab zinda hai bahaare baaghe risaalat ma aab zinda hai khuda ke bando khuda ki kitab zinda hai bayaan azmatei khaatoone qaaenat suno mubahele ki zubaan se khuda ki baat suno kaha jo bizato minni toh ho gaya maalum dile rasul ki surat hai fatema maasum kamaale ilm se aisa bana diya maqsoom naseeb ho gaye 11 imamato k nuzool waqaar binte nabi me na kuch kami aaye khuda ke ghar mei isi waaste ali aaye ali ne shukr se mazdooriyo me din kaate nabi ki beti ne chakki me khusk jao peese ali ne baago me paani diya jihaad kiye nabi ki beti ne faako me bhar diye sajde jihaad nafs ka maidaa ali ke haath raha kamaale sabro riza faatima k saath raha wo ek chota sa ghar poori kaaenat ka dil woh ek hujra imamat ke n

AAJ ZAHRA KI SHADI RACHI HAI -SHADMAN RAZA 2011 MANQABAT

Shadman Raza (2011) Aaj zehra ki shaadi Rachi hai Dhoom ahmed ke ghar me machi hain Aaj zahra ki shaadi rachi hain...x2 Marhaba kaisi mehfil saji hain Aaj...x3 Boli qudrat jina ko saja do Nare dozakh ko jaldi  bhuja do Fatema aaj dulhan bani hain Aaj...x2 Aadam o Nuh late hain sehra Aur Dawood gaate hain sehra Daste Haidar me mehendi lagi hain Aaj..x2 Puche Sara O Mariyam kaha hain Bole Hawwa ke dono yaha hain Puri jannat yah aa gayi hain Aaj..x2 Khush bohot hain khuda ka payambar Par hain aankhon me ashkon ke sagar Ke khatija ki yaad aa gayi hain Aaj..x2 Aaj Jibreel hain raah khade hain Leke kya jaaon yeh sochte hain Wahi toh khud utarne lagi hain Aaj..x2 Kashtiyan saj rahi hain najati Aayatein ban rahi hain barati Hamd leke alam chal rahi hain Aaj...x2 Yeh kaneezon ne aake kahi baat Aao dekhe hain nazdeek barat Ya Ali ki sada aa rahi hain Aaj..x2 Rat jagah Surahe Qadr kar le Noor daman me bal fajr bhar le Innama ko taharat mili hain Aaj.

IMAM E ZAMANA KA ASHIQ BANA DE - SHADMAN RAZA 2011 MANQABAT

Shadman Raza (2011) Imam e zamana ka ashiq bana de Khudaya mukadar mera yun jagade Imame zamana ka aashik banade Meri maa ki koshish ka usko sila de Imame zamana ka aaashiq banade 1. Karun zikr zehra ka tahir banun me imaame zamana ka nasir banun me meri maa ki koshish ka usko sila de imame zamana ka aashiq banade 2. Har ek dilko azme hussaini aata ho har ek jaa ko jooshe khuaini aata ho gutan ki fazao me taza hawa de imame zamana ka aashiq banade 3. Zamane ki chaalo se ghabra gaya hun gunaaho ki duniya se tang aagaya hun gunaaho ki zindaa se mujhko chuda de imame zamana ka aashiq banade 4. Aata kar jawano ko akber ki himmat mille mere bacho ko asger ki himmat khudaya unhe muskurana sikhade imame zamana ka aashiq banade 5. Meri maa ki khwahish fidaye hussaini he ghutti me meri aazaye hussaini aaza par me jaa dun mujhe hausla de imame zamana ka aashiq banade 6. Amal se hi apni gawahi likhun me imame zamaa ka sipahi banun me shahadat k raste pe chalna

KHUSH HAIN ZAHRA KHUSH HAIN ALI - SHADMAN RAZA 2012 MANQABAT

Shadman Raza (2012) Khush hai zehra khush hai ali Ali ali ali-2 Ali ali-2 Khush hain zehra khush hain ali-3 Khushi muraan hai khush hai payambar, isse badi kya hogi khushi Khush hain....2 Arsh khuda ka jhoom raha hai aqd e ali o zehra hai Aanchal surah e kausar ka hai aur rehmaan ka sehra hai Kaun o makaan baraati ismein-2 Hogi na shadi isse badi Khush hain...2 Raazi hai allah yaqeenan azmate zehra ka hai makaan Chehra e hyder dekh rahe hain saare nabi aur saare imam Khushi muraan hai khush hai payambar.......-2. (hoooo ooo oo) Isse badi kya hogi khushi Khush hain...2 Bol ke quraa(n) ki godi mein bolta surah e kausar hai Kitne hai masroor payambar dushman inka abtar hai Jin o malak kehte hain (mubarak-4) -2(aaaa) Ghar mein ali ke pehli khushi Khush hain...2 Zikr e ali bhi mimber se ho aur quraan ki tilawath bhi Sunnath e moula par bhi amal ho aur shabbir ki midhath bhi Roze namaaz ki pabandi hai-2 Majlis o matam hai jaari Khush hain...2 Nusrath e mou

MAULA ZAHOOR KIJIYE DIL BEKARAR HAI - SHADMAN RAZA 2013 MANQABAT

Shadman Raza (2013) Maula zahoor kijiye dil bekarar hai maula zahur kijiye dil bekarar hai sadiya guzar chuki hai bhot intezaar hai mere maula 4 andar ki karbala me rasad chaye hame ai warise hussain madad chaye hume yeh ruh ki sada hai yeh dil ki pukar hai jo akhri imam k jitna kareeb hai usko zahur utna hi lagta kareeb hai sahil woh saamne hai safina yeh paar hai karni hai kaenat hai ab adl se wasi awaz de raha hai tumhe jannatul baqi bus muntazir imam ka harek mazaar hai ilmo amal ke sath azadar chaye nusrat ke wastey bhi toh kirdar chaye apne amal ka aadmi khud zimmedar hai dunya ki khwahisho se pare bhagte raho nazdik hai zuhure sahar jagte raho nazdik fatema ki chaman ki bahaar hai fathe mubi me legi anaao ki maat se bahar nikal ke aaiye andar ki zaat se aamaal pe faqat hamare in hisaar hai maula ki intezar me hai sari qaenat hum muntazir imam ke hai faqr ki hai baat jisme ke mujtahid hai yeh woh kataar hai ojhal nazar se sher khuda ka woh sher

YA ALI YA ALI HAIDER HAIDER - SHADMAN RAZA 2017 MANQABAT

Shadman Raza (2017) Ya Ali Ya Ali Haider Haider Bande haidaram manu aazala misaram Haame ifteqaar e meene man kalbe haidaram Aye maah e Shab haaye man Zikrat rabbaano ye man Soz o qudaazami raaz o niyaazami asl e namaazami ya Ali Thaneen e saazami qibla e raazami tuchaar e saazami ya Ali Ya ali ya ali haider haider..(4) Aaa... noor e chashme paighambar jaan e khatoone mehshar fakhre shabbir o shabbar aye mere maula haider khaali jholi phaylaye jo tere darr par hai aaye na jaaye khali kabhi sawali aye mere waali jaha'n tera darr hua mayassar bana muqaddar Tu hai wo auj e fazilat hai qael jiski mashiyat jo tere bughz ki surat ki thi haris ne jasarat jab tere bughz mein bola na jaacha aur na tola harab pe waari ne aisi taari ki sang baari kahe hawadis hai kon waris pada hai haris Tha shaita'n ka karinda tha  jo bazahir zinda jab banke jaali murda nikla dozakh ka kunda uff ye haider ki haibat padh di namaz e mayyat ajal ka phanda lagake zinda pad

MUNAZERA - SHAHID BALTISTANI MANQABAT 2012

Shahid Baltistani (2012) Munazera Ek mufti muje dosto kal raat mila tha mehdi ka mukhalif tha ye chehre pe likha tha Imaan pe mere zarb lagane pe tula tha mai uske irade pe bohot dil me hasa tha Kehta tha ye ghaybat muje afsana lage hai Maine kaha tu bhi muje deewana lage hai Har chiz nazar aaye zaruri nahi mufti Hoore bhi nahi dekhi hai imaan hai phir bhi Ashabe kahf per bhi tuje shak nahi koi Phir kyu na zahanat bhi hase aql pe teri Tu jisko gumaan maan raha hai wo yaqeen hai Shaytan ka qael to hai Mehdi ka nahi hai Ye Sunke hi marne laga wo bugz ka maara baaz aaya nahi fir bhi wo shaytan ka pyara Ek baar kiya fir use zillat ne ishara Aur haath rakhe dil pe wo chillaya bichara Is waqt bata mujko tera mehdi kaha hai Maine kaha Allah jaha hai wo waha hai Ye sunke wo kehne laga tauba ha re tauba Mehdi ko tu Allah ke jaisa hai samajta Maine kaha Padh likh ke bhi jaahil hai tu beta Kya khaak teri aql ne Allah ko jaana Gar uska wali Haaziro naaziro nahi hoga Al

AAP AAJAE JO MAULA HUM YE MANZAR - SHAHID BALTISTANI

Shahid Baltistani (2012) Aap aajae jo maula aap aajae jo maula hum ye manzar dekhlein halqae matam bana kaabe ke andar dekhlein aap ke zakir ki hai meraj mimbar aapka aur aap mimbar par ho hum meraj e mimbar dekhlein inteqame karbala ki de ali akbar azaa murtuza ki tegh se udte hue sar dekhlein hum isi lalach me peete hai mae hubbe ali aabe kausar aapke chullu me peekar dekhle wo to ghazi hai agar mai bangaya tera ghulam arey meri thokar me jahaa wale samandar dekhlein daaen buzar baaen qambar saamne salmaan ho ek namaz aisi bhi hum kaabe me padhkar dekhlein munkire ailane khum pe jis tarah kankar gira munkire matam pe bhi yu girte patthar dekhlein mehdiye qayam ka hoga aapke ghar me qayaam arey farshe majlis aap bhi ghar me bichakar dekhlein

MAI KIS TARHA SE BATAU KE KYA GHADEER SE HAI - SHAHID BALTISTANI

Shahid Baltistani (2013) Mai kis tarha se batau ke kya ghadeer se hai Mai kis tarha se batau ke kya ghadeer se hai khuda ka deen to kya khud khuda ghadeer se hai Aur azaa'n mein naam e ali sunke jo machalte ho tumhara zakhm abhi tak hara ghadeer se hai Bataau ek hi misre mein kya munafiq hai wo kalma go hai magar bhaagta ghadeer se hai Laga raha hai jo fatwe hussain ke ghum par qasam khuda ki use mas'ala ghadeer se hai Tu jisko dhundh raha hai aye shaikh masjid mein bahisht jaane ka wo raasta ghadeer se hai Ali ke lehje mein bola jo barsare me'raj nabi ke lehje mein wo bolta ghadeer se hai

JAB IMAM AAYENGE 2004 -USTAD SIBTE JAFAR MANQABAT LYRICS

Sibte Jafar (2004) Jab Imam Aayenge Haal e gham sunaenge jab Imam aayenge zakhm Dil dikhaenge Jab Imam Ayenge Mehfil e jamaaenge Jab Imam Ayenge Bamodar sajaenge Jab Imam Ayenge Jashn Hum manaenge Jab Imam Ayenge Zakhm hai abhi taaza maqqa aur madeena ke Sham o kufa karbobala hum bhula nahi sakte Az sakheefa taai dam ghair se nahi pohche Jitne dukh uthae hai humne kalma goyo se Ek ek chukaenge.....x2 Jab Imam Ayenge Shaq hai jinko allah ke adl aur adaalat par Mansab e nubuwat par saiyada ki ismat par Murtuza ki ahmed se mukhtasir niyabat par Jinko shaq hai bara par baarwey ki ghaibat par Sab hi maar khaenge....x2 Jab Imam Ayenge Naam par sahaba ke kaam kafiro jaise Naam par sahaba ke kaam fasiqo jaise Naam par sahaba ke kaam munkiro jaise Naam par sahaba ke kaam mushriqo jaise Sab hi muh churaenge...x2 Jab Imam Aenge Dawa e mohabbat jo subho shaam karte hai Unke dushman o se bhi raao rasm rakhte hai Uns bhi nahi dete gheebatei bhi karte hai Momino se

ZAHOOR HOGA ZAHOOR HOGA - USTAD SIBTE JAFAR MANQABAT LYRICS

Sibte Jafar (2005) Zahoor hoga zaroor hoga Hai sab hi qaael ke ek din abse toor hoga zahoor hoga zaroor hoga jaha'n pa zahir imam honge zahoor hoga zaroor hoga Imam maujud har jagah hai na dekh paye jo be baseerat to isme imaan o agahi ka kusoor hoga, zaroor hoga Imam niptenge khud hi use jo unki ghaibat pa tanazan hai koi dino ki hai baat jabse zahoor hoga zaroor hoga Kaseem e naar o jina ali bu-turaab se jisko dushmani hai fishar e qabr uska hai muqaddar zaroor hoga zaroor hoga Ali ko dil se pukaar dekho pukarte hai malang jaise hai mera daawa tumhe bhi hasil suroor hoga zaroor hoga Ziyarat o zikr e murtaza mein na ho ziyarat jo ambiya ki to aise zahn o damaagh o dil mein futoor hoga zaroor hoga Hai murtaza baab e ilm o hikmat jo isse bach kar chalega uske jehalato ka himakato ka sudoor hoga zaroor hoga Adu e ghaire kaseer yani jo dushman e aale mustafa hai to aisa hi banda hauz e kausar se door hoga zaroor hoga Wila e aale nabi ke sadqe hamari duniy

MERE SHABBIR KA QADRADAN -USTAD SIBTE JAFAR MANQABAT LYRICS

Sibte Jafar (2012) Mere Shabbir ka qadradan Aqd ummul banee'n se Ali ne kiya jiske khatir wo shere jinaa aagaya bol uthe Murtaza ye to Abbas hai mere Shabbir ka qadrada'n aagaya Khush hai Hasnain o Ummul baneen o Ali khuld se Fatima ne bhi di tehniyat Umme kulsoom o Zainab huwi sajda rez unke sar par ek aur sayebaa'n aagaya Warise Hamza o Jafar o Murtuza ta qayamat alamdaar e fauj e khuda azm o zabt o shaja'at, ita'at wafa khidmat o isteqamat nishaa'n aagaya Ambiya, awsiya, awliya.. sabka daaro madaar e baqa karbala karbala jiski muddat se thi muntazir wo mo'eene shahe bekasaa'n aagaya Dastageeri karega aaj har ek ki bawajud ye ke honge qalam uske haath ek laqab jiska baab e hawaej bhi hai wo mutee'e imam e zamaa'n aagaya Jiteji wo raha bhukha pyaasa magar uske sadqe pa palte hai jinno bashar khadim e khaas jannat ke sardaar ka abd e salih, jawan e jinaa'n aagaya Alqama ghul bhi hai jiski zere qadam har ja