Skip to main content

Posts

Showing posts from March, 2020

FAQEER KI SADA HUSSAIN HAI LYRICS - MIR HASAN MIR MANQABAT 2018

Mir Hasan Mir (2018) Faqeer ki sada hussain hai Ya hussain, ya hussain---hussain hussain shah ast hussain, baadshah ast hussain dee'n ast hussain, dee'n panah ast hussain sar daad na daad, dast e dar dast e yazeed haqqaq e binaye laa ilaah ast hussain Faqeer ki sada hussain hai..(4) jo bandagi ka naaz hai..(2) haqeeqat e namaz hai, wo banda e khuda hussain hai..(2) 1. Nazar hai khaimagaah par zameen o aasmaan ki sukoot mein hai zindagi ghadi hai imtehaan ki hai saans maut ki ruki..(2) laraz rahi hai roshni diya bujha raha hussain hai..(2) 2. Ae jaane wale ruk zara udaas kyu hai is qadar qalam hai uske haath mein hussain se to baat kar ye lauh phir banayega tujhe pisar dilayega khuda ka laadla hussain hai..(2) 3. Sumo se zuljanah ke ye arsh kyu lipat gaya falak pe mehr ruk gaya faraat peeche hatt gaya hai zalzala zameen ko..(2) abhi to aasteen ko ulatne jaa raha hussain hai..(2) 4. Falak pe likhe jaate the naseeb kal ki baat thi karee

ROAB ABBAS KI ANKHO MEIN HAI HAIDER JAISA LYRICS - MIR HASAN MIR MANQABAT 2018

Mir Hasan Mir (2018) Roab abbas ki ankho mein hai haider jaisa Roab abbas ki ankho'n mein hai haider jaisa Aankh bhar kar jise dekha hua patthar jaisa Roab abbas ki aankho'n mein hai haider jaisa 1. Kehke ye haath alamdaar ne khud rok liya hurmala tere liye kaafi hai asghar jaisa 2. Teri saqqayi ka ejaaz hai abbas e ali paani milta hai, paani milta hai sabilo pe bhi kausar jaisa 3. Kaun maidaa'n mein hai siffeen ke ghazi ya ali kashmakash mein hai khada malik e ashtar jaisa 4. Koi kamzarf use bhi na khuda kehde kahi'n hu bahu chehra e abbas hai haider jaisa 5. Ungliyo'n par hi utha leta wo kaandhe ki jagah mashk ka wazn jo hota dare khaibar jaisa 6. Ambiya bol uthe dekhke abbas ka noor sirf haider hi bana sakta hai haider jaisa 7. Lashkar e sharr pe nazar daalke ghazi ne kaha Haal hoga fir'aun ke lashkar jaisa 8. Lauh e mehfuz ke bhi bas mein nahi hurr ki qasam likhte hai hazrat e abbas muqaddar jaisa 9. Hai habib ibn e mazahir

AAGAYA SHABAAN MARHABA LYRICS - MIR HASAN MIR MANQABAT 2018

Mir Hasan Mir (2018) Aagaya shabaan Marhaba.. Marhaba swalle a'laa Aagaya shaban khushiyo'n ke zamane aagaye Rone wale mehfilo'n mein muskurane aagaye Kaun aaya hai zamee'n par banke zeenat baap ki panjetan khud shauk mein jhoola jhulane aagaye Pyaas bachpan mein bujhakar sheh ki ghazi ne kaha dekhiye baba hame waade nibhane aagaye May alam lekar chala to aayi ghazi ki sadaa ho mubarak ab tumhe baazu katane aagaye Dekhne sidra se aagey ke manazir jibra'eel Fatema Zehra ke ghar chakki chalane aagaye Shikwa qismat se na karna jaun se bole Husain ab to raazi hai tujhe hum khud manane aagaye Qabr me pohcha jo momin aayi baali se sadaa aye farishto'n jao kyu isko jagane aagaye Mai ne likkha tha fidak ki maalika tujhko salaam ghaar mein kuch log mera ghar jalane aagaye Dekhkar manzar najaf se karbala tak yu laga jaise qayam ki hukumat ke zamaney aagaye Is jaha'n mein aye takallum hum faqeer e buturab dushman e zehra ko mitti m

ALLAH HO AKBAR YA ALI LYRICS - MIR HASAN MIR MANQABAT 2018

Mir Hasan Mir (2018) Allah o akbar ya ali Ali…Ali Ali (2) Ya Ali o Ya Ali o Ya Ali (4) Shah-e-Marda’n Sher-e-Yazda’n Quwat-e-Parwardigar ..(2) Lafata Illa Ali La Saif Illa Zulfiqar Manqabat Padta Hain Teri..(2) Rabb e Akbar Ya Ali Ya Ali Ya Ali Allah o Akbar Ya Ali Allah o Akbar Ya Ali..(3) 1. Teri Thokar Mein Fanaa Hain, Teri Thokar Mein baqaa..(2) Murda Kar Deti Hain Zinda..(2) Teri Thokar Ya Ali Allah o Akbar Ya Ali Allah o Akbar Ya Ali..(4) 2. Konsi Ne'mat Nahi Bete Ke Dastarkhwan Par..(2) Khud Guzara Jow Ki Sukhi..(2) Rotiyo'n Par Ya Ali Allah o Akbar Ya Ali Allah o Akbar Ya Ali..(4) 3. Jannate Apni Banaakar Bechta Hai Sheher Mein..(2) Yeh Hai Tere aathave(eighth)..(2) Darje Ka Nokar Ya Ali Allah o Akbar Ya Ali Allah o Akbar Ya Ali..(4) 4. Han Do Sagi Behno Ki Tarha Fatemah Aur Zulfiqar..(2) Baat Karti Hai Tere..(2) Bare Main Aksar Ya Ali Allah o Akbar Ya Ali Allah o Akbar Ya Ali..(4) 5. Mard Bhi Deewar Shaq Dekhe Toh Hat Jaye Magar Aag

WO GHAR KE HUKM JAHAN FATIMA (SA) KE CHALTE HAIN LYRICS - MIR HASAN MIR MANQABAT 2018

Mir Hasan Mir (2018) Wo ghar ke hukm jahan Sayyada, tahera, raaziya, marziya..(2) Wo ghar ke hukm jaha'n Fatima ke chalte hai..(2) Tamaam kaam wahi'n se..(2) khuda ke chalte hai... Wo ghar ke hukm jaha'n... Tamaam kaam wahi'n se..(2) khuda ke chalte hai... Wo ghar ke hukm jaha'n... Ye kaisi raah guzar hai, ye kaun sa darr hai..(2) Ke Mustafa bhi yaha'n sarr jhuka ke chalte hai Wo ghar ke hukm jaha'n... Jabee'n pe fakhr se rumaal e Sayyeda bandhe..(2) amame walo'n me hurr muskura ke chalte hai Wo ghar ke hukm jaha'n... Ke jaise haath me al-maeda ka sura ho..(2) malak yu rotiya'n teri uthake chalte hai Wo ghar ke hukm jaha'n... Bana na le koi duniya uthake wo mitti..(2) yu nakhshe paa tere Haider chupa ke chalte hai Wo ghar ke hukm jaha'n... Ae hurr na ghabra ye karbobala ki basti hai..(2) yaha'n pe faisle aale abaa ke chalte hai Wo ghar ke hukm jaha'n... Ye tere faaqo'n ka sadqa hai aye H

AAO TAREEKH SUNAU MAI SHABE HIJRAT KI LYRICS - MIR HASAN MIR MANQABAT 2018

Mir Hasan Mir (2018) Aao tareekh sunau mai shabe hijrat ki ALI MAULA.. (8) ALI ALI ALI ALI MAULA..(2) Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki..(3) Kis tarha saaye mein..(2) Talwaro'n ke soye the ALI Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki..(2) 1) Tegh ki chaao'n me sona koi aasaan nahi Kulle imaa'n hai ALI (aam musalmaan nahi)..(2) Dusra hota to..(2), bedaar nahi hota kabhi Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki - 2 2) Chand se ye ABUTALIB ka qamar kehta tha Aajki raat ibadat ka hai andaaz naya Aaj ALLAH se..(2), sote hue batein hongi Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki -2 3) Bas yahi soch ke hamla nahi kar paate the Saare kuffar (isharo'n me yahi kehte the)..(2) Hai NABI soye hue..(2), jaaga hua hoga ALI Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki -2 4) Yehi siddeeq hai aur yehi amee'n hai logo'n Kitna HAIDER pe bharosa hai NABI ko dekho FATEMA sa jaisi..(2), amaanat bhi ALI ko dedi Aao tareekh sunaun mai shab e hijrat ki - 2

HUSSAIN BANT RAHE HAIN NIJAY LE JAO LYRICS - MIR HASAN MIR MANQABAT 2019

Mir Hasan Mir (2019) Hussain bant rahe hai nijaat le jao Husain baan't rahe hai nijaat le jao..(2) kuch aasuo'n ke ewaz kayenaat le jao Husain baan't rahe hai nijaat le jao Ye karbala hai ye mojiz numa ki basti hai..(2) kafan mein iske lapeto, hayaat le jao Husain baan't rahe hai nijaat le jao Kahenge matami halqo'n se log mehshar mein..(2) hume hussain ki jannat mein saath le jao Husain baan't rahe hai nijaat le jao Nahi karunga lahad mein mai intezaar e sahar..(2) farishto karbobala raat o raat le jao kuch aasuo'n ke ewaz kayenaat le jao Husain baan't rahe hai nijaat le jao Qasam hussain ki purse mein kam hi lagta hai..(2) baland jitna bhi matam mein haath le jao Husain baan't rahe hai nijaat le jao Kaha ye khizr se abbas ne yaha'n aakar..(2) hamari mashk se aab e hayaat le jao Husain baan't rahe hai nijaat le jao Ae maujo'n uttho areeze ko saath lejao..(2) Imam e Asr talak meri baat lejao Kuch aasuo'

ALI SHERE KHUDA HAIDER HAIDER LYRICS - MIR HASAN MIR MANQABAT 2019

Mir Hasan Mir (2019) Ali shere khuda haider haider Haider, haider, haider, haider Ali ali, ali ali, ali ali haq ali ali Haider, haider Ali shere khuda, haider haider ghurur e kibriya, haider haider wasiye mustafa, haider haider Ali shere khuda, haider haider ghurur e kibriya, haider haider wasiye mustafa, haider haider 1. Tera darbaar duniya mein (muqaddar saaz hai maula)..(2) Jise parwaaz tu dede (wohi shahbaaz hai maula)..(2) pase parda Mohammad se (sare me'raj jo bola)..(2) hume lehje se lagta hai, teri awaaz hai maula safeer e kibriya, haider haider Mohammad ki dua, haider haider ghurur e kibriya, haider haider Ali shere khuda, haider haider ghurur e kibriya, haider haider wasiye mustafa, haider haider 2. Dil sayr hai gadaye janab e ameer ka..(2) khali kabhi raha nahi kaasa faqeer ka matlab yehi hai haath ki har ek lakeer ka daman na chutne paaye janab e ameer ka ameer e dosara, haider haider Mohammad ki dua, haider haider ghurur e kibriya, hai

MAULA ALI ALI LYRICS - MIR HASAN MIR MANQABAT 2003

Mir Hasan Mir (2003) Maula ali ali Muala ali ali..(4) Deen ka daata jagat ka malik sabka palanhaar Muala ali ali..(4) 1. Tere siwa woh kaun hai jiske dar pe taara utra hai..(2) dharti se aakash talak bus tera sikka chalta hai mere maula, suraj tere hukm se nikla ek din me do baar 2. Tere charan ki dhool ke aage kya chandi kya sona hai..(2) dharti chaand sitare sab kuch tere husn ka sadqa hai tera paseena, tere maathe ka hai paseena nabi wali awtaar 3. Meesam salma'n aur abuzar sab humko pehchane hai..(2) tere gali ke mangte hai hum qambar humko jaane hai bhejde maula, bhejde ab hasnain ka sadqa karde beda paar Deen ka daata jagat ka malik sabka palanhaar Muala ali ali..(4)

EID AAYI HAI RAJAB SHABAN KI LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2008

Farhan (ALI WARIS) (2008) eid aayi hai rajab shaban ki salle ala ka shor utha zehra ke gharaane ki ye khushiyaan hain mubaarak eid mubaarak eid aayi hai rajab shaabaan ki tin pisar hain haidar ke tinon rajab me aaye hain aamade baaqir huwi pehli rajab ko marhaba paanchwi aayi rajab aaye naqi salle ala daswi rajab ko aaye taqi kehte hain jinhe farzande raza ye tajalli hai dile imraan ki no rajab ko aaye hain asghar ibne shaahe hoda aa gaya zehra ke gulshan me gule umme rabab tisre baabul hawaaej ka mila jis ko khitaab arsh pe qudsi jhoom rahe hain aur zameen pe buturaab jaan hain ye sayyade zishaan ki tera rajab ko aaye ali tera rajab ko aaye ali wo jahaan me aa gaya jo ho gaya ghaalib laqab aamade binte asad par shak huwi diwaar jab khush huwa kaaba aur payambar bole abu talib ke lab ye pisar tasweer hai subhaan ki bibi zainab ki wilaadat hai pehli shaabaan ko shabbar o shabbir jaise bhayi ki hamshir hai malka e sharm o haya hai waarise tatheer hai sh

MOHAMMED MOHAMMED LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2010

Farhan (ALI WARIS) (2010) Mohammad Mohammad Mohammad swallallahu alaihi wa aale hi wa sallam..(2) Mohammad mohammad..(2) Wo nabiyo me rehmat laqab paane wala..(2) Murade ghareebo ki bar laane wala Mohammad mohammad..(2) 1. Hai ehsaan tera ke aaya zamee par charaghe hidayat jalaya zamee par mohabbat ka maskan banaya zamee par Mohammad mohammad..(2) jihalat ki tareekiyo me ujaala Mohammad mohammad..(4) 2. Sikha di bashar ko ibadat khuda ki sajai jo tune adalat khuda ki tu hai sabse pehli shahadat khuda ki Mohammad mohammad..(2) teri paak hasti khuda ka hawala Mohammad mohammad..(4) 3. Saubat bhi ummat ki khatir guzari sahe tanz ke teer aur sang baari magar teri himmat ke himmat na haari Mohammad mohammad..(2) hua tujhse islam ka bolbala Mohammad mohammad..(4) 4. Abuzar ho salman ho ya ho qambar sabhi ke saware hai tune muqaddar azane bilali ka mehwar tera ghar Mohammad mohammad..(2) tere wasf aql e bashar se hai baala Mohammad mohammad..(4) 5. Kha

DILO PE AAJ BHI HUKMARAN HAI HUSSAIN HAI LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2013

Farhan (ALI WARIS) (2011) Dilo pe aaj bhi jo hukmaran hai hussain hai Hussain hai, hussain hai..(2) dilo'n pe aaj bhi jo hukmaran hai, hussain haii..(3) khuda ke deen ki jo abhi shaan hai hussain hai, hussain hai, hussain hai.... hussain hai dilo'n pe aaj bhi jo hukmaran hai, hussain haii..(2) 1. Khuda ko jis pe naaz hai wohi meri namaz hai wohi hai kaaba e yaqee'n wohi to chara saaz hai wo jiske dum se aaj tak azaan hai hussain hai, hussain hai, hussain hai.... hussain hai dilo'n pe aaj bhi jo hukmaran hai, hussain haii..(2) 2. Wo jiska zikr aaj bhi waseela e nijaat hai wo jiske qarz ke tale dabee ye kayenaat hai jo apne dushmano pe sayebaan hai hussain hai, hussain hai, hussain hai.... hussain hai dilo'n pe aaj bhi jo hukmaran hai, hussain haii..(2) 3. Kise kaha rasool ne dilo ka chayn yaad kar hussain o minni wa ana minal hussain yaad kar hadees e mustafa ka tarjumaan hai hussain hai, hussain hai, hussain hai.... hussain hai dilo'n

BIBI ZAHRA KI HAI RUKSATI LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2013

Farhan (ALI WARIS) (2011) Bibi Zehra ki hai rukhsati Ho mubarak tumhe ya nabi, bibi zehra ki hai rukhsati doolha haider(a.s.) Bana zehra(s.a.) Dulhan bani ho mubarak tumhay ya nabi(s.a.w.w) aaj zahra(s.a) ki hai rukhsati mubarak mubarak mubarak mubarak is kay chehray ka ghaza bani hai haya is kay mathey ka jhoomar hai alhamd ka innama iskay hathon ka kangan bana dekhye tu guloo band hai kulkafa khalq may na mili aisi dulhan koi ayaton say libase uroosi bana nor chehray pay aya hai wal fajr ka or kalai ka zevar bani hai hal ata goshwaray muzzamil kay hain ba khuda(j.j) saj gayin fatima(s.a) parh kay nad-e-ali(a.s) aaj dharti falak say siwa hogaye yeh zameen ka muqaddar bhi dekhay koi sab yahan agaye khuld khali hui aaj khair-un-nisa(s.a.) Aisi dulhan bani aisa dulha bana aaj haq(j.j.) Ka wali(a.s.) Aisa dulha kahan aisi dulhan kahan jin ki khushyun may shamil hain kon-0-makaa'n jagmaganay lagi arsh per kehkashan chand denay laga aaj khud hi azaan

ABBAS TERE DAR SA DUNIYA ME LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2013

Farhan (ALI WARIS) (2011) Abbas tere dar sa Sunle sada mere sakhi Maula.....x4 Jhukte hai jahaa shahi tera wo aasta...x2 Abbas tere dar sa duniya me dar kahaa'n Maula.....abbas tere darsa... Maula Tu qamre bani hashim zehra ki tu dua hai...x2 Saya tere alam ka do jag pe bakhuda hai...x2 Tere alam ko chumne jhukta hai aasmaa... Jo bhi khuda se maanga tere alam se paaya...x2 Tere alam ka saya hai kibriya ka saya...x2 Kyu na tere alam pe aakar kahe jahaa'n Abbas....maula....abbas...maula Tere dar ke hai bhikari sab Auliya Kalandar...x2 Sajde kare farishte chaukhat pe teri aakar...x2 Dene lage zamee'n par Qudsi bhi ye azaa'n Abbas....maula....abbas Mushkil kusha ali hai mushkil kusha hai tu bhi...x2 Wo dast e Kibriya hai Rabbe wafa hai tu bhi...x2 Padhte hai Aliwaley ye manqabat yaha Abbas....maula....abbas Rauze pe tere aake ehsaas ye hua hai...x2 Ye ghar hai Panjetan ka is gharme hi khuda hai...x2 Sajde me girgaya mai dekar yahi bayaa&

DAM MAST QALANDAR ALI ALI - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2013

Farhan (ALI WARIS) (2011) Dam mast qalandar Ali Ali Ali ali....x11 Aabaad dama dam aadam ki shehrag me Ali tan mann Ali Tan mann me Ali.... Lafzo me Ali nafso me Ali saanso'n me Ali dhadkan me Ali. Dhadkan me Ali.... Darya me Ali Maujo'n me Ali baadal me Ali saawan me Ali. Saawan me Ali.... Ali Ali.... Dam Mast Qalandar ALI ALI,Kaabe Ka Gohar ALI ALI......x2 KAABE Ko Aakay jis nay QIBLA Banaya Rab Ne Usi Kaabe Ko Sajda Karaya Jhutey Khudaao'n wale yeh keh kar bhaage... ALI ALI Goonj uthey dharti pE har soo yehi naare aj nai te kal saare ALI ALI Kenge weikhega zamana Dam Mast Qalandar ALI ALI,Kaabe Ka Gohar ALI ALI......x3 Geeta utha kar dekho QUR'AAN Padhlo Taurait Kholo Chahe Injeel Dekho Saarey Mazahib Wale kehte hai Saheefey --ALI ALI Lafz Alag hai sab ke Matlab to yehi hai aj nai te kal saare ALI ALI Kenge weikhega zamana Dam Mast Qalandar ALI ALI,Kaabe Ka Gohar ALI ALI......x3 Taptey huwey Sehra me Qafela Roko Wada MOHAMMAD Apna poora

MUJHE MAULAI BANANA LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2013

Farhan (ALI WARIS) (2011) Mujhe maulai banana Aise parwan chadhana mujhe maulai banana, aye meri maa Mujhko dena ye khazana mujhe maulai banana, aye meri maa 1. Maa mujhe khoob padhana, aur namazi bhi banana..(2) aur tabarra bhi sikhana mujhe maulai banana, aye meri maa 2. Kar du duniya ko mai qaael, aise maula ke fazael..(2) mujhe lori me sunana mujhe maulai banana, aye meri maa 3. Maa mujhe jab bhi sulana, marsiye nauhe sunana..(2) Ya Ali kehke jagana mujhe maulai banana, aye meri maa 4. Aaye jab aath moharram, to mere waaste paiham..(2) ek alam ghar me sajana mujhe maulai banana, aye meri maa 5. Mana hai umr abhi kam, maa mujhe karna hai matam..(2) mujhe zanjeer dilana mujhe maulai banana, aye meri maa 6. Mujhko jo khana khilana, thanda pani jo pilana..(2) karbala yaad dilana mujhe maulai banana, aye meri maa 7. Zikr e sarwar ho mera kaam, gunje duniya me mera naam..(2) nauhakhwan mujhko banana mujhe maulai banana, aye meri maa 8. Jo wila se m

MAI HUSSAIN(ASWS) IBNE ALI HU LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2013

Farhan (ALI WARIS) (2011) MAI HUSSAIN IBNE ALI HOON Bayat ka sawal aaya jo paish-e-SHAH-E-DILGEER(a.s.) nazdeek huwi khuwab say jab khuwab ki ta'abeer lagnay lagin jab daao peh kul NABIYON(a.s.) Ki tauqeer Bolay najis-e-dehar(l.a.) say yoo'n HAZRAT-E-SHABBIR(a.s.) Gharat kabhi TOHEED-O-RISALAT na karay ga Mujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay ga Mujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay ga Tu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'N Tu(l.a.) Kon Hai MAIN(a.s.) Kon Hoo'n sun aaey sitam afgaar Tu(l.a.) deen ka munkir hai MAIN(a.s.) Islam ki dastaar Tu(l.a.) Khaak ka putla hai to MAIN(a.s.) Markaz-e-Anwaar Tu(l.a) Bhool anasir ki hai main Khalq ka shahkaar Gum kardah nasab Tu(l.a.) hai to MAIN(a.s.) Raah-e-Khabar Hoo'n Marjana(l.a.) ki Tu(l.a.) bhool MAIN(a.s.) ZEHRA(s.a.) Ka Pisar hoo'n Mujh jaisa teray jaisay ki BAYAT na karay ga Tu Yazeed-e-Azali(l.a.) hai MAIN HUSSAIN(a.s.) IBN-E-ALI(a.s.) HOO'N Tu(l.a.

TERA FAQEER HU MAULA LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2013

Farhan (ALI WARIS) (2013) Tera faqeer hu maula Maula..Maula..(4) Tera faqeer hu maula is ehtemaam se de..(2) Mohammad o Ali o Fatema ke naam se de Tera faqeer hu maula is ehtemaam se de..(2) 1. Sawali mai hu sakhi tu hai, haa'n magar mujhko Maula...maula Sawali mai hu sakhi tu hai, haa'n magar mujhko najaf se, samarra se, karbala se, shaam se de Mohammad o Ali o Fatema ke naam se de 2. Rida e fatema zehra mein chhaan kar maula.. Maula.. maula.. Rida e fatema zehra mein chhaan kar maula.. bus ek ghoot mawaddat ka apne jaam se de Mohammad o Ali o Fatema ke naam se de 3. Mere wujood pe naaza ho kohe toor kabhi Maula.. maula Mere wujood pe naaza ho kohe toor kabhi jo mujhko dena hai rutba is ehteshaam se de Mohammad o Ali o Fatema ke naam se de 4. Ba naam e buzar o salmaan, meesam o qambar Maula.. maula Ba naam e buzar o salmaan, meesam o qambar sanad ghulami ki dede kisi bhi naam se de Mohammad o Ali o Fatema ke naam se de 5. Badan se rooh chale

YA MUSTAFA LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2013

Farhan (ALI WARIS) (2013) Ya Mustafa Ya Mustafa..(4) tujhko pukare har zaba'n Mohammad mustafa Badr-ud-duja, shams-uz-zuha, khair-ul-wara, Ya Mustafa Ya mustafa... Badr-ud-duja, shams-uz-zuha, khair-ul-wara, Ya Mustafa Aaya zamee'n pe to qur'aan laya duniya pe rahmat ban kar chhaya duniya ko tune deen sikhaya rang o zaba'n ka fark mitaya tujhko pukare har zaba'n.. To khe khuda mehbub banayo saare jaha'n teya tohenjo saayo bande khe tu khaliq sa milayo noor sa tu aalam chamkayo tujhko pukare har zaba'n.. Jad wi nawa tera sohna naawa rabb de lakh lakh shukr manawa kar de karam tere roze te aawa dar te tere muk jawan saawa tujhko pukare har zaba'n.. ta be saharo ta sahara ye ta aajizano ta mojiza ye ta mo'mina no mushkil kusha ye ta musalmano hajat rawa ye tujhko pukare har zaba'n.. Ya rasoolallah tayi azmat ya nabi tayi shano shaukat duniya e wasta raaye jannat har chi

MAI HU PAANI SUNO MERI KAHANI LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2013

Farhan (ALI WARIS) (2013) Mai hu paani suno meri kahani Main hi taskeene labe tishna dahan hota hoon Kabhi darya kabhi aankhon se rawa hota hoon Hain labe Asgare besheer ka ehsaan mujh par Ho jahan majlis e Shabbir waha hota hoon Main hoon paani Auno meri kahani...x2 Zindagi jisse rawa hain woh rawani main hoon Pyaas ko jisse hain nisbat woh kahani main hoon Be talab hoon talabe tishna dahani main hoon Jab ye abaadi na thi tab se hi aabad hu main Khud hain Quran gawah duniya ki buniyad hoon main Main hoon paani..x2 Rahi har daur me masoomon se nisbat mujhko Kar na paya koi paband shariat mujhko Paak hoon aur taharat se hain ulfat mujhko Khud sada deti rahi pyaas ne fitrat mujhko Darde dil ke liye taskeen ka malham bankar PAYE masoom se nikla hoon main zam zam bankar Main hoon paani....x2 Mere qisse hain bohot meri kahani hain bohot Barsare roo e zameen meri nishaani hain bohot Khittae khushk hain kam dehr me paani hain bohot Rabbe Akbar ne bada martaba bak

ALI WALEY JAHAN BAITHE LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015

Farhan (ALI WARIS) (2015) Ali waley jahan baithe Faqeeron ka bhi kya chahe jahan basti basa baithe ..(2) ali waley jahan baithe wahi jannat bana baithe ..(2) 1. Faraze daar ho, maqtal ho, zindaan ho ke sehra ho ..(2) jali ishq e ali ki shamma aur, parwaane aa baithe 2. Koi mausam, koi bhi waqt, koi bhi ilaaqa ho ..(2) jahan zikr e ali chheda, wahan deewane aa baithe 3. Ali walon ka marna bhi koi marne me marna hai ..(2) chale apne makaa'n se aur ali ke darr pe jaa baithe 4. Idhar rukhsat kiya sabne, udhar aae Ali lene ..(2) yahan sab ro rahe the, hum wahan mehfil sajaa baithe 5. Abhi mai qabr me leta hi tha, ek noor sa phailaa ..(2) meri baali pe aakar khud, Ali e murtaza baithe 6. Ali ke naam ki mehfil saji shehre khamosha me ..(2) the jitne bawafa wo sab ke sab, mehfil me aa baithe 7. Nizamat ke liye maula ne khud, meesam ko bulwaya ..(2) wo lehja tha ke sab daaton tale, ungli dabaa baithe 8. Ye kaun aaya ke istaqbaal me, sab ambiya utthe ..(2) na b

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015

NALAIN RAKH DENA LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2016

Farhan (ALI WARIS) (2016) Nalain rakh dena Tu aye taqdeer taaje azmat e kaunain rakh dena..(2) Tu aye taqdeer taaje azmat e kaunain rakh dena Mere sar par mere sarkaar ki nalain rakh dena Ilahi dekhlu mai bhi to abru e Mohammad ko..(2) Meri aankhein zara qausain ke mabain rakh dena Kaha Allah ne qausain kab hadd hai Mohammad ki..(2) Jaha'n ye aap ruk jaye wahi qausain rakh dena Azeezo saath mere izzate darain rakh dena..(2) Kafan ke saath mein khaak e dare hasnain rakh dena Jo hai qur'aano itrat se gara palla do aalam ka..(2) To is naat mein ek qafiya saqlain rakh dena Farishte jab mere amaal ke baare mein kuch puche..(2) To unke aage naat e sarwar e kaunain rakh dena Sarosh aankhein teri arshe bari ki sair kar lengi..(2) Tu inko zere paaye sahib e kausain rakh dena Mere sar par mere sarkaar ki nalain rakh dena Tu aye taqdeer taaje azmat e kaunain rakh dena Mere sar par mere sarkaar ki nalain rakh dena

MADINE KA MUSAFIR HU LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2016

Farhan (ALI WARIS) (2016) Madine ka musafir hu Ya Mohammad.. Ya Mohammad..(5) Madina kab bhala firdaus se kam hai kisi surat ye hai wo raaz jo humko farishto ne bataya hai meri qismat pe naaza hai muqaddar saari duniya ke mere sarkaar ne mujhko watan apne bulaya hai madiney ka musafir hu..(4) Salaam un paak rasto'n par jaha'n sarkaar guzre hai salaam un paak galiyo'n par jaha'n hasnain(a.s.) khele hai dare zehra(s.a.) jaha'n aakar, farishte bheekh lete hai unhi rasto'n, unhi galiyo'n, usi darr ka mujawir hu, Aye zawwaro'n Mohammad(s.a.w.w.) ke, tumhe sar par uthaunga tumhe raste mein mai sarkaar ki naatein sunaunga jo thak kar baith jao tum, mai payro ko dabaunga mere ham raah ho jao, mai har khidmat ko hazir hu Baqayya jaate hi khudko zamee'n par mai giraunga nabi ki aal ki gurbat pe mai aasu bahaunga masaeb aale ahmed ke mai duniya ko sunaunga tadapta hai ye dil kitna, mai batlane se qasir hu Madiney jaake mai sarkaar ki

KAASH MAI DAUR E PAYAMBAR MEIN O

Farhan (ALI WARIS) (2016) Kaash mai daur e payambar mein Kaash mai daur e payambar mein uthaya jaata..(2) ba khuda qadmo mein sarkaar ke paaya jaata kaash mai... 1. Saath sarkaar ke ghazwaat mein shamil hota..(2) unki nusrat mein lahu mera bahaya jaata 2. Ret ke zarro mei Allah badal deta mujhe.(2) phir mujhe raahe Mohammad mei bichaya jaata 3. Khaak hojata mai sarkaar ke qadmo ke tale..(2) khaak ko khaak e madina mein milaya jaata 4. Milke sab log mujhe matti se gaarha karte..(2) phir mujhe masjid e nabawi mein lagaya jaata 5. Kaash aye kaash..(2) kaash aye kaash mai hota koi aisi lakdi..(2) jisko sarkaar ke mimbar mein lagaya jaata 6. Unke roze ke daro baam sajane ke liye..(2) rozano mein meri aankho' ko lagaya jaata 7. Laaya jaata sare darbaar aseero'n ki tarha..(2) hukm par unke mai azaad karaya jaata 8. Ya utarta mai kisi naat ke misre bankar..(2) ru ba ru unke mai unko hi sunaya jaata 9. Hote us daur ka qissa koi "Noor" o "

ABBAS TERE DAR SA DUNIYA ME DAR KAHA LYRICS -FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2016

Farhan (ALI WARIS) (2016) Abbas tere dar sa Sunle sadaa mere sakhi maula..(4) Jhukte hai jaha'n shah bhi, tera wo astaa'n..(2) Abbas tere dar sa duniya mein dar kaha'n..(2) Maula.. 1. Tu kamar e bani hashim, zehra ki tu dua hai..(2) saaya tere alam ka, do jag pe ba khuda hai..(2) tere alam ko choomne jhukta hai aasmaa'n abbas tere dar sa.. 2. Jo bhi khuda se maanga, tere alam se paaya..(2) tere alam ka saaya, hai kibriya ka saaya..(2) kyu na tere alam pe aakar kahe jahaa'n abbas tere dar sa.. 3. Tere darr ke hai bikhari, sab auliya, qalandar..(2) sajde kare farishte, chaukhat pe teri aakar..(2) dene lage zamee'n par qudsi bhi ye azaa'n abbas tere dar sa.. 4. Mushkil kusha ali hai, mushkil kusha hai tu bhi..(2) wo dast e kibriya hai, rabbe wafa hai tu bhi..(2) padhte hai ali waley yehi manqabat yaha'n abbas tere dar sa.. 5. Roze pe tere aake, ehsaas ye hua hai..(2) ye ghar hai panjetan ka, is ghar mein hi khuda hai..(2) saj

MIDHAT E SAKINA LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2016

Farhan (ALI WARIS) (2016) Midhat e sakina Sakina.. sakina.. sakina... sakina..(2) Jaise ke bayaa'n ho nahi sakta do lafzo mein qur'aan sakina sakina.. sakina midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2) kaise mai likhu dusra qur'aan sakina midhat hai kaha'n aapki asaan sakina midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2) 1. Shabbir ke hoto'n pe hai bibi teri midhat..(2) ya lab pe hai qur'an ke qur'an sakina midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2) 2. Ek samt hai shabbir to ek samt hai abbas..(2) gehware ki tere hai ajab shaan sakina midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2) 3. Qur'aan e taharat mein ho tum sura e kausar..(2) is par hai mukammal mera eemaan sakina midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2) 4. Parcham to bohot aur bhi duniya mein hai lekin..(2) hai parcham e abbas ki pehchan sakina midhat hai kaha'n aapki asaan sakina..(2) 5. Shabbir ye kehte ho ke tum jisme nahi ho..(2) ghar aisa nazar aata

ALI ALI MAULA ALI ALI LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2016

Farhan (ALI WARIS) (2016) Ali ali maula ali ali ali ali, ali ali, ali ali, ali ali..(2) Is baat pe kyu kar na kare fakhr mawali socha nahi bus humne to maana hai ali ko batlati hai ye kaabe mein maujood dararein is ghar ne bohot toot ke chaaha hai ALI ko ali ali maula ali ali maula ali ali maula ali ali ali ali..(2) ali ali maula ali ali maula ali ali maula ali ali Masjid boli, mimbar bola..(2) 13 rajab ko kaaba bola ali ali maula ali ali maula saath zaba'n ke dil ye bola ali ali maula ali ali maula 13 rajab ko kaaba bola 1. Charo'n taraf midhat ki fizaein aao zamane bhar ko sajaein aaj zahoor hai maula ali ka kyu na khushi mein naara lagaein wajd mein aakar, naara lagaya ali ali maula haider maula ali ali maula ali ali maula, saath zaba'n ke dil ye bola ali ali maula ali ali maula, 13 rajab ko kaaba bola 2. 13 rajab ki bazm sajai khoob hui fir madha sarai ishq tera darwaish banae ishq tera bakshe danaai khoob wila ka jaam piya tha phir

JEET GAYA LAAL QALANDAR LYRICS -FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2017

Farhan (ALI WARIS) (2017) Jeet gaya laal qalandar Kar to liya zulm qalandar ki zamee'n par rok saka kaun bhala zikr e qalandar agli sahar aai to duniya ne ye dekha phir wahi mela, wahi naubat, wahi langar bolo bolo sakhi laal qalandar mahaan ali ali ali ali Jhoole laal bolo.. ali ali ali ali sona laal bolo.. ali ali ali ali jhoole laal bolo sona laal bolo haar gaya hai dushman e haider.. jeet gaya..jeet gaya..jeet gaya laal qalandar sajj gaya mela sehwan ki zamee'n par jeet gaya laal qalandar laal qalandar, laal qalandar mast jhoole laal qalandar 1. Phir se usi shaan ka mela ye saja hai saare shaheedo'n ka lahu bol raha hai kehte hai saare labbaik qalandar jeet gaya laal qalandar 2. Naaro se phir se ye fiza goonj rahi hai ishq e qalandar me ye naubat jo baji hai wajd mein aayi shaame qalandar jeet gaya laal qalandar 3. Jo hai sage sooe e qalandar wo kahega zikr e qalandar na ruka hai na rukega jao dhamale naara lagakar jeet gaya laal

ALI ALI MAULA HAIDER MAULA - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2017

Farhan (ALI WARIS) (2017) Ali ali maula haider maula Ali ali..ali ali.. sadiyo ke intezaar ka kaisa sila diya dono jaha'n ka sar meri janib jhuka diya 13 rajab ali se ye bola khuda ka ghar qibla mujhe to aapne kaaba bana diya ali ali ali ali...ali ali ali ali..ali ali ali ali..ali ali maula haider maula Aaye ali khana e kaaba ye pukara milke lagao sabhi haiderii naara ali ali ali ali ali ali haider maula..(2) 1. Dekhne manzar ye nabi aur wali aaye hai ghar hai ye allah ka aur usme ali aaye hai kaisa hasee'n aaj hai kaabe ka nazara kisko mila wasf ye duniya me dobara ali ali ali ali ali ali haider maula..(2) 2. Zebe musalla the nabi karte the haqq se dua kaun kufe fatima zehra hai khuda ya bata kaisa diya khaliq e akbar ne ishara aaya dare haider e safdar pe sitara ali ali ali ali ali ali haider maula..(2) Raato'n ko ali jaage to khaliq ne ye socha farshe shab e hijrat to sajana hi padega khatre mein na padd jaaye mera wasfe khudai ek shab

LEKE MAULA (ASWS) KA NAM ZAINAB KA - MANQABAT - ABIDI HUSSAIN ABIDI

Leke maula ka naam zainab ka Leke maula ka naam zainab ka likh raha hu kalam zainab ka Sub pe wajib hai saath zahra ke karna bas ehteram zainab ka Farsh e majlis hussain maula ki hai ye sub intezaam zainab ka Ambiyao'n se hur ye kehne laga mujhko aaya salam zainab ka Mashwera deti hai imamo ko allah allah maqam zainab ka Naaz tujhko bhi hoga kismat pe tu bhi banja ghulam zainab ka Kaa'np utthega qalb batil ka sunke zor e kalam zainab ka Sar se chadar na hatne paye kabhi sunlo behno payam zainab ka Padhta rehta hu mai qasida zaheer raat din subho sham zainab ka