Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

DILO PE AAJ BHI HUKMARAN HAI HUSSAIN HAI LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2013

Farhan (ALI WARIS) (2011)

Dilo pe aaj bhi jo hukmaran hai hussain hai
Hussain hai, hussain hai..(2)
dilo'n pe aaj bhi jo hukmaran hai, hussain haii..(3)
khuda ke deen ki jo abhi shaan hai
hussain hai, hussain hai, hussain hai.... hussain hai
dilo'n pe aaj bhi jo hukmaran hai, hussain haii..(2)

1. Khuda ko jis pe naaz hai wohi meri namaz hai
wohi hai kaaba e yaqee'n wohi to chara saaz hai
wo jiske dum se aaj tak azaan hai
hussain hai, hussain hai, hussain hai.... hussain hai
dilo'n pe aaj bhi jo hukmaran hai, hussain haii..(2)

2. Wo jiska zikr aaj bhi waseela e nijaat hai
wo jiske qarz ke tale dabee ye kayenaat hai
jo apne dushmano pe sayebaan hai
hussain hai, hussain hai, hussain hai.... hussain hai
dilo'n pe aaj bhi jo hukmaran hai, hussain haii..(2)

3. Kise kaha rasool ne dilo ka chayn yaad kar
hussain o minni wa ana minal hussain yaad kar
hadees e mustafa ka tarjumaan hai
hussain hai, hussain hai, hussain hai.... hussain hai
dilo'n pe aaj bhi jo hukmaran hai, hussain haii..(2)

4. Karam ki hadd hussain hai jafa ka radd hussain hai
namaaz kibriya ki hai magar sanad hussain hai
jo marziye khuda e meherbaan hai
hussain hai, hussain hai, hussain hai.... hussain hai
dilo'n pe aaj bhi jo hukmaran hai, hussain haii..(2)

5. Kisi ke darr pe jau kyu kahi pe sar jhukau kyu
mai apna haale dil kisi bhi ghayr ko sunau kyu
meri duao'n ka jo paas baan hai
hussain hai, hussain hai, hussain hai.... hussain hai
dilo'n pe aaj bhi jo hukmaran hai, hussain haii..(2)

6. Aqeeda jo kahe use likhe wo mazhar aabdi
hussain meri zindagi hussain meri bandagi
meri aqeedato ki jo zabaan hai
hussain hai, hussain hai, hussain hai.... hussain hai
dilo'n pe aaj bhi jo hukmaran hai, hussain haii..(2)

hussainn hai, hussain haii...

Popular posts from this blog

SAVERE SAVERE ALI KA QASIDA LYRICS - ALI TAFSEER MANQABAT

Ali Tafseer (2010) Savere Savere Musalle pe maine ali ka qasida juhi gungunaya savere savere khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko bada lutf aaya savere savere 1. Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2) to khud aaftab e shahadat ne uska muqaddar jagaya, savere savere 2. Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2) parindo ne apni zuba me qasida ali ka sunaya, savere savere 3. Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2) libaas e jina leke rizwan e jannat ne darr khat khataya, savere savere 4. Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2) chiragh e hadis e kisa apne ghar me jo maine jalaya, savere savere 5. Mai soya tha shab me ali ko bula kar ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2) mujhe khwab me roza e murtaza ka nazara karaya, savere savere 6. Namaz e mawaddat me guzri meri shab jhuka fajr me sar (paye saj

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015