SALAAM US PE JO KARBAL BASA KE SOYA HAI
Salaam us pe jo karbal basaa ke soya hai
Durood us pe jo ghar ko luta ke soya hai
Salaam us pe jo khud to ujad gaya lekin
Khuda ke deen ki basti basa ke soya hai
Ham us husain ko dil se salaam karte haiñ
Jo khud ko marziy e haq par mita ke soya hai
Salaam us pe ke seh roz khud raha pyaasa
Magar jo pyaas wafa ki bujha ke soya hai
Hamaare sar pe hai ahesañ janaabe hur ka jo
Hunar najaat ka jag ko sikha ke soya hai
Salaam karte haiñ us chhe maheene waale ko
Ke teer kha ke bhi jo muskuraa ke soya hai
Durood un pe ke jin ko habeeb kehte haiñ
Jo apne yaar se yaari nibha ke soya hai
Hamaari jaaneiñ ho qurbaan husn waale par
Jigar pe neze ka jo zakhm kha ke soya hai
Salaam syed e sajjad par jo duniya meiñ
Gham e husain ki duniya bana ke soya hai
Durood us pe ke karbobala ki dharti par
Jo laaelaah ki qismat jaga ke soya hai
'Hasan' yun jee ke maro ke kahe ye kal duniya
Charaagh e zikr e bahattar jala ke soya hai
...Shared using Nauha Lyrics