Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2021

KARBOBALA NASEEB SE JANA NASEEB LYRICS MIR HASAN MIR NAUHA 2020

KARBOBALA NASEEB SE JANA NASEEB LYRICS MIR HASAN MIR NAUHA 2020   ● Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho   ●Uthay Hain Hath Khudaya Is Dua Kay Liye Naseeb Ho Safar e Ishq Karbala Kay Liye   ●Karbobala Naseeb Se Jana Naseeb Ho Phir Laut Kar Wahan Say Ana Naseeb Ho   ●Ankhon Ko Jab Bhi Ashk Bahana Naseeb Ho Aale Nabi Ke Gham Ka Bahana Naseeb Ho   ●Aisa Dar e Hussain Pe Sajda Ho Akhri  Phir Mujhko Apna Sar Na Uhana Naseeb Ho   ●Parvardigar Thokarein Dar Dar Ki Kab Talak  Ab Mutakil Najaf Main Thikana Naseeb Ho   ●Jaisa Mila Naseeb Se Ummul Baneen ko  Ab Kya Kisi Ko Aisa Gharana Naseeb Ho   ●Mehshar Ye Arzoo Hai Ke Be Ghuslo Be Kafan Karbobala Ki Teh Me Samaana Naseeb Ho   ●Ansoo Gire Thay Bali Sakina Kay Jis Jagah Apna Wahan Pay Khoon Bahana Naseeb Ho   ●Yeh Keh Kay Shah Nikle Mazar e Rasool Sy Pardes Main Kafn Mujhy Nana Naseeb Ho   ●Asghar Hai Mairay Hath Bandhay Kehti ThI Rubab Kaise Tumhai Galay Say Lagana Naseeb Ho   ●Mashkiza Lay Kay Roza e Abbas Kay Qareeb Sab Zairo'n Ko Pani Pil

ALI AKBAR KI AZAAN LYRICS MIR HASAN MIR NAUHA 2020

●Ali akber ki azaan   ●Akber Akber Allahu Akber, Allahu Akber, Allahu Akber, Allahu Akber   ●Subh ashoora hui,maa ne ro ro ker suni, Ali Akber ki azaan Akhri fajar hai yeh,is moazan ke liye,phir yeh awaaz Kahan   ●Dasht mai piyase moazan ne,Jo taqbeer kahi Agayi apne musalle pe, Ali ki beti,Yaad phir ai use Apne Baba ki azan,ro pari aun ki maa   ●Abhi kuch dair salamat hai,haram Ka parda Sham ke waqt jab aye gi,azano ki sadaa Jaan bachane ke liye,sar chupane ke liye,chadarein hongi Kahan   ●Ro ke baite ne kaha baap se,hasrat hai meri Aap ki behan to sun lein gi,sadaa Akber ki In hawaon se kahein rukh madine Ka karein,meri sughra hai wahan   ●Naam aya jo Muhammad ka to roye maula,Inna lillah parha aur yeh ghazi se kaha Is ko marenge sinaa,yeh musalman bhala,reham khainge kahan    ●Aya jab naam e Ali uth ke yeh maula ne kaha,Mai fidaa aap pe Baba meri aulad fidaa Teer Asghar ke lage,seena Akber ka chida,mujh pe khanjar ho rawan   ●Itna tarpe ga Hussain ibn e Ali ae beta,Teri maa ,teri ph

AEY MERE BE ZUBAN LYRICS MIR HASAN MIR 2020

  ●Aey mere be zuban,tum reh gaye Kahan Asghar jiye gi kese,tere bagair maa   ●Haye Asghar mere Asghar,haye Asghar mere Asghar Ae raaj dulare Asghar,maa tujh ko pukare Asghar Meri ankh ke tare Asghar,aaja mere pyare Asghar Aey mere be zuban,tum reh gaye Kahan Asghar jiye gi kese tere bagair maa   ●Chehra wo chaand jaisa,kaise bhulai maa Asghar jiye gi kese tere bagair maa   ●Kiya waqt agaya hai,bano ki bekasi per Gurbat pe tere matam,kaise kaise karegi ki madar Aada ne bandh di hain,hathon mai rasiyan Asghar jiye gi kese tere bagair maa   ●Himmat pe maa tumhari,qurban kyun na Jaye Sunti hai teer kha ker,tum ran Mai muskurai Madar ki laaj rakh li,shabash meri jaan Asghar jiye gi kese tere bagair maa   ●Madar ki hai wasiyat,beta khayal rakh Godi mai in ki Asghar,jane ki zid na karna Pehle hee hain shikasta,dadi ki pasliyan Asghar jiye gi kese tere bagair maa   ●Kiya zer r khaak ab bhi soye ho mun chupai Maa sari bibiyon se,sharminda ho na Jaye Har ik shaheed Ka hai,sar bar sar e sina Asg

BETI ALI KI GHAM LYRICS MIR HASAN MIR NAUHA 2020 1442

  BETI ALI KI GHAM LYRICS MIR HASAN MIR NAUHA 2020 1442 ●Haye beti Ali ki Reh gayi beti Ali ki gham uthane ke liye Zakhm khane ke liye,ansu bahane ke liye   ●Waris e tatheer be parda khari hai dasht mai Aik chadar bhi nahi hai sar chupane ke liye   ●Layi thi do phool apni godh mai umm e rabab Aik maqtal ke liye ik qaid ke liye   ●Dhundne nikle Hain aada pusht khaima ki taraf Lash e be sheer naize per uthane ke liye   ●Nok e naiza per utha ker shaam ke bazaar mai shimer lehrata tha chadar dil dhukane ke liye   ●Aate jate jis ko dekho,zulm kerta hai shadeed Pusht e Abid reh gayi hai taziyane ke liye   ●Baarha Zainab hai guzri shaam ke bazaar mai syed e Sajjad ko zinda bachane ke liye   ●Rote rote jarahi hai bachi suy e alqama Neel ruksaron ke ghazi ko dhikane ke liye   ●Gir ke Akber ne sada di jab tu Zainab ne kaha Bhai mai bhi chal rahi hun laash uthane ke liye   ●Mangne aya hai bachi ko kaneezi mai laeen Ab to ajao mere ghazi bachane k liye   ●Tartarha ker reh gayi qabr e Nabi yasir ra

HAZRAT SE JUDA HOGAYA ABBAS SA BHAI LYRICS - MIR HASAN MIR NAUHA 2020

 HAZRAT SE JUDA HOGAYA ABBAS SA BHAI LYRICS - MIR HASAN MIR NAUHA 2020 ●Jab huye bazue Abbas qalam darya per Gir ke thanda hua hazrat Ka alam darya per Garq e khoon hogaya wo behr e karam darya per Gul tha zakhmi hua saqai haram darya per Mushk ko danton mai pakre hui yun laata hai Dahn e sheer mai jis tarha shikar aata hai   ●Algarz lasha Abbas pe aye mola Sar ko zaano pe rakha aur yeh ro ro ke kaha bhai to aj hamein keh do khudara bhaiya Nazh mai bhai ko Abbas ne Bhai bola akhri sansein li aur dar e fana chor diya bhai ne bhai ki agosh mai dam tor diya   ●Abbas haye Abbas, Abbas haye Abbas Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai   ●Pardais mai luti gayi,Haider ki kamai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai   ●Sheh ne yeh kaha lashai saqai haram Baba ki tarha tum bhi juda hogaye hum se Do baar yateemi meri behno pe hai ai Hazrat se juda hogaya Abbas sa Bhai   ●Mazloom se maqtal mai chala hee nh jata Jab khaak pe girte hai utha bhi nahi jaata Ghazi ki shahadat ne qamar aisi jhukai  Hazrat se

MAZLOOM E KARBALA KI AZADAR AAGAI LYRICS - MIR HASAN MIR NAUHA 2022-1442

MAZLOOM E KARBALA KI AZADAR AAGAI LYRICS - MIR HASAN MIR NAUHA 2022-1442 ●Ghairat e Mustafa (saww) Bai Rida Aa Gai Bint e Sher e Khuda (as) Bai Rida Aa Gai   ●Mazloom e Karbala (as) Ki Azadar Aa Gai Zainab (sa) Barehna Sar Jo Bazaar Aa Gai   ●Talwar Kay Bagair Larungi Main Aesi Jang Khutbay Parhungi Aesay Kay Dushman Bhi Hongain Tang Daikho Hussain (as) Tum Bhi Hamaray Jihad Ko Zainab (sa) Hai Aj Ban Kay Alamdar Aa Gai   ●Zainab (sa) Nay Zindagi Main Na Daikhi Koi Kushi Roti Huwi Woh Sham Ki Rahon Main Mar Gai Tanha Lahad Main Bhai Ko Rone Kay Waste Sarkar Panjetan Ki Woh GhamKhaar Aa Gai   ●Jis Dum Utha Yeh Shor Kay Pyase Ko Mar Lo Jaldi Karo Nabi (saww) Kay Nawasay Ko Mar Lo Sun Kar Yeh Shor Dhundti Tanha Hussain Ko  Maqtal Main Bint e Haider e Karar (as) Aa Gai   ●Chehlum Ko Karbala Main Jo Pohancha Tha Qafla Zainab (sa) Nay Keh Kay Nakai Say Khud Ko Giraya Tha Badle Chuka Kay Baba Kay Saray Mairay Hussain (as) Chehlum Mananay Apki Zawaar Aa Gai   ●Mehshar Kay Roz Ayegi Jab Naib e B

AAKHRI RAAT HAI SAKINAA(SA) KI LYRICS MIR HASAN MIR NAUHA 2020

  AAKHRI RAAT HAI SAKINAA(SA) KI LYRICS MIR HASAN MIR NAUHA 2020 ●Sakina Alvida Sakina Alvida   ●Shama Zindaan Main Main Manga Dai Koi Aakhri Raat Hai Sakina Ki    ●Jarahi Hai Hussain Ki Beti Aakhri Raat Hai Sakina Ki    ●Yeh Jo Gardan Pay Hai Rasan Ka Nishaa'n Sath Turbat Main Is Kay Jaye Ga Koi Umme Rubab Se Kehday Ab Yeh Chehra Nazar Na Ayega Aj Jee Bhar Kay Daikh Lo Bibi   ●Pass Baba Kay Jane Wali Hai Ab Tamache Na Koi Maraiga Qabr Main To Ghamo Ki Mari Kay Koi Gohar Nahi Utare Ga Jakai Turbat Main Chain Payegi   ●Hai Janab e Ameer Ki Poti Inteha Is Pay Hai Ghareebi Ki Aalam e Nazya Hogaya Tari Sans Rukne Lagi Hai Bachi Ki Raisma Ab To Khol Do Is Ki   ●Rone Wali Ki Chalti Sanso'n Ko Aj Is Tarha Roka Jata Hai Band Hojaye Shor Girya Ka Sar e Shabbir Laya Jata Hai Hai Mulaqat Baap Beti Ki   ●Shor Yeh Bairyon Ka Kehta Hai Koi Uthta Hai Koi Girta Hai Hai Khbr Yeh Ghareeb Bhai Koi Dam Bhan Ka Nikalne Wala Hai Abhi Laigi Yeh Aakhri Hichki   ●Rokay Sajjad Khud Say Kehtay Thay Kaisa