Skip to main content

Posts

Showing posts from May, 2020

QABRE ZAHRA BANA RAHE HAI ALI LYRICS - MIR HASAN MIR 2020 NAUHA

Mir Hasan Mir (2020) Qabre Zahra bana rahe hai Ali Haye Zahra Haye Haider x3 Haye zahra Qabre Zahra bana rahe hai Ali x2 Apni Gurbat chupa rahe hai Ali Qabre Zahra bana rahe hai Ali Apni Gurbat chupa rahe hai Ali Kyu Kamar jhuk gayi hai Maula ki x2 kiski mayyat utha rahe hai Ali Apni Gurbat chupa rahe hai Ali Qabre Zahra bana rahe hai Ali Apni Gurbat chupa rahe hai Ali 1.Waqte Talqeen Zakhmi Shano ko x2 Dheere Dheere Hila rahe hai. Apni Gurbat chupa rahe hai Ali Haye Zahra Qabre Zahra bana rahe hai Ali Apni Gurbat chupa rahe hai Ali 2. Haye Samna hogaya hai qunfuz se x2 Sabr ko aazma rahe hai Ali Apni Gurbat chupa rahe hai Ali Haye Zahra Qabre Zahra bana rahe hai Ali Apni Gurbat chupa rahe hai Ali 3.Apni Gardan pe neel rassi ka x2 Betiyo se chupa rahe hai Ali Apni Gurbat chupa rahe hai Ali Haye Zahra Qabre Zahra bana rahe hai Ali Apni Gurbat chupa rahe hai Ali 4.Raat hogi toh dege Ghusl o Kafan x2 Aasma dekhe jaa rahe hai Ali Apni Gurbat

PAIKAAN BARAS RAHEY HAIN TABOOT PER HASAN KE LYRICS - MIR HASAN MIR 2020 NAUHA

Mir Hasan Mir (2020) Paikaan Baras Rahey Hain Paikaan Baras Rahey Hain Taboot Per Hasan Ke Ummat Mitari Hai Asar Panjetan Kai. Baba Ke Dil Ke Tukray Tunay Ghine Bahattar (72) Tukray Hazaar Hongay Qasim Tere Badaan Ke Zainab Pukari Bhai, Dil Doobta Hai Mera Ughlo Na Dil Ke Tukreh Sadqay Gaie Dahan Ke. Baitun Nabi Say Haye Utha Hai Phir Janaza Yasrab Ki Bastiyo Me Jhagde Hai Phir Dafan Ke Do Baar Mil Gaya Hai Tum Ko Kafan Aey Mola Mohtaj Hi Rahain Gai Shabbir To Kafan Kay Zahra Jahan Giri Thi Lasha Wahan Na Jaye Phir Zakhm Khul Na Jaye Zair e Kafan Hasan Ke Qabr e Hasan Pay Us Dum Larza Tha Ek Tari Saadat Ne Dikhaye Kuch Neel Jab Rasan Ke Maula Nisar Apni Shamsheer Kyun Uthatay Jab Kay Woh Janasheen Thay Paighambar e Aman Ke

UTHO SAKINA CHALEIN KARBALA SAKINA AYE LYRICS - MIR HASAN MIR 2020 NAUHA

Mir Hasan Mir (2020) Utho Sakina Chalein Karbala Sakina aye Sakina Zindann se jab riha hue sadate karbala Maa ne lipat k qabre sakina pe di yeh sada Utho sakina chale karbala Choti si turbat pe maa ne kaha Zindan se jata hai ab qafla Mujhe shahzadi tumhari qasam Na rakhun gi zindan se bahir qadam Safar ki ab hoti hai tayarian Amari mei bethe hai ahl e aza Ghurbat ka mere tumhe wasta Woh pehle k jese to ghurbat nahi Aye bibi hamari woh halat nahi Tumhe shamiyon se ab aye meri jaan Kafan mangne ki zaroorat nahi Lo mil gai hai tumhari rida Mujhe yaad asghar ki hai babasi Lahad se woh mayat nikali gai Akele mei rehne na dun gi tumhe Bharosa nahi shamio ka koi Rehte hai charo taraf ashqian Yeh shami kahan tumko behlai gay Tumhari lahad per nahi ai gay Rahay ga andhera hi zindan mei Haram jab yahan se chale jai gay Kon ai ga phir jalane diya Kahani padar gi sunao gi mei Agar neend ai sulao gi mei Akele na naqe pe bethu gi tum Tumhay sath apnay bitha

HAEY RUL GAEI MEHNDI HAEY QASIM LYRICS - MIR HASAN MIR 2020 NAUHA

Mir Hasan Mir (2020) Haey Rul Gaei Mehndi Haey Qasim Haey Haey Qasim Haey Qasim Haey Haey Qasim Haey Rul Gaei Mehndi, Haey Rul Gaei Mehndi Haey Rul Gaei Mehndi, Haey Rul Gaei Mehndi Raitaanch Dul Gaei, Mityaanch Rul Gaei, Maa Nu Rawavay, Qasim Di Mehndi. Kubra Da Baba Chadar Vicha Kay, Chun Chun Kay Pavay, Qasim Di Mehndi. Maqtal Cho Syed Ey Vain Paaya, Kallah Hay Nana Zahra Da Jayaa, Kausar Kanaaray Mairay Turgay Saray, Kayra Uthavay Qasim Di Mehndi. Kuj Mehndi Gohray Summach Lay Gay, Kuj Eyday Tukray Maqtalch Ray Gay, Syed Musafir Qasim Di Maa Ton, Keewain Lukaa Vay Qasim Di Mehndi. Putraan Nu Lokon Sehraych Laa O, Qasim Di Pehlaa Majalis Kara O, Banray Nu Aakho Shagnaa Day Vailay, O Kad Nah Javay Qasim Di Mehndi. Khaiyyam Andar Jadon Mehndi Aayi, Banray Di Maa Nay Sir Khaak Paayi, Banree Da Baba Bheni Bulaakay, Ro Ro Vakhaa Vay Qasim Di Mehndi. Pehra Laga Tha Darya Pe Har Jaa, Pyasa Tha Kunbaa Pani Nhi Tha, Pani Ke Badlay Ashkon Se Goondhi, Madar Ne Haey Q

CHADAR DHIKHA DHIKHA KAY LYRICS - MIR HASAN MIR 2020 NAUHA

Mir Hasan Mir (2020) Chadar Dhikha Dhikha Kay Chader na kafan hai dur watan hai Be Parda behan hathon mai rasan Haye zainab haye haye bazaar Chader na kafan hai dur watan hai Be Parda behan hathon mai rasan Abbas ki behan ko shami rula rahe hain Chader dhika dhika ke rasta bana rahi hain Bint e Ali ka fiza kante hata hata ke Pardes mai kisi per aesa na waqt ai Na mahramon mai koi yun be rida na jai Karte hain yeh duain ahl e haram ke bache Jholi utha utha ke Bhai behan ki ankhein nam hoti jarahi hain Bint e Ali ki sansein kam hoti jarahi hain Khanjar chala raha hai Zainab ke dil pe zalim Khanjar dhika dhika ke Ik bachi keh rahi hai ao madad ko baba Dadi ki tarha mai bhi ab ho gayi zaeefa Zakhmi kiya hai pehlu,naqay se zalimon ne Mujh ko gira gira ke Parde mai bhi jo bibi chalti na thi ziyada Pardes mai ab un par aya hai waqt kesa Layein hain shaam wale un shah zadiyon ko Paidal chala chala ke Wo shamiyon ke tane, wo muskurate chehre Be parda sath ap

ABID KO JAHAN GHASH AATA HAI LYRICS - MIR HASAN MIR 2020 NAUHA

Mir Hasan Mir (2020) Abid ko jaha'n ghash aata hai Aabid ko jaha'n Ghash aata hai, Durro'n se Jagaaya jaata hai, Ek phool hai jis ko Kaanto par Din-Raat Chalaaya jaata hai.. (1) Abbas ki Gairat se aksar Aabid ki Aseeri Puchhti hai, Kya chaar baras ki Behna ko Zinda'n mei'n Sulaaya jaata hai.. (2) Saadat ke Khaimey jaltey hai'n Sholo mei'n Ghiri hai Aal e Nabi, Phir aaj Nabi ki Beti par Darwaaza Giraaya jaata hai.. (3) Reh-Reh ke Shah e Dee'n deikhtey hai'n Naizey se Sakina(س) ki Jaanib, Lagta hai ke Pushte Naaqa se Bachhi ko Giraaya jaata hai.. (4) Bibi ko Qareeb e Laash e Jari Durro'n ki Aziyat detey hai'n, Abbas ko tadpaaney ke liye Zainab(س) ko Sataaya jaata hai.. (5) Gairat ke sabab jis Bibi ne Ghar mei'n bhi na dekha Aayina, Be-Parda usey laaney ke liye Darbar Sajaaya jaata hai.. (6) Bin byaah ke Akbar maarey gaye Armaan na nikley Baano ke, Taboot pe Akbar ke Sehra kuch yu'n bhi Chad'haaya jaata hai..

MAQTAL E IMAM HUSSAIN LYRICS - MIR HASAN MIR 2020 NAUHA

Mir Hasan Mir (2020) Maqtal e Imam Hussain Ghareeb e Zahra ki ghurbat suno aye ehle azaa..(2) Akela reh gaya maqtal mein jab mera maula Sipaah e shaam ne charo taraf se gher liya Labe faraat tha har ek khoon ka pyaasa tha ghul charagh e imamat abhi bujhana hai zamee'n pe zeen se shabbir ko girana hai Ye sunke sang kisine jabeen par maara kisi ne pehlu mein barchi ka phal utaar diya kisi ne saamne aakar chalayi tegh e jafa ghareeb e Zahra ka zee'n par sambhalna mushkil tha Ali o Zahra ko rann mein rulaya jaata tha Hussain girte nahi the giraya jaata tha Haaye, Laga jo teer to asghar ko sheh ne yaad kiya pukara ghazi ko jis waqt sar pe gurz laga lagi jo barchi to akbar ko di tadap ke sadaa tamacha khooli ne maara to bole Ya Zahra Ali ko yaad kiya sar pe zarb chalte hue Hasan ko yaad kiya mooh se khoo'n ugalte hue Haaye, Zamee'n pe zeen se hazrat jo muh ke bal aaye jo teer seene mein the pusht se nikal aaye nikal ke pehlu se sab barchhiyo

ARE SEEDHI HO AYE KAMAR TUJHE ABBAS KI QASAM LYRICS - MIR HASAN MIR 2020 NAUHA

Mir Hasan Mir (2020) Kadyal jawa'n ki laash Akbar.. haye akbar, haye akbar..(2) Haaye, ghode se girke jab ali akbar ne di sadaa apni kamar ko thaam ke shabbir ne kaha kadiyal jawa'n ki laash uthane chale hai hum are seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam kadiyal jawa'n ki laash uthane chale hai hum seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam 1. Ye imteha'n za'eefi mein mujhko nibhana hai akbar ko leke khaima e zainab mein jaana hai raste mein ladkhadaye na shabbir ke qadam seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam 2. Ghurbat pe apni roya hai khud ibn e fatima gir gir ke tay kiya hai ye maqtal ka faasla bus hum se door laash hai akbar ki do qadam seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam 3. Laasha hai is qadar ke larazte hai mere haath laasha hai ye rasool ka, akbar ke saath saath do laashe ek saath uthaenge kaise hum seedhi ho aye kamar, tujhe abbas ki qasam 4. Is haal mein mujhe kahi'n Zahra na dekh le haye meri kamar jhuki hui

HOGAYA MARNA SITAM ABBAS KA LYRICS - MIR HASAN MIR 2020 NAUHA

Mir Hasan Mir (2020) Haye alamdaar Haye alamdaar, haye alamdaar..(2) Karte hai matam haram abbas ka hogaya marna sitam abbas ka..(4) Haye alamdaar, haye alamdaar..(3) Kehte the qamar thaam ke ye sayyede abraar Haye alamdaar, haye alamdaar..(2) 1. Ye haal hai laashe ka sambhala nahi jaata..(2) teer aankh se bhai ki nikala nahi jaata Imdaad ko aajaiye ya haider e qarrar Haye alamdaar, haye alamdaar..(2) 2. Zainab ne teri aas pe chhoda tha madina mai kaise batau use saqqaye sakina mara gaya zainab teri chadar ka nigehdaar Haye alamdaar, haye alamdaar..(2) 3. Tum qatl hue hum pe bhi chal jayegi shamsheer aghyaar mein reh jaegi tanha meri hamsheer zainab ki rida bachne ke baaqi nahi aasaar Haye alamdaar, haye alamdaar..(2) 4. Jis tarha se ghar laye the masjid se Ali ko us tarha se le jayenge khaime mein jari ko akbar mere bhai ka janaza karo tayyar Haye alamdaar, haye alamdaar..(2) 5. Bazu bhi qalam hogaye ae bazu e sha

HUR AA RAHA HAI AKBAR SEENE USE LAGAO LYRICS - MIR HASAN MIR 2020 NAUHA

Mir Hasan Mir (2020) Hur aa raha hai akbar Hur ibn e riyahi, aaja mere bhai..(2) Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) Mehmaan ko hamare..(2) khaime mein leke aao Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) 1. Khud yaad hoga usko paani tha usne roka khuddar wo bohot hai sharminda humse hoga pyaase hai saare bachhe, usko na ye batao Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) 2. Dekho woh chal raha hai maidaa'n mein ladkhada kar girne se pehle akbar, usko sambhalo jaakar aye mere shahzade, jaldi qadam badhao Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) 3. Abbas apne dil se, har baat saaf kardo maa Fatima ke sadqe, hur ko muaaf kardo jakar alam ke usko, saaye mein leke aao Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) 4. Beta hussain qaidi, kaise kisiko dekhe meri taraf se kholo, tum uske haaath jaake baba khafa nahi hai, jaakar use batao Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) 5. Tum se bhi pehle marne, jaega uska beta jee bhar ke dekhle wo, a

KARBALA CHALO LYRICS - MIR HASAN MIR 2020

Mir Hasan Mir (2020) Karbala chalo karbala chalo, karbala chalo, karbala chalo karbala karbala karbala..(2) Allahumm-ar-zuqna ziyarat al hussain..(2) Karbala chalo... karbala chalo..(4) Karbala chalo... karbala chalo..(4) Karbala chalo... karbala chalo, karbala chalo..(2) Lo aagaya bulawa..(2) mazloom e karbala ka... 1. Maa muntazir hai bete ke ghumkhaar aayenge aakar mere hussain pe aasu bahaenge bint e rasool takti hai..(2) tum sabka raasta.... karbala chalo.... 2. Zahra ka laal qabr mein hasrat ye le gaya akbar ka kalma goyo ne pursa nhi diya ab sheh ko pursa dena hai..(2) kadiyal jawaan ka.... karbala chalo.... 3. Jee bhar ke apne bhai ko zainab na ro saki majlis zameen e karbobala par na ho saki armaan e sayyeda mein..(2) bichad e safe azaa.... karbala chalo.... 4. Khanjar tale hussain ki aahein gawaah hai halmin mugheesuna ki sadaein gawaah hai kab se hume bulata hai..(2) zahra ka laadla.... karbala chalo.... 5. Jis khaak ne chupaya tha bint

AJ RUKHSAT HO RAHI HAIN TUMSE ZAHRA YA ALI LYRICS - MIR HASAN MIR 2019 NAUHA

Mir Hasan Mir (2019) Aaj rukhsat ho rahi hai tumse zahra ya ali Alwida Fatema (3) Haye Baad baba ke jo guzri wo Musibat sunlo Ya ali fatema zehra ki wasiyat sunlo Aaj rukhsat ho rhi hai Tumse zehra Ya Ali(3) Parda e shab mein meri mayyat uthana Ya Ali Aaj ruksat........ 1. Pasliya todi gai kaise ye batlaungi mai Hashr ke maidaa'n mein bhi is haal mein aaungi mai Haath pehlu se na tum mera hatana Ya Ali Aaj rukhsat..... 2. Wo musibat aap ne achcha hua dekhi nahi Ab mai sidhe haath se tasbih padh sakti nahi Aisa kunfuz ne hai mara taziyana Ya Ali Aaj rukhsat.... 3. Haye.... Kehti hai zainab ye mujhse dekhkar chehra mera Aapke rukhsaar par ye neel hai kaisa pada Are Maine khaya hai tamacha, Mat batana ya ali Aaj ruksat..... 4. Taziyane ki aziyyat ka uthana ek taraf Wo tamache, qatle mohsin, dar jalana ek taraf Sabse mushkil tha magar darbaar jana ya ali Aaj ruksat..... 5. Jab meri talqeen padhna yaad kar lena zara Dar ke girne se mera baazu bhi h

AAJ KI RAAT SAKINA PE BAHOT BHARI HAI LYRICS - MIR HASAN MIR 2019 NAUHA

Mir Hasan Mir (2019) Khuda hafiz Haye... haye..(4) Khuda hafiz sakina.... Khuda hafiz sakina...(2) Baba aajao.. baba aajao ye beti jo tumhe pyaari hai aaj ki raat sakina pe bohot bhari hai..(3) 1. Aable dukhte hai hoti hai chubhan kharo'n ki badhti jaati hai aziyat mere rukhsaro'n ki yehi haalat ba khuda hoti hai beemaro'n ki aisa lagta hai ke marne ki ye tayyari hai aaj ki raat sakina pe bohot bhari hai..(2) 2. Apni janib jo bulati hai ye zindaa'n ki zamee'n ye kahi'n aap se milne ka ishara to nahi jald aajaein na hojaye bas ab der kahi'n aap ke seene pe sone ki meri baari hai aaj ki raat sakina pe bohot bhari hai..(2) 3. Haye.. Itna sabir hai mera bhai ke har dukh sehke khoon ke aansu bahar haal theher jaate the han magar manga gaya jab se kanizi mein mujhe bhai sajjad ki ankho'n se lahu jaari hai aaj ki raat sakina pe bohot bhari hai..(2) 4. Shimr ke durro'n ne kardi hai kamar meri nidhaal mere baalo'n ki s

TU AGAR HOTA TO AISA NAHI HOTA GHAZI LYRICS - MIR HASAN MIR 2019 NAUHA

Mir Hasan Mir (2019) Tu agar hota to aisa nahi hota ghazi Ghazi.. mere ghazi..(2) Mere ghazi.. Aayi jab karbobala laut ke binte Zahra qabr e abbas pe zainab ne kiya ye nauha tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi teri shehzadi yu darr darr na phirayi jaati tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi.. Haye,.. tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi Qabr e abbas pe zainab ye sada deti thi tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi Haye, tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi 1. Kabhi yasrab to kabhi sue najaf dekhte the kabhi tere kate shano ki taraf dekhte the sheh ne akbar ke kaleje se nikali barchhi tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi 2. Hogayi saniye zahra bhi zaeefa abbas saans leti hu magar mai nahi zinda abbas tere tukdo ki qasam teri behen toot gayi tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi 3. Pyaas mein bhi tujhe awaaz diye jaate the zere khanjar bhi tera naam liye jaate the gardan e shaah pe jab shimr chalata churi tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi 4. Ha

AAJAO CHAMD MERE TERI PYAAS MAI BUJHAO LYRICS - MIR HASAN MIR 2019 NAUHA

Mir Hasan Mir (2019) Asghar mai teri maa hu Aaja asghar, aaja asghar..(4) Asghar mai teri maa hu..(2) Aajao chand mere, teri pyaas mai bujhao Asghar mai teri maa hu.. Aajao chand mere, teri pyaas mai bujhao Asghar mai teri maa hu.. Mere laadle kaha'n ho.. mere laadle kaha'n ho.. seene tumhe lagaau Asghar mai teri maa hu.. Aajao chand mere, teri pyaas mai bujhao Asghar mai teri maa hu.. 1. Beta tumhara qatil mere saamne khada hai jaane kyu has raha hai chadar bhi lut chuki hai mu kis tarah chupau Asghar mai teri maa hu.. Aajao chand mere, teri pyaas mai bujhao Asghar mai teri maa hu.. 2. Tere jhule ko sakina ro ro ke chumti hai tujhe ghar mein dhundhti hai, teri maut ki khabar mai kaise use sunau Asghar mai teri maa hu.. Aajao chand mere, teri pyaas mai bujhao Asghar mai teri maa hu.. 3. Meri jaan jaa rahi hai ye soch soch asghar is phool se gale par, ye teer kaise jhela behno ko kya batau Asghar mai teri maa hu.. Aajao chand mere, teri py

TABOOT UTHA RAHA HAI ( IMAM E SAJJAD) LYRICS - MIR HASAN MIR 2019 NAUHA

Mir Hasan Mir (2019) Taboot uth raha hai (Imam Sajjad) Mera beemar imam..(6) haye sajjad, haye sajjad..(2) Phir Fatima ke ghar mein, farshe azaa bicha hai beemar e karbala ka, taboot uth raha hai Karbobala ka zakhmi, yasrab mein chal basa hai beemar e karbala ka, taboot uth raha hai Phir Fatima ke ghar mein.... 1. Haye zere kafan bhi uski aankho'n se khoo'n hai jaari yaad aa rahi hai ghurbat sajjad ko padar ki roze se Mustafa ki aylaan ho raha hai beemar e karbala ka, taboot uth raha hai Phir Fatima ke ghar mein.. 2. Haye, baqir se keh raha tha sadaat ka gharana pehlu mein nanajaa'n ke mayyat na leke jaana pehle bhi ek janaza ghar wapas aa chuka hai beemar e karbala ka, taboot uth raha hai phir Fatima ke ghar mein.. 3. Haye, ab to madine walo tumko sukoo rahega royega aur na iski aankho'n se khoo'n bahega baba ko rone wala khamosh hogaya hai beemar e karbala ka, taboot uth raha hai phir Fatima ke ghar mein.. 4. Mayyat ke aage aage ye

ZAINAB GALE KO CHOOM LE BHAIYYA TO JAIYYE LYRICS - MIR HASAN MIR 2019 NAUHA

Mir Hasan Mir (2019) Zainab gale ko choom le Haaye.. Rukhsat ko aaye khaime mein jab shah e karbala to binte ali ne jodke haatho'n ko di sadaa zainab gale ko choom le bhaiyya to jaiyye..(3) so jaye thodi der sakina to jaiyye zainab gale ko choom le bhaiyya to jaiyye so jaye thodi der sakina to jaiyye..(2) 1. Amma kahengi dekh ke chehra lahu bhara Zainab ne kya khayal nahi rakhha bhai ka..(2) haye, chadar se... chadar se saaf karlu jo chehra to jaiyye so jaye thodi der sakina to jaiyye 2. Zainab ghareeb hogayi kuch bhi nahi bacha laashe uthake aun o mohammad ke mai zara..(2) haye, ek baar... ek baar phir utar lu sadqa to jaiyye so jaye thodi der sakina to jaiyye 3. Jaane na deti barchiyo walo'n mein mai kabhi wo maa hai aur kaneez hu bhaiyya mai aapki arey rann mein bula rahi hai jo Zahra to jaiyye so jaye thodi der sakina to jaiyye 4. Rokungi phir na aapko waada raha mera nazdeek hai yaha'n se najaf shah e karbala..(2) aajaye mere paas jo

ZAHRA QUBOOL KIJIYE PURSA HUSSAIN KA LYRICS - MIR HASAN MIR 2019 NAUHA

Mir Hasan Mir (2019) Zahra qubool kijiye Zahra qubool kijiye pursa HUSSAIN ka Pyase ka bewatan ka shahe mashraqain ka 1) Jab maah e moharram ne khabar gham ki suna di Rukh kar ke baqaiyya ka ye momin ne sada di Tashreef laye farshe..(2), aza SHEH ka bich gaya ZAHRA qubool kijiye.... 2) Mazloom ke gham me hui maghmoom KHUDAI Phir naam pe pyaso ke sabeelen hain lagayi Ghar Ghar me hai HUSSAIN ki..(2), ghurbat ka tazkerah ZAHRA qubool kijiye pursa... 3) Har mod pe dharas jo raha binte ALI ki Wo jiski shahadat pe kamar SHEHki jhuki thi Us sher ke kate hue..(2), shano'n ka wasta ZAHRA qubool kijiye.... 4) Aayi jo madine me zinda'n se palat kar Ghar jane se phle gayi maadar ki lahad par ZAINAB ne maa ki qabr pe..(2), di pehle ye sada ZAHRA qubool kijiye.... 5) GHAZI ko isi maa ne sikhayi thi wafayaen beto ke liye bharti bhala kaise wo aahein Nauha tha ye baqaiyya me..(2), UMMUL BANEEN ka 6) Pardes me ummat ne jise Zakhm diye hain Ek din me jise daag

ZAHRA KI TARHA TOOTI HAI QASIM KI PASLIYAAN LYRICS - MIR HASAN MIR 2019 NAUHA

Mir Hasan Mir (2019) Haye qasim Haye qasim, haye qasim...haye qasim..(2) Pamaal laasha dekh ke kehti hai bibiyaa'n..(4) Zahra ki tarha tooti hai qasim ki pasliyaa'n Pamaal laasha dekh ke kehti hai bibiyaa'n..(2) 1. Tukde pukare dasht mein labbayk ya Hussain..(2) aakar kaha jo maula ne qasim ho tum kaha'n Pamaal laasha dekh ke kehti hai bibiyaa'n..(2) 2. Pamaal jiteji jo hua hai use salaam..(2) rokar lahu ye kehte hai khud sahib az-zamaa'n Pamaal laasha dekh ke kehti hai bibiyaa'n..(2) 3. Aajao mere bhai talak bole ye hasan..(2) qasim na lo hussain ki ghubat ka imtehaa'n Pamaal laasha dekh ke kehti hai bibiyaa'n..(2) 4. Ye kehke kuch nishano ko sheh chumne lage..(2) abbas dekhko ragdi hai qasim ne aydiya'n Pamaal laasha dekh ke kehti hai bibiyaa'n..(2) 5. Tukde uthane laash ke sarwar ke saath saath..(2) zahra gayi hai dasht mein jaane kaha'n kaha'n Pamaal laasha dekh ke kehti hai bibiyaa'n..(2)

HABIB AA JAO LYRICS - MIR HASAN MIR 2019 NAUHA

Mir Hasan Mir (2019) AY HABEEB E HUSSAIN AY FAQEEH E HUSSAIN HABEEB IBNE MAZAHIR aye faqeeh e HUSSAIN AY HABEEB E HUSSAIN ye khat me SHAH ne likha HABEEB aa jao-2. tumhara dost hai tanha HABEEB aa jao YE KHAT ME 1)  shaheed kaise hua wo bataoge aakar tum haal e MUSLIM e bekas sunaoge aaker  RUQAIYYA  takti hai rasta HABEEB aa jao YE KHAT ME 2)  lagao is se bhi andaze meri ghurbat ke jahan pe IBNE ALI lihkna tha wahan pe maine      diya hai maa ka hawala HABEEB  aa jao YE KHAT ME SHAH   3) bata raha tha use koi bhi nhi hai mera    to boli saniya zahra habeeb aayega  hai usko tum pe bharosa HABEEB AA JAO YE KHAT ME SHAH...............      4) wo jab ye sunti hai kufe se ke aa rhe hai shaqi   to puchhti hai hamara bhi aayega koi    duaye degi sakina -2 HABEEB AA JAO YE KHAT ME SHAH.............      5 gawara kar nahi sakti HUSSAIN ki ghairat tumhari zauja ki chadar ko loot le ummat  tum usko chod ke kufa  HABEEB AA JAO YE KHAT ME SHAH......... 

ZAHRA JAIYAN DA ASRA GHAZI LYRICS - MIR HASAN MIR 2019 NAUHA

Mir Hasan Mir (2019) Zahra jaiyan da asra ghazi Tu maan hai bhayn bhirawa da hai zamin paak ridawa da Peya lutda liya shimar rida ghazi..(2) sade parde aan bacha ghazi Zahra jaiyan da aasra ghazi..(4) Hoya karbal, hoya karbal hoya karbal de wich juda ghazi 1. Aj wi binte hussain rondi ye..(4) hath mere qaid to chuda ghazi 2. Haye sir to zainab te leh gayi chadar..(4) Sir to maqtal nu tur paya ghazi 3. Kiwe jawangi shaam te kufa..(4) maiku mahmil te aa baha ghazi Haaye.. 4. Che jaga to hussain chuniya ae..(4) phir bhi pura na mil saka ghazi 5. Meri chadar khuda da parda ae..(4) meri chadar, meri chadar haye meri chadar di tu bakha ghazi 6. Aakhe ummul baneen das zainab..(4) Zeen to ae ki we lataa ghazi 7. Haye shimr raj raj hussain ku maare jaand daye nahi reya ghazi 8. Aan shabbir wayn kita ae..(4) haye zainab nayi reya ghazi 9. Karke matam raza baqiyye wich..(4) aap rondi ye fatima ghazi

MUD MUD KE MUJHE DEKHTE JAANA ALI AKBAR LYRICS - MIR HASAN MIR 2019 NAUHA

Mir Hasan Mir (2019) Dekhte jana ali akbar Akbar Ali Akbar..(3), Ali Akbar Chala jo khaime se marne rasool jaisa pisar to peeche peeche ye kehte hue chale sarwar Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(3) Kuch der to jee le tera..(2), baba ali akbar Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2) 1. Tum zee'n se giroge to badal jayegi duniya maqtal ki taraf kaun hamein leke chalega qatil to bataenge na..(2), rasta ali akbar Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2) 2. Beemar e madina ki khabar aati hi hogi tum saath liye jaate ho beenayi bhi meri haye mai kaise padhunga khate..(2), sughra ali akbar Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2) 3. Ho jayega mushkil mera aana mere beta maqtal mein kahi'n door na jaana mere beta haye ab mujhse chala bhi nahi jaata ali akbar Mud mud ke mujhe dekhte jaana ali akbar..(2) 4. Ehsaas tadapne ka hamare tujhe hota meri tarah tu apna jigar thaam ke rota tera bhi jo hota

MAZDURON KE KANDHO PAR KAZIM KA JANAZA HAI LYRICS - MIR HASAN MIR 2018 NAUHA

Mir Hasan Mir (2018) Kazim ka janaza hai Ya baab e hawaej maula..(6) Haye imam kazim imam..(2) Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(3) Baghdaad ke qaidi par..(2) zindaan bhi rota hai Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2) 1. Is dard ne turbat mein sajjad ko tadpaya zindaa'n se nikal kar bhi azaad na ho paya hai pehla janaza jo zanjeero mein jakda hai Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2) 2. Haye zanjeeero ko takti hai shano ko hilati hai mayyat ko kabhi apni godi mein uthati hai ek haath hai pehlu par lagta hai ye zahra hai Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2) 3. Zarre bhi lahu rokar rudaad sunate hai qadmo'n ke nisha'n iske zindaa'n mein batate hai ye naz'aa ke aalam mein kis tarha se tadpa hai Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2) 4. Jo log guzarte hai aapas mein ye kehte hai gharwale to yasra

RO ROKE ALI KYU LETE HAIN ZAINAB KA NAAM MUSALLE LYRICS - MIR HASAN MIR 2018 NAUHA

Mir Hasan Mir (2018) Zainab ka naam musalle par Haye ali, haye ali, haye ali..(2) Haye ali, haye ali haye ali, maula ali Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2) Kya yaad ali ko aaya hai bazaar e shaam musalle par Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2) 1. Khoo'n jaari tha zakhmi sar se rote the namazi saff mein khade kis tarha hasan ne ro ro kar ki fajr tamaam musalle par Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2) 2. Kya maa ki tarha lene tumko masjid mein chali aaye zainab baba ko jaakar dedo fizza mera paigham musalle par Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2) 3. Haaye, Zakhmi pehlu jab yaad aaya zakhmi peshani bhool gaya zahra ki museebat par roya mazloom imam musalle par Ro roke ali kyu lete hain zainab ka naam musalle par..(2) 4. Ye pehli fajr hai zainab ki sajde mein sukoo'n milta hai nahi dil doobta hai aata hi nahi ik pal aaraam musalle par Ro roke ali kyu let

MADAD KARO FIZZA MADAD KARO LYRICS - MIR HASAN MIR 2018 NAUHA

Mir Hasan Mir (2018) Madad karo fizza Madad karo fizza Shikasta pehlu se mere ye dar hata do khudara 1) tumhari zehmaten jaldi se ab tamam karun, Mai jaate jaate jahan se unhe salam karun, Wo dekho aa gaye baba utha do deke sahara. Madad karo fizza-2 2) gira hai toot k aangan me goshwara mera, Hai kaan zakhmi sitamgar ne is tarha maara, Ali na dekhen khudara chupa do zakhm ye mera. Madad karo fizza-2 3) chalo madine me ik ik ghar pe jayenge, Ghadeer kya hai unhe Yaad hum dilayenge, Fidak to chin gaya mera ye haq na cheene Ali ka. Madad karo fizza-2 4) mareez e maut ke jaisi za'eef lagti hun, Mai aaj tumse zyada za'eef lagti hun, Laga hai jabse tamacha mujhe nazar nahi aata. Madad karo fizza-2 5) sahara de ke mujhe chalo khudara wahan, Wo rassi baandh ke haider ko le gaye hain jahan, Na ab ho der khudara hai mera mola akela. Madad karo fizza-2 6) Ye baat soch k dil se paara paara hai, Hasan k samne zalim ne mujhko maara hai, Bata do kaise karu

ZAMEEN E KARBALA WALAY TUJHE AWAZ LYRICS - MIR HASAN MIR 2018 NAUHA

Mir Hasan Mir (2018) Zameen e karbala wale Aye Yusuf-e-Zahra..(2) Zameen-e-Karbala Walay Tujhe Awaz Daitay Hain. Bahatar Be-Kafan Lashay Tujhe Awaz Daitay Hain. Hai Kahin Ganjay-e-Shaheedan Mein Rakhi Gathri Koi. Kisi Ki Lash Ke Tukray Tujhe Awaz Daitay Hain. Chalte Naqay Se Giray Jo Maon Ki Aagosh Se. Woh Sare Be-Zubaan Bache Tujhe Awaz Daitay Hain. Tishnagi Aa Kar Sakina(SA) Our Asghar(AS) Ki Bujha. Na Jane Kab Se Woh Pyase Tujhe Awaz Daitay Hain. Al-Ajal Kehti Hain Jholay Ki Sulagti Lakriyaan. Kahin Jalte Howay Khaimay Tujhe Awaz Daitay Hain. Unn Ki Mazloomi Musaiyab Ki Zameen Se Poch Le. Woh Do Bachay Ruqaiya(SA) Ke Tujhe Awaz Daitay Hain. Jalte Khaimo Se Bacha Kar Layi Jo Sajjad(AS) Ko. Ossi Ke Paon Ke Chalay Tujhe Awaz Daitay Hain. Jo Shaheedan-e-Wilay-e-Murtaza(AS) Hai Aaj Bhi. Kafan Bandhe Howay Sar Se Tujhe Awaz Daitay Hain.

SAFAR PHUPHIYAN DI PESHI DE SUNANE PAY LYRICS - MIR HASAN MIR 2018 NAUHA

Mir Hasan Mir (2018) Safar phuphiyan di peshi di Haye zainab haye shaam -2 Sajjad ne puri zindagi wich ro roke wayne paaye-2 May maut to aakhe jeevan de ae saare waqat nibhaye Safar phupiyan di peshi de sunane pay gaye menu - 3 Chupane san zakhm jede - 2 wakhane pay gaye menu Kado koi veer zinda si meda laasha uthawan lai Medi gurbat ke jangla wich jado koi baal marya si Janaze apni phupiyan to -2 Chupane pay gaye menu Bazarich apni phupiyan layi ki tu chacha mai le aanda Odi bawa to sadqe kis tarah abbas ban jaanda Bada roya jado majme-2 Hatane pay gaye menu Jigar akbar da neze to chudaya mere babene Musibat hor ki hoyi ke safra wich sakina de Shimr to baal khud aapi - 2 Chudane pay gaye menu Hoyi jado sangbaari tay meri behna bichad gaiyaan Bada gayyur ha lekin sadawa deni aa paiyaan Bazaarech naam behna de -2 Bulane pay gaye menu Kite pehchaan na le hind ae zainab ye zehra di Hanera shaam wale qaid khane da wadha wan layi Jede do chaar dive sa

DEKHA JAB BAAP KA LAASHA TO SAKINA ROYI LYRICS - MIR HASAN MIR 2018 NAUHA

Mir Hasan Mir (2018) Dekha jab baap ka laasha to sakina royi Dekha jab baap ka laasha to Sakina royii Shimr ne maara jo durra to Sakina royii 1) Naa milaa paani usey aag bujhaaney ke liye..(2) Jalgayaa Bhai ka jhoola to Sakina royii 2) Odhkar sarr pey ridaa kaan mey durr pehney huwey..(2) Saamney aayi jo ramlaa to Sakina royii 3) Maarkar sayyad e mazloom ke hoto pey chadii..(2) Jab hasaa haakim e koofa to Sakina royii 4) Kya Sakina ho tumhi itna bataado Bibi..(2) Hind Ney aakey Jo poocha to Sakina royii 5) Chaahti thi ke wo ley aaye usey khaimey mein..(2) Baap ka laasha na uttha to Sakina royii 6) Qaid mein sunte huwey baap ke sarr se lori..(2) Zakhmi hoto ko jo dekha to Sakina royii 7) Mir Sajjad wo naaqey se girii royi nahi..(2) Aakey daadi ne uthaaya to Sakina royii Dekha jab baap ka laasha to Sakina royii

ZAKHM E AKBAR PE LAILA RIDA DAAL DO LYRICS - MIR HASAN MIR 2018 NAUHA

Mir Hasan Mir (2018) Zakhm e akbar pe laila rida daal do Haye Akbar haaye Akbar..(3) Keh rahe the ye roro ke sarwar zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo Mera farzand Hai khoon mein tarr..(2) zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo 1) Zakhm se is qadar khoo'n bahaa hai khoon e akbar se tarr karbala hai Naiza e zulm ki loriyo se Laadla Mera soyaa huwa hai Koi isko jagaade na aakar zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo 2) Haath me khoo'n ki mehndi lagaalo Bass tasawwur me doolha banaalo Tumne maanii hai jo zindagi bhar Mannate aaj saari badhaalo Gurbato ka ye sehra sajaakar zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo 3) Meri behno ko kab ye pataa Hai Wo samajhtii Hai ye sorahaa Hai Sard Hai jism saakit Hai nabzein Mera kadiyal jawaa marchukaa Hai Haath seene se iskaa hataakar zakhm e Akbar pe Laila ridaa daaldo 4) Ghum ki kaalii ghataa chaa rahii Hai Mujhko ye baat tadpaa rahii Hai Pardaa saidaaniyo ka luteyga Shaam e gurbat qareeb aarahii Hai Phir maya

SHAAM HAYE SHAAM LYRICS - MIR HASAN MIR 2018 NAUHA

Mir Hasan Mir (2018) Shaam haye shaam Ya hussain..(4) Shaam ka bazaar kuja, abid e beemar kuja..(2) zainab e dilgeer kuja, majma e aghyaar kuja haye shaam, haye shaam, haye shaam..(2) Teri ummat ke zewar pehenkar..(2) mere nana chali hu mai shaam shham haye shaam..(3) 1. Mai deti kafan tujhko bhayya gar sar pe rida mere hoti gar hote khule haath mere tere zakhmo ko hatho se dhoti pa bande rasan sar barehna..(2) dekho bhayya chali hu mai shaam shham haye shaam 2. Jis zainab ko tumne baradar kabhi nakhre utha kar na dekha haath rassi se mere bandhe hai aur sar par nahi mere parda kaise kufe mein jaungi ghaazi..(2) jab balwe mein aayega naam shham haye shaam 3. Jaise darbaar paas aa raha hai mera dil doobta jaa raha hai mai to ghar mein bhi kam bolti thi bhai tumko to sab kuch pata hai kis tarha se karegi bata de..(2) ek sharabi se zainab kalaam.. shham haye shaam 4. Dil ye kehta hai ro ro ke bhayya kaash abbas maujood hota kaat deta wo uski zaba&#

SADME UTHA RAHI HU MAI BABA TUMHARE BAAD LYRICS - MIR HASAN MIR 2018 NAUHA

Mir Hasan Mir (2018) Baba tumhare baad Haye, sadme utha rahi hu mai baba tumhare baad..(2) darbaar jaa rahi hu mai baba tumhare baad sadme utha rahi hu mai baba tumhare baad 1. Baba ye fatima pe musibat ka waqt hai ye marhala kathin hai qayamat ka waqt hai khutba suna rahi hu mai..(2) baba tumhare baad 2. Koi mujhe bataye ke kya tha mera qusoor sadma hai ye ke shehr ki aabadiyo'n se door aasu baha rahi hu mai..(2) baba tumhare baad 3. Baba tumhare baad ye mujhpar sitam hua mohsin mera shaheed hua wa musibata ye ghum utha rahi hu mai..(2) baba tumhare baad 4. Baba ghareeb beti ki ghurbat to dekh lo ummat ne haq nahi diya binte rasool ko ye ajr paa rahi hu mai baba tumhare baad 5. Ummat ki har naqaab ko rukh se hata ke aaj darbaar mein laeen ke khutba suna ke aaj haq ko bacha rahi hu mai..(2) baba tumhare baad

YA FATIMA RIDA MEIN CHUPA LO HUSSAIN KO LYRICS - MIR HASAN MIR 2018 NAUHA

Mir Hasan Mir (2018) Ya fatima rida mein chupa lo hussain ko Ya ghareeb ya hussain haye ghareeb, haye hussain haaye.. arey maqtal mein gir raha hai..(2) sambhalo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(3) maqtal mein gir raha hai..(2) sambhalo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(3) 1. Paiwast hai ghareeb ke pehlu mein barchiya'n tumko bhi uthne deti nahi tooti pasliya'n lekar ali ka naam..(2) utha lo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2) 2. Deewar o darr ke  beech jo armaan reh gaye rakhi hui thi dil mein jo mohsin ke waaste wo loriya'n bhi aaj..(2) suna lo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2) 3. Sola pehere ki pyaas hai aur hai labo pe dumm dekar ghareeb bete ko abbas ki qasam paani agar mile to..(2) pila lo hussain ko ya fatima rida mein chupa lo hussain ko..(2) 4. Sheh ki ghareeb beti ke armaan ki tarha godi mein leke teesri shabaan ki tarha kuch der ho sake to..(2) s

ABBAS TERA HAQ HAI ZAMANA TUJHE ROYE LYRICS - MIR HASAN MIR 2018 NAUHA

Mir Hasan Mir (2018) Abbas tera haq hai Abbas, Abbas, Abbas..(2) Abbas tera haq hai zamana tujhe roye..(2) jab shaam o sahar fatima zahra tujhe roye Abbas tera haq hai zamana tujhe roye..(2) Haye abbas.. 1. Durra liye pehre pe sitamgaar khada hai..(2) kaise tere laashe pe sakina tujhe roye..(2) Abbas tera.. 2. Jis waqt uthaya na gaya laasha jawa'n ka..(2) sheh us ghadi akbar se zyaada tujhe roye..(2) Abbas tera.. 3. Zainab ne kaha shame ghareeba mein aye ghaazi..(2) be parda mujhe dekhke baba tujhe roye..(2) Abbas tera.. 4. Sajde ke liye jab liya haatho ka sahara..(2) to sajjad musalle pe hamesha tujhe roye Abbas tera.. 5. Bin haath ke kis tarha tu ghode se gira tha..(2) ye sunke bohot ehle madina tujhe roye..(2) Abbas tera.. 6. Mashkiza kahi'n, jism kahi'n, haath kahi'n hai jaa jaa ke kaha'n fatima zahra tujhe roye..(2) Abbas tera.. 7. Armaan sakina ka tha jitna tujhe roti..(2) sajjad teri qabr pe utna tujhe roye..(2) Abbas te

QAID KHANE SE SAAKINA KI YE AATI THI SADA LYRICS - MIR HASAN MIR 2018 NAUHA

Mir Hasan Mir (2018) Qaid khane se sakina ki ye aati thi sada Haye sakina, haaye sakina haye sakina Haye...haaye... Samajh ke zahra sataya gaya sakina ko qadam qadam pe rulaya gaya sakina ko wo zakhm aaj bhi taaza hai pushte naaqa se haye giri nahi hai giraya gaya sakina ko haye... haye Qaid khane se sakina ki ye aati thi sada pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha Mujhko chalte hue naaqe se giraya baba pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha Hogayi chaar(4) baras mein hi sakina, zahra pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha Qaid khane se sakina ki ye aati thi sada pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha 1. Wo bhi dada se chupati rahi apna pehlu mujhse bhi dekhe na jayenge ali ke aasu..(2) jeeteji mere mera zakhm na dekhe bhaiyya pasliya'n toot gayi meri bhi dadi ki tarha 2. Kaise aayi hu mai bazaar se hokar baba mujhko maare gaye is zakhm pe patthar baba..(2) roke mai kehti rahi phir bhi kisi ne na suna pasliya'n

CHACHA MAI APKI TURBAT BANANE AAYA HU LYRICS - MIR HASAN MIR 2018 NAUHA

Mir Hasan Mir (2018) Chacha mai aapki turbat Haye chacha abbas..(3) Haan.. arey jab dafn karne aaye, tane paash paash ko abid pukare dekh ke ghazi ki laash ko chacha mai aapki turbat banane aaya hu sakina ab bhi hai pyaasi batane aaya hu chacha mai aapki turbat banane aaya hu..(2) sakina ab bhi hai pyaasi batane aaya hu chacha mai aapki turbat banane aaya hu..(2) 1. Batau kaise chacha kya guzar gayi hum par har ek shehr mein maare gaye hame patthar thi maaein phupiya mere saath aye ali ke pisar ye saari zulm ke qisse sunane aaya hu chacha mai aapki turbat banane aaya hu..(2) 2. Haram ko chodke kufe se aa raha hu chacha bata gay hai tumhari wasiyatein baba wahi ho qabr chida tha jaha'n pe mashkiza kiya tha sheh se jo waada nibhane aaya hu chacha mai aapki turbat banane aaya hu..(2) 3. Hai teen roz se laashe pe dhoop ka saaya ye haal dekhke rota hai khoon dil mera ghareeb hu mai kafan tumko de nahi sakta haye tumhari laash ke tukde uthane aaya hu chac