Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

TU AGAR HOTA TO AISA NAHI HOTA GHAZI LYRICS - MIR HASAN MIR 2019 NAUHA

Mir Hasan Mir (2019)

Tu agar hota to aisa nahi hota ghazi
Ghazi.. mere ghazi..(2)
Mere ghazi..
Aayi jab karbobala laut ke binte Zahra
qabr e abbas pe zainab ne kiya ye nauha
tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi
teri shehzadi yu darr darr na phirayi jaati
tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi..
Haye,..
tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi

Qabr e abbas pe zainab ye sada deti thi
tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi
Haye,
tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi

1. Kabhi yasrab to kabhi sue najaf dekhte the
kabhi tere kate shano ki taraf dekhte the
sheh ne akbar ke kaleje se nikali barchhi
tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi

2. Hogayi saniye zahra bhi zaeefa abbas
saans leti hu magar mai nahi zinda abbas
tere tukdo ki qasam teri behen toot gayi
tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi

3. Pyaas mein bhi tujhe awaaz diye jaate the
zere khanjar bhi tera naam liye jaate the
gardan e shaah pe jab shimr chalata churi
tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi

4. Haaye..
Mere haatho ko bhi rassi se gaya tha bandha
mai bhi haatho'n ka na le paayi sahara bhaiyya
jaise tu zee'n se gira wese mai naaqe se giri
tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi

5. Qaid khana bhi gharibi pe mere rota hai
laash mastoor uthaye ye kaha'n hota hai
farz beto'n ka nibha aayi ali ki beti
tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi

6. Kaise batlau wo darbaar ka manzar bhaiyya
khelta tha sare sarwar se sitamgar bhaiyya
maarta tha mere mazloom ke hoto'n pe chadi
tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi

7. Qabr mein chayn se masoom ko sone na diya
wo sitam dhaya gaya kaan'p gayi karbobala
laash dhundhi gayi naizo se ali asghar ki
tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi

8. Ladkhada te the bohot pao'n to gir jaate the
ho kaha'n mere jawa'n roke ye farmate the
laash milti na thi bhaiyya ko ali akbar ki
tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi

9. Mir sajjad ye mehsoos karoge tum bhi
aati hai roza e ghazi pe sada sarwar ki
aaj bhi qaid hai zindaan mein bachhi meri
tu agar hota to aisa, nahi hota ghazi

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015