Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2023

Sakina chaar barso me zaeefa ho gayi baba Soz Lyrics Mir Hasan Mir 2021

Sakina chaar barso me zaeefa ho gayi baba Sitam itne hue mujh pe mai Zahra ho gayi baba Kisi se kuch nahi kehti hu mai bas khawamosh rehti hu (X2) tumhari laash se uth kar mai laasha ho gayi baba Mujhe pechana mushkil hai chehra itna zakhmi hai ( x2) tamacho ke Rida ab mera parda ho gayi baba Tumhara sar Jale Daman me jab Darbar me aaya (x2) mujhe aise laga me phir se Zinda ho gayi baba Bacha laayi hu mai sajjad aur bakir ko zinda Tak (x2) Teri beti tere beto pe sadqa ho gayi baba Sar e shabbir pe sar rakh ke aahista se wo boli (x2) Jo tum kehte the chup ho jao accha ho gayi baba

Labon se nikal kar azaan ro rahi hai Soz Lyrics Mir Hasan Mir 2012

Labon se nikal kar azaan ro rahi hai Musallay Pe Akbar Ki Maa Ro Rahi Hai Abhi To Gaya bhi Nahi Ran Mein Akbar. Abhi Dil Hai Akbar Ka Seene Ke Andar. Magar Phir Bhi Nook-e-Sina Ro Rahi Hai. Dua Hai Yehi Ghamzada Maa Ke Lab Par. Khudaya Salamat Rahe Mera Akbar. Woh Le Le Ke Bas Hichkiyaan Ro Rahi Hai. Kabhi Khak Par Baith Kar Rahgurzar Mein. Judai Mein Akbar Ki Veeran Ghar Mein. Behan Ghamzada Neem Jaan Ro Rahi Hai. Tarapti Hai Sughra Chaley Aao Bhaiyya. Kahin Mar Na Jaye Judai Mein Sughra. Woh Beemar Ab Na Tawaan Ro Rahi Hai. Wahan Par Madine Mein Roti Hai Sughra. Yahan Par Sakina Ke Lab Par Hai Noha. Behan Ik Yahan Ik Wahan Ro Rahi Hai. Dua Kar Rahi Hai Yeh Karbal Mein Laila. Na Maut Aaye Akbar Ko Mere Khudaya. Jawani Yeh Sun Kar Biyaan Ro Rahi Hai. Aye Nazoon Ke Palay Zara Sa Thehar Ja. Keh Zainab Saja Le Tere Sar Pe Sehra. Keh Aoun-o-Muhammad Ki Maa Ro Rahi Hai. Nabi Dekhtey Hain Falak Se Yeh Manzar. Safon Mein Kharey Sab Namazi Hain Muztar. Imamat Liye Hichkiyaan Ro Rahi Hai.

Nikla hai janaza koi Allah Ke ghar se Soz Lyrics Mir Hasan Mir 2011

Nikla hai janaza koi Allah Ke ghar se, Aflaaq me ek shor hai maatam Ke asar se. afsos Ke masjid me namaazi gaya maara, Kuch kamm nahi ye hashr qayaamat Ke asar se. zainab se kehdo Ke ye dil kholke roye, Shabbir ki hamsheer hai roney ko na tarsey. abbas zaraa zainab e muztar se qabardaar, Faryaad se hat jaayena chaadar kahi Sar se. haa bhoolna jaana inhey koofey Ke makeeno, Guzrengi ye shehzaadiya is raah guzar se. ashaab Bhi sun Paaye na jis bibi ki aahat, Sar nangey wohi guzrengey is raah guzar se.

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka Soz Lyrics Mir Hasan Mir 2005

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ..(2) 1. Ae hurr teri qismat ne, kyu aaj ye karwat li ..(2) Kya subho ko dekha tha chehra ali akbar ka 2. Shabbir jhulate the abbas ke jhule ko ..(2) Abbas jhulate hai jhula ali akbar ka 3. Pucha gaya yusuf se jab husn ke baare me ..(2) Has kar kaha ye to hai sadqa ali akbar ka ..(2) 4. Laila ne kaha baithu, kis tarha mai saye me ..(2) Phirta hai nigaaho me chehra ali akbar ka ..(2) 5. Pucha gaya jab sheh se kyu kham hai kamar maula ..(2) Bole ke uthaya tha laasha ali akbar ka ..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ...Shared using Nauha Lyrics

Salaam Us Pe Jo Karbal Basa Ke Soya Hai Soz Lyrics Hasan Abbas 2019

SALAAM US PE JO KARBAL BASA KE SOYA HAI Salaam us pe jo karbal basaa ke soya hai Durood us pe jo ghar ko luta ke soya hai Salaam us pe jo khud to ujad gaya lekin Khuda ke deen ki basti basa ke soya hai Ham us husain ko dil se salaam karte haiñ Jo khud ko marziy e haq par mita ke soya hai Salaam us pe ke seh roz khud raha pyaasa Magar jo pyaas wafa ki bujha ke soya hai Hamaare sar pe hai ahesañ janaabe hur ka jo Hunar najaat ka jag ko sikha ke soya hai Salaam karte haiñ us chhe maheene waale ko Ke teer kha ke bhi jo muskuraa ke soya hai Durood un pe ke jin ko habeeb kehte haiñ Jo apne yaar se yaari nibha ke soya hai Hamaari jaaneiñ ho qurbaan husn waale par Jigar pe neze ka jo zakhm kha ke soya hai Salaam syed e sajjad par jo duniya meiñ Gham e husain ki duniya bana ke soya hai Durood us pe ke karbobala ki dharti par Jo laaelaah ki qismat jaga ke soya hai 'Hasan' yun jee ke maro ke kahe ye kal duniya Charaagh e zikr e bahattar jala ke soya hai ...Shared using Nauha Lyrics

Sakina ne kaha duldul sunani Soz Lyrics Ghulam Ali Naqvi 2022

Sakina ne kaha duldul sunani kiski laya hai Bata kuch to mere baba ko kis Jan chord aaya hai 1.) Sakina ne kaha. Kis vaste tu sar patakta hai Vo bola jalti reti par tane athhar tadapta hai 2.) Sakina ne kaha baba hamare kiya huve duldul Isharo se kaha pamal lasha ran mein hota hai 3.) Jo pucha mere baba ki madad ko kaun aaya tha Zubane bezubani se kaha beemar beta hai 4.) Wo boli kuch bata mathe pe tere khun hai kiska Nishani ke liye sar unke kadmo se lagaya hai 5.) Sakina ne kaha kiya marte dam Pani bhi paya tha Juka kar sar kaha mahenga hai Pani khun sasta hai 6.) Wo boli marte dam hai wan kobhi sehraab karte hai Kaha sukhi raghe thin kund khanjar uspe faira hai 7.) Jo pucha kiya chacha ko hai khabar baba ke mar ne ki Wo bola Han abhi tak naher pe lasha tadapta hai 8.) Sakina ne kaha. Kiya bhai akbar bhi natha mera Kaha usne to pahele hi jigar par neza khaha he 9.) Wo boli kuch khabar tujko ali asghar ki hai duldul Patak kar sar Kahan haan nanhe ka madfan banaya hai 10.) Bata dul dul

Ek Choti Si Lehad Dekho Soz Lyrics Askari Karbalai 2022

Ek Choti Si Lehad Dekho Bana Kar Abid Khoon Roya Hai (2) Sakina Ko Sula Kar Abid 1.Kaise Baba Ne Uthaya Tha Badan Asgar Ka Uth Na Paya Hai (2) Sakina Ko Utha Kar Abid 2.phool Se Galo'n Pe Kehte Hai Tamacho Ke Nishan Kash Baba Ko (2) Dekhati Me Bitha Kar Abid 3.Jis Tarah Sunti Thu Baba Se Ye Bibi Lori Aise Talqeen (2) Pari Sheh Ne Hila Kar Abid 4.Dekh Kar Khoon Barey Kurte Ko Badan Se Chipka Gir Gaye Khak Pe (2) Ye Noha Sun Kar Abid 5.Aey Musalmano Tumhe Ab Na Satayegi Sada Bole Turbat Me (2) Sakina Ko Sula Kar Abid 6.Askari Shor Utha Roye Tadap Kar Maula Amma Zainab Ko (2) Gale Apne Laga Kar Abid   ...Shared using Nauha Lyrics

Mujraee khalq mein Soz lyrics Asad Amanat Ali Khan 2010

Watch Video Mujraee khalq mein, in aankhon ne, kya kya dekhaaaa Par kahin sibte payambar sa na, aaqaa dekhaaaa Mujraee khalq mein. 1. Maine dekha alaame shah ko, aalooda e khoon ..(2) Main ne nezay pe sar-e dilbar-e-Zehra dekhaaa Mujraee khalq mein. 2. Maine dekha Ali Asghar ka galaa khoon mein tarrr ..(2) Maine Abbas ko, reti pe, tadapta dekhaaa Mujraee khalq mein, 3. Ek gathdi shahe deen pusht pe laaye us mein ..(2) Main ne tukde huway, Qasim ka saraapa dekhaaa Mujraee khalq mein 4. Gir paday sibt-e-nabi, thaam kay haathon say jigar ..(2) Ali Akbar ko jo rayti pay tadapta dekha Mujraee khalq mein 5. Bay-rida khalq nay us bibi kay sar ko dekha ..(2) Jiski maadar ka, kisi nay na janaaza dekha Mujraee khalq mein 6. Haaye kyon ho na gayee, saur ke, in aankhon ne qaid khaanay mein Sakina ka, janaaza dekhaaa Mujraee khalq mein 7. Boli ye Zainab-e-muztar, kay khooda khair karay ..(2) Raat ko khwab mein, uriyan sar-e-Zehra dekhaaa Mujraee khalq mein 8. Jaake Zainab ne, madine mein kaha, Sugh

Aaj koofe may lyrics Soz 2014

aaj koofe may shabbir-o-shabbar ro rahe hai baap ko apne zehra ke dilbar ro rahe hai behrobar may hai shor aaj barpa va ali ka aaj jibraeel arshe bari par ro rahe hai aaj koofe may.... aaj shehzadiyan hai pareshan shahe zeeshan uthke taskeen do behre daawar ro rahe hai aaj koofe may.... chod kar humko baba sidhare be-sahare betiyan fathima ki ye keh kar ro rahe hai aaj koofe may.... E yateemo ke bewaon ke waali shahe aali ab na waaris raha koi sar par ro rahe hai aaj koofe may.... hai janaze pe ek shor barpa bekaso ka baap se lipte shabbir-o-shabbar ro rahe hai aaj koofe may.... khaak udate hai sar par nawase mustufa ke ghar se jaata hai taboote hyder ro rahe hai aaj koofe may.... ay himayat azadare hyder peet kar sar aaj is tarhe nohay ko sunkar ro rahe hai aaj koofe may.... ...Shared using Nauha Lyrics

Jab Qatl Kiya Nahar Pa Saqqa-E- Haram Ko lyrics Soz 1990

Jab Qatl Kiya Nahar Pa Saqqa-E- Haram Ko Bhaai Ka Diya Daagh Shahinshaah-E Umam Ko Paani Na Diya Pyaas Me Us Bhar-E- Karam Ko Tha Shour Ke Ab Qouf Kisi Ka Nahin Ham Ko         Ghaazi Ko Jigar Band-E- Yadullah Ko Maara         Abbas Ko Kya Qatl Kiya Shaah Ko Maara Aada Tho Ye Kahthe The Shah-E-Deen Ka Ye Tha Haal Tar Aansuounse Hotha Tha Rumaal Pa Rumaal Farmaathe The Kya Hogaye Abbas-E- Qush Iqbaal Dunya Me Nahi Jeene Ka Ab Fatema Ka Laal         Bin Bhai Basar Hogi Na Ek Aan Hamaari         Abbas Ke Maatam Me Gayi Jaan Hamaari Bekas Huwe Ab Koi Nahi Hamdam-O- Yaawar Paaenge Kahan Aisa Wafaadar Baradar Bar Aae Kahin Aarzu-E- Sibte Payambar Jaldi Meri Gardan Pa Chale Zulm Ka Qanjar         Dushman Pa Bhi Ye Aalam-E- Tanhaai Na Howe         Jeene Ka Mazaa Khaak Hai Jab Bhaai Na Howe Ye Kahke Tadapne Lage Sultan-E- Do Aalam Barpaa Tha Ajab Qaima-E- Shabbir Me Maatam Chillati Thi Zainab Ke Jigar Phat-Te Hai Is Dam Bhaai Ke Alam Me Na Jiyenge Shah-E- Akram         Andher Jahan Hai Jo Alamda

Bin Baazoun Kay Utra Hai Abbas (as) Zeen Se | Mir Hasan Mir Nohay 2023 | Muharram 2023/1445

Bin Baazoun Kay Utra Hai Abbas (as) Zeen Se | Mir Hasan Mir  Bin Baazoun Kay Utra Hai Abbas (as) Zeen Sy | Mir Hasan Mir Nohay 2023 | New Nohay 2023 | Muharram 2023/1445 #MolaAbbasNoha ‪‎ #MirHasanMirNohay #Nohay2023 Noha | Bin Baazoun Kay Utra Hai Abbas (as) Zeen Sy Recited By | Mir Hasan Mir Written By | Janab Hasnain Akbar Audio Recorded By | Hassan Qureshi (ODS) Audio Mix & Master | ODS Karachi Composition | Mir Hasan Mir Video | RIZ Records (Qamarain Rizvi) Creatives | Alamdar Raza ☆ SAR Creative Translation | Ahmed Virani (USA) Haye Abbas Haye Abbas Haye Kulsoom Ro Ky Kehti Thiin Ummul Baneen Say Bin Baazoun Kay Utra Hai Abbas Zeen Se Haye Kulsoom Ro Ky Kehti Hain Ummul Baneen Say Bin Bazuon Kay Utra Hai Abbas Zeen Say Ummeed Pyasay Bachon Ki Mujh Say Jurhi Rahay Woh Chahta Tha Mashk E Sakina Bachi Rahay Yun Teer Rokta Raha Apni Jabeen Say Bin Bazuon Ky Utra Hai Abbas Zeen Say Kulsoom Ro Ky Kehti Hain Ummul Baneen Say Bin Bazuon Kay Utra Hai Abbas Zeen Say Baba Ka Zakhm

Amma Fizza Mir Hasan Mir Mir Jawad Mir | Nohay 2023 | Muharram 2023/1445

  Amma Fizza | Khususi Kalam | Mir Hasan Mir & Mir Jawad Mir | Nohay 2023 | Muharram 2023/1445 Amma Fizza | Khususi Kalam | Mir Hasan Mir Nohay 2023 | New Nohay 2023 | Muharram 2023/1445 #AmmaFizza ‪‎ #MirHasanMirNohay #Nohay2023 Noha | Amma Fizza Recited By | Mir Hasan Mir - Mir Jawad Mir Written By | Janab Rehan Azmi (Marhoom) Audio | Shabih (92 Studio) Audio Mix & Master | ODS Karachi Composition | Janab Raza Shah Video | Ejaz Gilgiti Post | Zeeshan Syed Creatives | Alamdar Raza ☆ SAR Creative Translation | Ahmed Virani (USA) Amma Fizza Amma Fizza Amma Fizza Bata Day Mujh Ko Pathar Kiun Aa Rahay Hain Kaisa Hai Yeh Charaghan Dill Doobay Ja Rahay Hain Kya Shaam Aa Gaya Hai Amma Fizza Bata Day Mujh Ko Pathar Kiun Aa Rahay Hain Itna Chalay Hain Paidal Kaanton Py Saray Qaidi Thak Jati Chaltay Chaltay Chalti Agar Zameen Bhi Pairon Ky Aablay Bhi Aansoo Baha Rahay Hain Kya Shaam Aa Gaya Hai Amman Fizza Bata Day Mujh Ko Pathar Kiun Aa Rahay Hain Hain Log Kis Tarah Kay Hum Say Du