Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

Bin Baazoun Kay Utra Hai Abbas (as) Zeen Se | Mir Hasan Mir Nohay 2023 | Muharram 2023/1445


Haye Abbas Haye Abbas

Haye Kulsoom Ro Ky Kehti Thiin Ummul Baneen Say
Bin Baazoun Kay Utra Hai Abbas Zeen Se

Haye Kulsoom Ro Ky Kehti Hain Ummul Baneen Say
Bin Bazuon Kay Utra Hai Abbas Zeen Say

Ummeed Pyasay Bachon Ki Mujh Say Jurhi Rahay
Woh Chahta Tha Mashk E Sakina Bachi Rahay
Yun Teer Rokta Raha Apni Jabeen Say
Bin Bazuon Ky Utra Hai Abbas Zeen Say

Kulsoom Ro Ky Kehti Hain Ummul Baneen Say
Bin Bazuon Kay Utra Hai Abbas Zeen Say

Baba Ka Zakhm Yad Hai Gehra Tha Kis Qadar
Aisay Hi Tha Do Neem Meray Bawafa Ka Sar
Haider Ki Tarha Khoon Tha Jari Jabeen Say
Bin Bazuon Ky Utra Hai Abbas Zeen Say

Kulsoom Ro Ky Kehti Hain Ummul Baneen Say
Bin Bazuon Ky Utra Hai Abbas Zeen Say

Ek Aankh Mein Tha Teer To Ek Aankh Mein Lahu
Khaimay Ki Raah Dhund Raha Tha Woh Char Soo
Ek Gurz Ny Gira Diya Bey Kas Ko Zeen Say
Bin Bazoun K Utra Hai Abbas Zeen Say

Kulsoom Ro Ky Kehti Hain Ummul Baneen Say
Bin Bazuon Ky Utra Hai Abbas Zeen Say

Rooh E Ali Ky Bayn Thay Haye Mera Safeer
Sar Par Bhi Gurz Bazu Juda Ankh Mein Bhi Teer
Badla Mera Liya Hai Meray Janasheen Say
Bin Bazuon Ky Utra Hai Abbas Zeen Say

Kulsoom Ro Ky Kehti Hain Ummul Baneen Say
Bin Bazuon Ky Utra Hai Abbas Zeen Say

Saqqa Haram Ka Dasht Mein Bey Jaan Ho Gaya
Ab Maarna Hussain Ko Asaan Ho Gaya
Yeh Shor Uth Raha Tha Sipah E Laeen Say
Bin Bazuon Ky Utra Hai Abbas Zeen Say

Kulsoom Ro Ky Kehti Hai Ummul Baneen Say
Bin Bazuon Ky Utra Hai Abbas Zeen Say

Ghazi Ki Maut Haal Yeh Zainab Ka Kar Gai
Lagta Tha Jaisay Sani E Zahra Bhi Mar Gai
Aisay Giri Woh Jaisay Gira Bhai Zeen Say
Bin Bazuon Ky Utra Hai Abbas Zeen Say

Kulsoom Ro Ky Kehti Hai Ummul Baneen Say
Bin Bazuon Ky Utra Hai Abbas Zeen Say

Amman Main Apnay Betay Ka Matam Na Kar Saki
Had Yeh Hai Qaid Ho Ky Main Jab Sham Ko Chali
Bazu Utha Ky Choom Na Pai Zameen Say
Bin Bazuon Ky Utra Hai Abbas Zeen Say

Kulsoom Ro Ky Kehti Hai Ummul Baneen Say
Bin Bazuon Ky Utra Hai Abbas Zeen Say

Akbar Behan Yeh Boli Ghazab Ki Jafa Hui
Asghar Ky Jaisi Lash Meray Bhai Ki Bachi
Abid Nay Us Ky Tukrhay Chunay Hain Zameen Say
Bin Bazuon Ky Utra Hai Abbas Zeen Say

Kulsoom Ro Ky Kehti Hain Ummul Baneen Say
Bin Bazuon Ky Utra Hai Abbas Zeen Say

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015