Labon se nikal kar azaan ro rahi hai
Musallay Pe Akbar Ki Maa Ro Rahi Hai
Abhi To Gaya bhi Nahi Ran Mein Akbar.
Abhi Dil Hai Akbar Ka Seene Ke Andar.
Magar Phir Bhi Nook-e-Sina Ro Rahi Hai.
Dua Hai Yehi Ghamzada Maa Ke Lab Par.
Khudaya Salamat Rahe Mera Akbar.
Woh Le Le Ke Bas Hichkiyaan Ro Rahi Hai.
Kabhi Khak Par Baith Kar Rahgurzar Mein.
Judai Mein Akbar Ki Veeran Ghar Mein.
Behan Ghamzada Neem Jaan Ro Rahi Hai.
Tarapti Hai Sughra Chaley Aao Bhaiyya.
Kahin Mar Na Jaye Judai Mein Sughra.
Woh Beemar Ab Na Tawaan Ro Rahi Hai.
Wahan Par Madine Mein Roti Hai Sughra.
Yahan Par Sakina Ke Lab Par Hai Noha.
Behan Ik Yahan Ik Wahan Ro Rahi Hai.
Dua Kar Rahi Hai Yeh Karbal Mein Laila.
Na Maut Aaye Akbar Ko Mere Khudaya.
Jawani Yeh Sun Kar Biyaan Ro Rahi Hai.
Aye Nazoon Ke Palay Zara Sa Thehar Ja.
Keh Zainab Saja Le Tere Sar Pe Sehra.
Keh Aoun-o-Muhammad Ki Maa Ro Rahi Hai.
Nabi Dekhtey Hain Falak Se Yeh Manzar.
Safon Mein Kharey Sab Namazi Hain Muztar.
Imamat Liye Hichkiyaan Ro Rahi Hai.