Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

MAQTAL E IMAM HUSSAIN LYRICS - MIR HASAN MIR 2020 NAUHA

Mir Hasan Mir (2020)

Maqtal e Imam Hussain
Ghareeb e Zahra ki ghurbat suno aye ehle azaa..(2)
Akela reh gaya maqtal mein jab mera maula

Sipaah e shaam ne charo taraf se gher liya
Labe faraat tha har ek khoon ka pyaasa
tha ghul charagh e imamat abhi bujhana hai
zamee'n pe zeen se shabbir ko girana hai

Ye sunke sang kisine jabeen par maara
kisi ne pehlu mein barchi ka phal utaar diya
kisi ne saamne aakar chalayi tegh e jafa
ghareeb e Zahra ka zee'n par sambhalna mushkil tha
Ali o Zahra ko rann mein rulaya jaata tha
Hussain girte nahi the giraya jaata tha

Haaye,
Laga jo teer to asghar ko sheh ne yaad kiya
pukara ghazi ko jis waqt sar pe gurz laga
lagi jo barchi to akbar ko di tadap ke sadaa
tamacha khooli ne maara to bole Ya Zahra
Ali ko yaad kiya sar pe zarb chalte hue
Hasan ko yaad kiya mooh se khoo'n ugalte hue

Haaye,
Zamee'n pe zeen se hazrat jo muh ke bal aaye
jo teer seene mein the pusht se nikal aaye
nikal ke pehlu se sab barchhiyo'n ke phal aaye
qaraar kis tarha ab sheh ko ek pal aaye
rakaab payro se ibn e Ali ki chhoot gayi
tamaam pasliya'n sibt e nabi ki toot gayi

Rakam kiya hai yeh,
Rakam kiya hai yeh raavi ne dard ka manzar
ke chalne wala tha jis dum hussain par khanjar
behen se aage khadi thi hussain ki dukhtar
kaha yeh shimr se us dum ghareeb ne rokar
meri sakina,
meri sakina kahi'n dum na tod de zalim
rehem kar mere baalo'n ko chhod de zalim

Haaye,
padha tha dasht mein bejaa'n batool ka beta
hussain zinda hai kya shimr se kisi ne kaha
qareeb jaake ye ki shimr ne phir has ke sada
wo dekho aa gayi maqtal mein saniye zahra
ye sunte hi shahe dilgeer uth ke baith gaye
behen ke naam pe shabbir uth ke baith gaye

Haaye Hussain!
Yeh kehke aage badha haath mein liye khanjar
udhar tadapne lagi ek laash darya par
idhar khayaam se nikli batool ki dukhtar
ajeeb be adabi shimr ne ye ki aakar
zara si bhi na murawwat dikhayi zalim ne
kalam e paak ko thokar lagayi zalim ne

Haaye,
Ajab tarha se sitamgar ye kar raha tha sitam
kabhi hussain ki zulfo'n mein haath the baaham
pakad ke reeshe mubarak kabhi hasa azlam
hataya balo'n ko khanjar se shimr ne ekdum
kaha hussain ne dekho zara ali akbar
laee'n ne rakh diya zaanu hamare seene par

Haye,
Chali jo zarb, farishto'n ne muh ko pher liya
farishte kya the ke nabiyo'n ne muh ko pher liya
hate nabi to rasoolo'n ne ko muh ko pher liya
chale rasool to waliyo'n ne muh ko pher liya
Hasan, Rasool, Ali bole ab Khuda jaane
Hussain jaane, gala jaane, Fatima jaane

Haaye,
Ab iske aage takallum bayaan kya hoga
lagi jo zarbein na nikla lahu ka ek qatra
laeen ghaiz mein aakar sada ye dene laga
Hussain jaldi bata mojiza ye hai kaisa
kaha ghareeb ne tu pyaar maa ka kya jaane
gale pe mere gala rakh diya hai Zahra ne

Kaha Hussain ne amma hata le apna gala
mazeed aap ho zakhmi yeh ho nahi sakta
gale pe shaah ke khanjar laeen ka jo chala
gale pe shaah ke khanjar laeen ka jo chala
sada yeh aati thi subhana rabbiyal a'ala
pisar ka khoon baha Sayyeda ki godi mein
sar e hussain kata Fatima ki godi mein

Popular posts from this blog

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HUSSAIN AL GHAREEB ASH SHAHEED AL HUSSAIN LYRICS - ALINSAFDAR 2014 NAUHA

Ali Safdar (2014) Hussain al-ghareeb ash shaheed al hussain Husain Husain Husain Husain Ya Husain Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 1. Dohai dohai khudara dohai Ye dashte bala me hai kesi tabahi bahaya hai kisne ye khoone mohd qayamat ye dhai hai kisne ilaahi jawano buzurgo ko maara gaya hai shahido me shamil hai nanha sipahi  Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 2. kiya jashn barpa yu ehle hawas ne shahido ke laasho pe danke bajae jala daale aale mohd ke khaime sakina ke mu par tamache lagaye jo beemar tha uska bistar na choda nabi zadiyo par bhi durre chalaye Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 3. Uthi apne marqad se binte mohd siyah shab ki chadar me chehra chupakar gayi karbala me to usne ye dekha hai bosida kurte me ek laashe besar badan saara teero se chalni pada hai lahu me hai dooba hua saara paikar ...

SAVERE SAVERE ALI KA QASIDA LYRICS - ALI TAFSEER MANQABAT

Ali Tafseer (2010) Savere Savere Musalle pe maine ali ka qasida juhi gungunaya savere savere khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko bada lutf aaya savere savere 1. Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2) to khud aaftab e shahadat ne uska muqaddar jagaya, savere savere 2. Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2) parindo ne apni zuba me qasida ali ka sunaya, savere savere 3. Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2) libaas e jina leke rizwan e jannat ne darr khat khataya, savere savere 4. Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2) chiragh e hadis e kisa apne ghar me jo maine jalaya, savere savere 5. Mai soya tha shab me ali ko bula kar ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2) mujhe khwab me roza e murtaza ka nazara karaya, savere savere 6. Namaz e mawaddat me guzri meri shab jhuka fajr me sar (paye saj...