Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

AAKHRI RAAT HAI SAKINAA(SA) KI LYRICS MIR HASAN MIR NAUHA 2020

 

AAKHRI RAAT HAI SAKINAA(SA) KI LYRICS MIR HASAN MIR NAUHA 2020

●Sakina Alvida Sakina Alvida

 

●Shama Zindaan Main Main Manga Dai Koi

Aakhri Raat Hai Sakina Ki 

 

●Jarahi Hai Hussain Ki Beti

Aakhri Raat Hai Sakina Ki 

 

●Yeh Jo Gardan Pay Hai Rasan Ka Nishaa'n

Sath Turbat Main Is Kay Jaye Ga

Koi Umme Rubab Se Kehday

Ab Yeh Chehra Nazar Na Ayega

Aj Jee Bhar Kay Daikh Lo Bibi

 

●Pass Baba Kay Jane Wali Hai

Ab Tamache Na Koi Maraiga

Qabr Main To Ghamo Ki Mari Kay

Koi Gohar Nahi Utare Ga

Jakai Turbat Main Chain Payegi

 

●Hai Janab e Ameer Ki Poti

Inteha Is Pay Hai Ghareebi Ki

Aalam e Nazya Hogaya Tari

Sans Rukne Lagi Hai Bachi Ki

Raisma Ab To Khol Do Is Ki

 

●Rone Wali Ki Chalti Sanso'n Ko

Aj Is Tarha Roka Jata Hai

Band Hojaye Shor Girya Ka

Sar e Shabbir Laya Jata Hai

Hai Mulaqat Baap Beti Ki

 

●Shor Yeh Bairyon Ka Kehta Hai

Koi Uthta Hai Koi Girta Hai

Hai Khbr Yeh Ghareeb Bhai Koi

Dam Bhan Ka Nikalne Wala Hai

Abhi Laigi Yeh Aakhri Hichki

 

●Rokay Sajjad Khud Say Kehtay Thay

Kaisay Mayat Uthaonga Is Ki

Qaid Zanjeer Main Hai Hath Mairay

Qabr Kaisay Banaonga Is Ki

Bai Kafan Jayegi Bhan Mairi

 

●Kaisa Manzar Tha Qaid Main Akbar

Char Janib Tha Shor Girya Ka

Lakai Sajjad Nay Sakina Ki

Goud Main Sar Jo Rakha Baba Ka

Sar e Shabbir Say Sada Ayi



Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015