Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

DAM MAST QALANDAR ALI ALI - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2013

Farhan (ALI WARIS) (2011)

Dam mast qalandar Ali Ali
Ali ali....x11
Aabaad dama dam aadam ki shehrag me Ali tan mann Ali
Tan mann me Ali....
Lafzo me Ali nafso me Ali saanso'n me Ali dhadkan me Ali.
Dhadkan me Ali....
Darya me Ali Maujo'n me Ali baadal me Ali saawan me Ali.
Saawan me Ali....
Ali Ali....
Dam Mast Qalandar ALI ALI,Kaabe Ka Gohar ALI ALI......x2

KAABE Ko Aakay jis nay QIBLA Banaya
Rab Ne Usi Kaabe Ko Sajda Karaya
Jhutey Khudaao'n wale yeh keh kar bhaage... ALI ALI
Goonj uthey dharti pE har soo yehi naare
aj nai te kal saare ALI ALI Kenge weikhega zamana
Dam Mast Qalandar ALI ALI,Kaabe Ka Gohar ALI ALI......x3

Geeta utha kar dekho QUR'AAN Padhlo
Taurait Kholo Chahe Injeel Dekho
Saarey Mazahib Wale kehte hai Saheefey --ALI ALI
Lafz Alag hai sab ke Matlab to yehi hai
aj nai te kal saare ALI ALI Kenge weikhega zamana
Dam Mast Qalandar ALI ALI,Kaabe Ka Gohar ALI ALI......x3

Taptey huwey Sehra me Qafela Roko
Wada MOHAMMAD Apna poora to kar do
Tera wasi ab hoga do jag ka MOLA -- ALI ALI
Rab ka Ghadeer-e-Khum me Paigham Yehi tha
aj nai te kal saare ALI ALI Kenge weikhega zamana
Dam Mast Qalandar ALI ALI,Kaabe Ka Gohar ALI ALI......x3

Adam Se Khaatam Tak hai Ek Aqeedah
Jis ne Ali Ko Jaana Rab Ko Bhi Jaana
Ek Wazeefah Sab Ka Jitna the Payambar -- ALI ALI
Theek hi to kehta hai Shehbaz Qalander
aj nai te kal saare ALI ALI Kenge weikhega zamana
Dam Mast Qalandar ALI ALI,Kaabe Ka Gohar ALI ALI......x3

Kaam sabhi ke aaya jisne pukaara
Is Ke liye dharti par utra sitara
Wird yehi karte hain yeh chand sitaray -- ALI ALI
Baat yehi kehte hain Darya se Kinare.
aj nai te kal saare ALI ALI Kenge weikhega zamana
Dam Mast Qalandar ALI ALI,Kaabe Ka Gohar ALI ALI......x3

Kaisi Azaan-e-Midhat Meesam Ne di Hai
Qurbaan tujhpar meri Jaan ALI Hai
Teri Mohabbat Dil me aur Daar ka Mimbar -- ALI ALI
Maine Zabaa'n de di hai yeh daar peh jaakar
aj nai te kal saare ALI ALI Kenge weikhega zamana
Dam Mast Qalandar ALI ALI,Kaabe Ka Gohar ALI ALI......x3

Naam-e-ALI Me Aisa Raaz Chhupa hai
Jis Ne Pukara Parwaan Chadhha hai
Sab Ka ALI WARIS Hai Tera Bhi Mera Bhi -- ALI ALI
Nusrat e Rab Se Bola Yeh Fath-e-ALI Bhi
aj nai te kal saare ALI ALI Kehnge weikhega zamana
Dam Mast Qalandar ALI ALI,Kaabe Ka Gohar ALI ALI......x3

Tauseef Kya mai Likhu Apne ALI ki
Sab se Badi Aayat hai Rabb e jali Ki
Dekha MOHAMMAD ne bhi Meraaj pe jaakar -- ALI ALI wird Farishto Ka tha yeh Arsh-e-Baree Par
aj nai te kal saare ALI ALI Kehnge weikhega zamana
Dam Mast Qalandar ALI ALI,Kaabe Ka Gohar ALI ALI......x3

Ho jiske dar ke Naukar Salman Jaise
Sab us ke Mad'ha Khwaa'n hai Farhan Jaise
Rab Ka wohi hai Mazhar jo Rab Ka Wali Hai -- ALI ALI
Maane na maane duniya par sachh to yehi hai
aj nai te kal saare ALI ALI Kehnge weikhega zamana
Dam Mast Qalandar ALI ALI,Kaabe Ka Gohar ALI ALI......x3

Popular posts from this blog

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HUSSAIN AL GHAREEB ASH SHAHEED AL HUSSAIN LYRICS - ALINSAFDAR 2014 NAUHA

Ali Safdar (2014) Hussain al-ghareeb ash shaheed al hussain Husain Husain Husain Husain Ya Husain Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 1. Dohai dohai khudara dohai Ye dashte bala me hai kesi tabahi bahaya hai kisne ye khoone mohd qayamat ye dhai hai kisne ilaahi jawano buzurgo ko maara gaya hai shahido me shamil hai nanha sipahi  Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 2. kiya jashn barpa yu ehle hawas ne shahido ke laasho pe danke bajae jala daale aale mohd ke khaime sakina ke mu par tamache lagaye jo beemar tha uska bistar na choda nabi zadiyo par bhi durre chalaye Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 3. Uthi apne marqad se binte mohd siyah shab ki chadar me chehra chupakar gayi karbala me to usne ye dekha hai bosida kurte me ek laashe besar badan saara teero se chalni pada hai lahu me hai dooba hua saara paikar ...

SAVERE SAVERE ALI KA QASIDA LYRICS - ALI TAFSEER MANQABAT

Ali Tafseer (2010) Savere Savere Musalle pe maine ali ka qasida juhi gungunaya savere savere khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko bada lutf aaya savere savere 1. Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2) to khud aaftab e shahadat ne uska muqaddar jagaya, savere savere 2. Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2) parindo ne apni zuba me qasida ali ka sunaya, savere savere 3. Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2) libaas e jina leke rizwan e jannat ne darr khat khataya, savere savere 4. Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2) chiragh e hadis e kisa apne ghar me jo maine jalaya, savere savere 5. Mai soya tha shab me ali ko bula kar ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2) mujhe khwab me roza e murtaza ka nazara karaya, savere savere 6. Namaz e mawaddat me guzri meri shab jhuka fajr me sar (paye saj...