Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

QURAN KO PADHNA HAI QURAN SUNANA HAI LYRICS - ALI DEEP RIZVI MANQABAT

Ali Deep Rizvi (2015)
Quran ko padhna hai quran sunana hai
quran ko padna he quran sunana na he
hum iske muhafiz he duniya ko batana he

1. Jo kuch isme likha he usko samajna he
kirdar ko bhi apne phir humne parakhna he
bhatke huwe logo ko....2
humne samjhana he
quran ko padna he quran sunna na he
hum iske muhafiz he duniya ko batana he

2. Ye noore hidayat he emaan ki pehcha he
ye haqqa wazifa he bakshish ka saamaa he
jo hukm diya isne....2
humne wo nibhana he
quran ko padna he quran sunna na he
hum iske muhafiz he duniya ko batana he

3. Karna na tafarka tum quran ne roka he
kya arbi kya ajmi is fark se rooka he
humne khud ko achha....2
insaan banana he
quran ko padna he quran sunna na he
hum iske muhafiz he duniya ko batana he

4. Do chize chod raha hun apni ummat me
kuch fark nhi rakhna quran aur itrat me
dono se wafa karke....2
kausar pe jana he
quran ko padna he quran sunna na he
hum iske muhafiz he duniya ko batana he

5. Quran uthake bus juzdaan me rakha he
ye padhna sake akhir isme kya likha he
ye bhul gaye allah...2
ke samne jana he
quran ko padna he quran sunna na he
hum iske muhafiz he duniya ko batana he

6. Kehne ke musalma he kirdaar nhi kuch bhi
har zulm pe chup he aur izhaar nhi kuch bhi
jab ke mazloom ko haq...2
humne dilwana he
quran ko padna he quran sunna na he
hum iske muhafiz he duniya ko batana he

7. Momin ki toh pehcha he quran se wafadari
haqpe kayam rehna batilse bezari
kirdare meesam ko...2
humne apnana he
quran ko padna he quran sunna na he
hum iske muhafiz he duniya ko batana he

8. Haider aur quran ki bus ek hi pehcha he
ek natik quran he ek samite quran he
mehshar me inhi dono...2
ne humko bachana he
quran ko padna he quran sunna na he
hum iske muhafiz he duniya ko batana he

9. Ali deep jo likhta he, ali deep jo padta he
ye ale mohammed aur quran ka sadka he
kirdar se isne to...2
duniya ko dikhaana he
quran ko padna he quran sunna na he
hum iske muhafiz he duniya ko batana he

Popular posts from this blog

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HUSSAIN AL GHAREEB ASH SHAHEED AL HUSSAIN LYRICS - ALINSAFDAR 2014 NAUHA

Ali Safdar (2014) Hussain al-ghareeb ash shaheed al hussain Husain Husain Husain Husain Ya Husain Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 1. Dohai dohai khudara dohai Ye dashte bala me hai kesi tabahi bahaya hai kisne ye khoone mohd qayamat ye dhai hai kisne ilaahi jawano buzurgo ko maara gaya hai shahido me shamil hai nanha sipahi  Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 2. kiya jashn barpa yu ehle hawas ne shahido ke laasho pe danke bajae jala daale aale mohd ke khaime sakina ke mu par tamache lagaye jo beemar tha uska bistar na choda nabi zadiyo par bhi durre chalaye Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 3. Uthi apne marqad se binte mohd siyah shab ki chadar me chehra chupakar gayi karbala me to usne ye dekha hai bosida kurte me ek laashe besar badan saara teero se chalni pada hai lahu me hai dooba hua saara paikar ...

AJ RUKHSAT HO RAHI HAIN TUMSE ZAHRA YA ALI LYRICS - MIR HASAN MIR 2019 NAUHA

Mir Hasan Mir (2019) Aaj rukhsat ho rahi hai tumse zahra ya ali Alwida Fatema (3) Haye Baad baba ke jo guzri wo Musibat sunlo Ya ali fatema zehra ki wasiyat sunlo Aaj rukhsat ho rhi hai Tumse zehra Ya Ali(3) Parda e shab mein meri mayyat uthana Ya Ali Aaj ruksat........ 1. Pasliya todi gai kaise ye batlaungi mai Hashr ke maidaa'n mein bhi is haal mein aaungi mai Haath pehlu se na tum mera hatana Ya Ali Aaj rukhsat..... 2. Wo musibat aap ne achcha hua dekhi nahi Ab mai sidhe haath se tasbih padh sakti nahi Aisa kunfuz ne hai mara taziyana Ya Ali Aaj rukhsat.... 3. Haye.... Kehti hai zainab ye mujhse dekhkar chehra mera Aapke rukhsaar par ye neel hai kaisa pada Are Maine khaya hai tamacha, Mat batana ya ali Aaj ruksat..... 4. Taziyane ki aziyyat ka uthana ek taraf Wo tamache, qatle mohsin, dar jalana ek taraf Sabse mushkil tha magar darbaar jana ya ali Aaj ruksat..... 5. Jab meri talqeen padhna yaad kar lena zara Dar ke girne se mera baazu bhi h...