Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

DHADKAN BOLE ALI ALI LYRICS - FARHAN ALI WARIS 2019 MANQABAT

Farhan (ALI WARIS) (2019)
Dhadkan bole ali
Ali - ali, ali - ali, ali - ali, ali - ali, ali - ali, yaa ali
hoo....
Ali hal ataa, ali innama, ali kulkafa, ali badshah
ali bandagi, ali zindagi, ali aagahi, ali roshni

Hoo..

Ishq e ali hai dil ki manzil
phir kaisa ghum kaisi mushkil
is naam ka kare wird mera dil, mera dil

seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
maula maula, maula maula
seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
dhadkan bole ali ali..(2)

Tera bhi maula, mera bhi maula
Hum sab ka maula ali ali

seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
dhadkan bole ali ali..
dhadkan dhadkan ali ali, dhadkan dhadkan ali ali
maula maula, maula maula

1. Haaan...
Tooti hui deeware kaaba bol rahi hai ab tak
raaz ali ki aamad ke wo khol rahi hai ab tak
is ghar ka makee'n hai.. ali ali
dhundho to yehi hai.. ali ali
kaabe ka nagee'n hai.. ali ali
seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
dhadkan dhadkan ali ali, dhadkan dhadkan ali ali
maula maula, maula maula

seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
dhadkan bole ali ali..
dhadkan dhadkan ali ali, dhadkan dhadkan ali ali
maula maula, maula maula

2. Dono jahano mein chalta hai sirf isi ka sikka
chand pe iska naam khuda ne harf e jali se likkha
islam ka chehra.. ali ali
qur'an ka lehja.. ali ali
nabiyo ka wazeefa.. ali ali


seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
dhadkan bole ali ali..

darwesho'n ke lab pe hai ye ek hi naara - maula maula..(2)

Ehsaas mein har saans mein rehta hai ali
haan seene mein dil banke dhadakta hai ali
bijli mein mere maula ke lehje ki dhadak hai
dushman pe qahar banke barasta hai ali
maula maula, maula maula

3. Haan..
Ahmed ke kaandho'n pe chadhke tod diye but saare

bole ali ye laat o bul se hum jeete tum haare

phir kaaba bola.. ali ali
tera shukr hai maula.. ali ali
mujhe qibla banaya.. ali ali

seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
dhadkan bole ali ali..
dhadkan dhadkan ali ali, dhadkan dhadkan ali ali
maula maula, maula maula

4. Haan..
Zarb teri saqlain pe bhaari aur sajdo'n pe sajda
sajdo'n ki tauqeer badhaye maula tera har sajda
Me'raj e ibadat.. ali ali
shajro'n ki taharat.. ali ali
bunyad e imamat.. ali ali


seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
dhadkan bole ali ali..
darwesho'n ke lab pe hai ye ek hi naara - maula maula..(2)
Maula maula wird banawa..(2)

Hoo..
Rab ne sawara ali, rab ne banaya ali
pehle banaya kaaba, usme utara ali
chand sitare bole, darya kanare bole
bheje salami tujhe, arsh ka taara ali

maula maula wird banawa

aayat e qurani ali, rab ki nishani ali
deen ki kahani ali, deen ki jawani ali
khuld mein aana ali, khuld se jaana ali
tere siwa to nahi, koi bahana ali

maula maula wird banawa

ek teri zaat ali, wajh e nijaat ali
tere mawali bane, saari kayenaat ali
rang tere rang ali, tu hai mere sang ali
tera wazeefa padhe tere ye malang ali

Maula maula wird banawa..(2)
maula maula, maula maula

5. Haan..
Mid'hat ka qur'aan padho farhan ali waris hai
mazhar ye haq baat kahe aelaan ali waris hai
sab tere hawale.. ali ali
do jag ko paale.. ali ali
mujhe apna banale.. ali ali


seene mein dil hai, dil mein hai dhadkan
dhadkan bole ali ali..
dhadkan dhadkan ali ali, dhadkan dhadkan ali ali
maula maula, maula maula

Ali... Ali... Ali.... Yaa Ali

  

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015