Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

KHUSH HAIN ZAHRA KHUSH HAIN ALI - SHADMAN RAZA 2012 MANQABAT

Shadman Raza (2012)
Khush hai zehra khush hai ali

Ali ali ali-2
Ali ali-2

Khush hain zehra khush hain ali-3

Khushi muraan hai khush hai payambar, isse badi kya hogi khushi
Khush hain....2

Arsh khuda ka jhoom raha hai aqd e ali o zehra hai
Aanchal surah e kausar ka hai aur rehmaan ka sehra hai
Kaun o makaan baraati ismein-2
Hogi na shadi isse badi
Khush hain...2

Raazi hai allah yaqeenan azmate zehra ka hai makaan
Chehra e hyder dekh rahe hain saare nabi aur saare imam
Khushi muraan hai khush hai payambar.......-2. (hoooo ooo oo)
Isse badi kya hogi khushi
Khush hain...2

Bol ke quraa(n) ki godi mein bolta surah e kausar hai
Kitne hai masroor payambar dushman inka abtar hai
Jin o malak kehte hain (mubarak-4) -2(aaaa)
Ghar mein ali ke pehli khushi
Khush hain...2

Zikr e ali bhi mimber se ho aur quraan ki tilawath bhi
Sunnath e moula par bhi amal ho aur shabbir ki midhath bhi
Roze namaaz ki pabandi hai-2
Majlis o matam hai jaari
Khush hain...2

Nusrath e moula ghaibath mein ho moula raazi hojaaye
Aisa bas kirdar ho apna zehra raazi hojaaye
Lashkar e mehdi mein shamil ho-2
Matlab kya dunya se koi
Khush hain...2

Karbobala ko sadiyaan gusri daur e shahadath aaj bhi hai
Ghaibath mein hain imam e zamana lekin Nusrath aaj bhi hai
Apne amal se Poori ki hai-2
Baath imam w zamana ki
Khush hain...2

Aaj ki shaadi mein ye dua hai dulha dulhan ye shaad rahe
Naik inhe aulad atha ho mehshar tak abaad rahe
Majlis se aaghaaz huwa hai-2
Aur hadees e kisa hai padhi
Khush hain...2

Midhath e haider midhath e zehra shauhrath izzath deti hai
Waqt e musibath jab aata hai dunya lizzath deti hai
Saari dunya gar naraaz ho-2(meri bala se)
Mere liye hai ye kaafi
Khush hain...2

Usko shia ham kehte hain jo kirdar ka momin hai
Jis din gunah se bach jaayenge din wo eid ka hi din hai
Ek qamar ho zeesth ka maqsad-2 (hoo oo oo)
Hojaaye khaliq raazi
Khush hain...2

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015