Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

ALLAH MOHAMMAD ALI FATEMA HASAN HUSSAIN - SHADMAN RAZA 2010 MANQABAT

Shadman Raza (2010)
Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain
Auzo billahe minash shaitanir rajeem.
Bismillah hir rahman nir raheem.
Innama yuridullaho le yuzheba ankomur rijsa ahlalbaite wa yo taherakum tath heera....

Allahumma sale ala mohammadin wa aale mohammad

Bachho tum ye yaad rakho
Momeeno tum ye yaad rakho
Bade khuda inko samjho
Subho inhi ke naam se ho
Shaam aaye to dua karo
Aankho me ho kajal ki tarah..x2
Paaye haider ki naalain

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x3

Jaabir se ye rawaet hai
Jisko zehra se nisbat hai
Ek din gharme aaye nabi
Bole ke zaufe tabiyat hai
Paas mere aao zehra...x2
Taake mile kuch dil ko chaen...

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

Bole nabi meri dukhtar
Le aao yamani chadar
Jisko odh ke letu mai
Paaye suku'n qalb e muztar
Dekhke waalid ki surat...x2
Dukhi hui ummul hasnain....

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

Rida jo odhke lete nabi
Kuch hi der na guzri thi
Ghar me aaye maula hasan
Bole ye hai khushbu kaisi
Tahete kisa yu lagta hai...x2
Karte ho jad goya mere chaen...

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

Phir yu kiya maula ne kalaam
Nana aap pe mera salaam
gar che ijazat miljae
Tehete kisa aajae gulam
Bole nabi aajao hasan....x2
Tum mera aks ho noor e ain...

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

Ek lamha nahi guzra tha
Aa pohche shahe karbobala
Bole maa yu lagta hai
Jaise nana ho tehete kisa
boli malkae roze jaza...x2
Ye sach hai mere dil ke chaen

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

Sunke sukhan ye zehra ka
Bole nabi se shahe batha
Kya mujhko bhi ijazat hai
Mai bhi aau zere kisa
Bole nabi tu mujhse hai...x2
Mai tujhse hu mere husain...

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

Pohche husain bhi tehete kisa
Waqt abhi kuch guzra tha
Faatahe khaibar aa pohche
Bole mujhe yu hai lagta
Chadar ke niche woh hai....x2
Dhundte hai jinhe mere nain.

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

Sunke kalaam e shere khuda
Fatema zehra ne ye kaha
Aapke bachhe aur nabi
Isdam sab hai tehete kisa
Ilmo adab o taharat ke...x2
Goya hai marajal bahrain...

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

bole ali yu payambar se
Abr o karam jo idhar barse
Mai bhi aapke paas aau
Sheher ko nisbat haider se
faasla thoda sa bhi nahi...x2
Aapke aur mere maabain....

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

Bola quraan se yu qur'aan
Aao ai kulle imaa'n
Ek hi noor hai dono ka
Ek hai nabi ek imam e zamaa'n
Tehete kisa tum bhi aao....x2
Faatah e khaibar badr o hunain....

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

Agae tehete kisa jo ali
Kehne lagi tab binte nabi
Baba aap pe mera salaam
Aau kya andar mai bhi
kab ye habib e khuda ne kaha
Ajao meri noor e ain....

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

Zere kisa jab paanchi tan
Jama hua sab misle chaman
Bola farishto se ye khuda
Tehete kisa hai jitne badan
Maine banai inke liye...x2
Arsho farsh ki zebo zain

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

Bola khuda se jibraeel
Ai aalam ke kafeel o wakeel
Inme chhata mai banjau
Gar ho ijazat rabb e jaleel
Farshe zamee'n pe jau mai...x2
Paa jau qurb e sibtain...

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

Aae zamee'n pe jibraeel
Bole nabi se fakhre khaleel
Aap pe baade durud e salaam
Farmata hai ye rabbe jaleel
Ahl e kisa ki mohabbat me..x2
Khalq kiye usne kaunain...

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

iske baad hai farmata
Rijs ko aap se dur rakha
Itna paak rakha sabko
Jitna taharat ka haq tha
Ahl e bait ki khilqat par..x2
Naaza hai rabbe harmain

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

Tab ye habeeb e khuda ne kaha
Padhe jo koi hadees e kisa
Jitne waha honge momeen
sab ki hogi qubul dua
Kasam hai mujhko risalat ki...x2
Paayenge shia sukh aur chaen...

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x2

Ye sach hai shadman raza
Aapne bhi kya khoob padha
sabki murade'n ho puri
Karta hai maamoor dua
Juz gham e sheh koi gham na de..x2
Ai mere rabbe harmain.....

Allah Mohammad Ali Fatema Hasan Husain....x3

Popular posts from this blog

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HUSSAIN AL GHAREEB ASH SHAHEED AL HUSSAIN LYRICS - ALINSAFDAR 2014 NAUHA

Ali Safdar (2014) Hussain al-ghareeb ash shaheed al hussain Husain Husain Husain Husain Ya Husain Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 1. Dohai dohai khudara dohai Ye dashte bala me hai kesi tabahi bahaya hai kisne ye khoone mohd qayamat ye dhai hai kisne ilaahi jawano buzurgo ko maara gaya hai shahido me shamil hai nanha sipahi  Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 2. kiya jashn barpa yu ehle hawas ne shahido ke laasho pe danke bajae jala daale aale mohd ke khaime sakina ke mu par tamache lagaye jo beemar tha uska bistar na choda nabi zadiyo par bhi durre chalaye Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 3. Uthi apne marqad se binte mohd siyah shab ki chadar me chehra chupakar gayi karbala me to usne ye dekha hai bosida kurte me ek laashe besar badan saara teero se chalni pada hai lahu me hai dooba hua saara paikar ...

SAVERE SAVERE ALI KA QASIDA LYRICS - ALI TAFSEER MANQABAT

Ali Tafseer (2010) Savere Savere Musalle pe maine ali ka qasida juhi gungunaya savere savere khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko bada lutf aaya savere savere 1. Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2) to khud aaftab e shahadat ne uska muqaddar jagaya, savere savere 2. Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2) parindo ne apni zuba me qasida ali ka sunaya, savere savere 3. Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2) libaas e jina leke rizwan e jannat ne darr khat khataya, savere savere 4. Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2) chiragh e hadis e kisa apne ghar me jo maine jalaya, savere savere 5. Mai soya tha shab me ali ko bula kar ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2) mujhe khwab me roza e murtaza ka nazara karaya, savere savere 6. Namaz e mawaddat me guzri meri shab jhuka fajr me sar (paye saj...