Ali Tafseer (2010)
Savere Savere
Musalle pe maine ali ka qasida
juhi gungunaya savere savere
khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko
bada lutf aaya savere savere
1. Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora
to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2)
to khud aaftab e shahadat ne uska
muqaddar jagaya, savere savere
2. Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki
ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2)
parindo ne apni zuba me qasida
ali ka sunaya, savere savere
3. Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki
hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2)
libaas e jina leke rizwan e jannat
ne darr khat khataya, savere savere
4. Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye
chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2)
chiragh e hadis e kisa apne ghar me
jo maine jalaya, savere savere
5. Mai soya tha shab me ali ko bula kar
ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2)
mujhe khwab me roza e murtaza ka
nazara karaya, savere savere
6. Namaz e mawaddat me guzri meri shab
jhuka fajr me sar (paye sajdae rab)..(2)
lagai thi laagat andhere andhere
munafa kamaya, savere savere
7. Waha madh e maula me masroof shab bhar
mawaddat ki mehfil se lauta jo mai ghar
sohail ek farishta shifa'at ki meri
sanad leke aaya, savere savere
Savere Savere
Musalle pe maine ali ka qasida
juhi gungunaya savere savere
khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko
bada lutf aaya savere savere
1. Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora
to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2)
to khud aaftab e shahadat ne uska
muqaddar jagaya, savere savere
2. Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki
ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2)
parindo ne apni zuba me qasida
ali ka sunaya, savere savere
3. Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki
hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2)
libaas e jina leke rizwan e jannat
ne darr khat khataya, savere savere
4. Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye
chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2)
chiragh e hadis e kisa apne ghar me
jo maine jalaya, savere savere
5. Mai soya tha shab me ali ko bula kar
ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2)
mujhe khwab me roza e murtaza ka
nazara karaya, savere savere
6. Namaz e mawaddat me guzri meri shab
jhuka fajr me sar (paye sajdae rab)..(2)
lagai thi laagat andhere andhere
munafa kamaya, savere savere
7. Waha madh e maula me masroof shab bhar
mawaddat ki mehfil se lauta jo mai ghar
sohail ek farishta shifa'at ki meri
sanad leke aaya, savere savere