Skip to main content

Posts

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

Recent posts

Zavaarey karbala hum ko bana diya mola Lyrics -Abbas Haider Lalji Nohay

Zavaarey karbala hum ko bana diya mola Zavaarey karbala hum ko bana diya mola Nasiba tu ney hamaara jaga diya mola Salaami ley lo tumharey ghulam aaye hey(n) Tarasti aankho(n) sey karney salaam aaye hey(n) Key tum ney deeney payambar baccha diya mola Tumharey sajdey ko kaaba salaam kehta hey Adab sey gumbatey khizra salaam kehta hey Key tum ne dee(n) pey kun-ba luta diya mola Jawaan betey ka laasha bhi khud utthaya hey Sagheer betey ko turbat pey khud sulaaya hey Kathan ye kaam tha karkey dikha diya mola Aulad jin ki nahi sahibey aulad karo Uja(r) chuki hey jo jholi usey aabaad karo Lo hamney dar pey ye daaman phela diya mola Hamaarey saath ye peero jawaan aaye hey(n) Tumharey maatami or noha khan aaye hey(n) Tumharey gham ney sabhi ko rula diya mola Tamaam maatami dasto(n) ki aas ho poori Unhey bhi jald dar pey bulao karo ye manzoori Zavaar laakho(n) ko tum ney bana diya mola Ali key laadley toqeer ko sahara dey Bha(n)war mey kashti hey lillah usey kinaara dey Tumhi ney doobey huw

Logo bazaarey shaam key woh rastey Lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

Logo bazaarey shaam key woh rastey Logo bazaarey shaam key woh rastey shaami saja rahey they Jin rasto(n) pey qaydi bana kar ali ki betiya(n) mal’oon la rahey they Shabbir ki gardan to bas ik baar kati hey Zainab to har ik mor(r) pey haye qatl huwi hey Ahmad ko kesey kesey ye kalma par(r)hney waaley ehsa(n) lota rahey they Sajjad lahu roya hey baazaro(n) mey(n) aakey Zainab ney par(r)hey khutbey aghyaro(n) mey aakey Hai kesey musalma(n) they ahmed ki aal pey jo patthar gira rahey they Tatheer ki waaris hey jo paaband e rasan hey Baani jo wafa ka hey ye uski behen hey Ye baat kartey kartey aankho(n) sey khoon(n) key aa(n)su aabid baha rahey they Mastoor har ek zakhmi nahi(n) sar pey ridaye(n) Baccho(n) ko bhi maqtal mey hi chhor(r) aayi hey(n) maaye(n) Akbar key hey(n) baraati jo qayd ho key saarey ab shaam aa rahey they Zainab ka khula sar tha or mehvey safar thi Abbas ki nezey pey bhi hai neechi nazar thi Baaghi ki behen hey ye ha(n)s ha(n)s key shaam waaley baatey(n) bana rahey

Aayenge mola muntaqim lyrics Abbass Haider Lalji - Nohay 2011

Aayenge mola muntaqim lyrics Abbass Haider Lalji - Nohay 2011   Aayenge mola muntaqim Aayenge mola muntaqim (many times) Ye maatam karo duae karo Suno ghor se sada ye suno Ghabrao na ay momino Ayenge mola muntaqim (many times) Wo hey bana qehre khuda Wo he ali ka ladla Mushkil kusha shere khuda Tutey dilo ka aasra Ye maatam karo duae karo Suno ghor se sada ye suno Ghabrao na ay momino Ayenge mola muntaqim (many times) Puchhenge wo ay zaalimo Kya jurm tha mazlum ka Heywaan bhi peete rahe Wo aab se mehroom tha Ye maatam karo duae karo Suno ghor se sada ye suno Ghabrao na ay momino Ayenge mola muntaqim (many times) Khaey tamache dur chhiney Leti rahi wo siskiyaa(n) Kyu shaam ki baazar mey Rul gayi ali ki betiya(n) Ye maatam karo duae karo Suno ghor se sada ye suno Ghabrao na ay momino Ayenge mola muntaqim (many times) Barchhi se chhalni hey kiya Pyaasa jawa(n) hai hai jawa(n) Kesa sitam tha al-amaa Roye zamee(n) or asmaa(n) Ye maatam karo duae karo Suno ghor se sada ye suno Ghab

Zara rok le khanjar Mir Hasan Mir Nohay 2024 | Muharram 2024/1446

  MIR HASAN MIR NOHAY Haaye Zainab ko dekha sheh ne jo nazdeek e qatl gaah Us dam Ghareeb e Zahra ne qatil se yeh kaha Haye... Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar..(3) Maula yeh sada dete the Maula yeh sada dete the, aye shimr e sitamgar Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar 1. Akhit to safar hona hai is daar e mahan se do baatein to kar lene de bhai ko bahan se aati hai meri samt meri laadli khwahar Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar 2. Tu laakh sitamgar hai magar kaam yeh kar jaa aye shimr mere seene se kuch der utar jaa mar jayegi is haal mein dekha jo baradar Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar 3. Bhai ki mohabbat mein woh betab hui hai khaime se bohot tez woh maqtal ko chali hai sar se meri behna ke utar jaye na chadar Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar 4. Deedar kare woh mera mai bhi use dekhu zakhmi hu magar akhri tazeem to karlu aye shimr behen hai yeh meri maa ke barabar Zaraa rok le khanjar Zainab nikal a

Sakina chaar barso me zaeefa ho gayi baba Soz Lyrics Mir Hasan Mir 2021

Sakina chaar barso me zaeefa ho gayi baba Sitam itne hue mujh pe mai Zahra ho gayi baba Kisi se kuch nahi kehti hu mai bas khawamosh rehti hu (X2) tumhari laash se uth kar mai laasha ho gayi baba Mujhe pechana mushkil hai chehra itna zakhmi hai ( x2) tamacho ke Rida ab mera parda ho gayi baba Tumhara sar Jale Daman me jab Darbar me aaya (x2) mujhe aise laga me phir se Zinda ho gayi baba Bacha laayi hu mai sajjad aur bakir ko zinda Tak (x2) Teri beti tere beto pe sadqa ho gayi baba Sar e shabbir pe sar rakh ke aahista se wo boli (x2) Jo tum kehte the chup ho jao accha ho gayi baba

Labon se nikal kar azaan ro rahi hai Soz Lyrics Mir Hasan Mir 2012

Labon se nikal kar azaan ro rahi hai Musallay Pe Akbar Ki Maa Ro Rahi Hai Abhi To Gaya bhi Nahi Ran Mein Akbar. Abhi Dil Hai Akbar Ka Seene Ke Andar. Magar Phir Bhi Nook-e-Sina Ro Rahi Hai. Dua Hai Yehi Ghamzada Maa Ke Lab Par. Khudaya Salamat Rahe Mera Akbar. Woh Le Le Ke Bas Hichkiyaan Ro Rahi Hai. Kabhi Khak Par Baith Kar Rahgurzar Mein. Judai Mein Akbar Ki Veeran Ghar Mein. Behan Ghamzada Neem Jaan Ro Rahi Hai. Tarapti Hai Sughra Chaley Aao Bhaiyya. Kahin Mar Na Jaye Judai Mein Sughra. Woh Beemar Ab Na Tawaan Ro Rahi Hai. Wahan Par Madine Mein Roti Hai Sughra. Yahan Par Sakina Ke Lab Par Hai Noha. Behan Ik Yahan Ik Wahan Ro Rahi Hai. Dua Kar Rahi Hai Yeh Karbal Mein Laila. Na Maut Aaye Akbar Ko Mere Khudaya. Jawani Yeh Sun Kar Biyaan Ro Rahi Hai. Aye Nazoon Ke Palay Zara Sa Thehar Ja. Keh Zainab Saja Le Tere Sar Pe Sehra. Keh Aoun-o-Muhammad Ki Maa Ro Rahi Hai. Nabi Dekhtey Hain Falak Se Yeh Manzar. Safon Mein Kharey Sab Namazi Hain Muztar. Imamat Liye Hichkiyaan Ro Rahi Hai.

Nikla hai janaza koi Allah Ke ghar se Soz Lyrics Mir Hasan Mir 2011

Nikla hai janaza koi Allah Ke ghar se, Aflaaq me ek shor hai maatam Ke asar se. afsos Ke masjid me namaazi gaya maara, Kuch kamm nahi ye hashr qayaamat Ke asar se. zainab se kehdo Ke ye dil kholke roye, Shabbir ki hamsheer hai roney ko na tarsey. abbas zaraa zainab e muztar se qabardaar, Faryaad se hat jaayena chaadar kahi Sar se. haa bhoolna jaana inhey koofey Ke makeeno, Guzrengi ye shehzaadiya is raah guzar se. ashaab Bhi sun Paaye na jis bibi ki aahat, Sar nangey wohi guzrengey is raah guzar se.

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka Soz Lyrics Mir Hasan Mir 2005

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ..(2) 1. Ae hurr teri qismat ne, kyu aaj ye karwat li ..(2) Kya subho ko dekha tha chehra ali akbar ka 2. Shabbir jhulate the abbas ke jhule ko ..(2) Abbas jhulate hai jhula ali akbar ka 3. Pucha gaya yusuf se jab husn ke baare me ..(2) Has kar kaha ye to hai sadqa ali akbar ka ..(2) 4. Laila ne kaha baithu, kis tarha mai saye me ..(2) Phirta hai nigaaho me chehra ali akbar ka ..(2) 5. Pucha gaya jab sheh se kyu kham hai kamar maula ..(2) Bole ke uthaya tha laasha ali akbar ka ..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ...Shared using Nauha Lyrics

Salaam Us Pe Jo Karbal Basa Ke Soya Hai Soz Lyrics Hasan Abbas 2019

SALAAM US PE JO KARBAL BASA KE SOYA HAI Salaam us pe jo karbal basaa ke soya hai Durood us pe jo ghar ko luta ke soya hai Salaam us pe jo khud to ujad gaya lekin Khuda ke deen ki basti basa ke soya hai Ham us husain ko dil se salaam karte haiñ Jo khud ko marziy e haq par mita ke soya hai Salaam us pe ke seh roz khud raha pyaasa Magar jo pyaas wafa ki bujha ke soya hai Hamaare sar pe hai ahesañ janaabe hur ka jo Hunar najaat ka jag ko sikha ke soya hai Salaam karte haiñ us chhe maheene waale ko Ke teer kha ke bhi jo muskuraa ke soya hai Durood un pe ke jin ko habeeb kehte haiñ Jo apne yaar se yaari nibha ke soya hai Hamaari jaaneiñ ho qurbaan husn waale par Jigar pe neze ka jo zakhm kha ke soya hai Salaam syed e sajjad par jo duniya meiñ Gham e husain ki duniya bana ke soya hai Durood us pe ke karbobala ki dharti par Jo laaelaah ki qismat jaga ke soya hai 'Hasan' yun jee ke maro ke kahe ye kal duniya Charaagh e zikr e bahattar jala ke soya hai ...Shared using Nauha Lyrics