Logo bazaarey shaam key woh rastey
Logo bazaarey shaam key woh rastey shaami saja rahey they
Jin rasto(n) pey qaydi bana kar ali ki betiya(n) mal’oon la rahey they
Shabbir ki gardan to bas ik baar kati hey
Zainab to har ik mor(r) pey haye qatl huwi hey
Ahmad ko kesey kesey ye kalma par(r)hney waaley ehsa(n) lota rahey they
Sajjad lahu roya hey baazaro(n) mey(n) aakey
Zainab ney par(r)hey khutbey aghyaro(n) mey aakey
Hai kesey musalma(n) they ahmed ki aal pey jo patthar gira rahey they
Tatheer ki waaris hey jo paaband e rasan hey
Baani jo wafa ka hey ye uski behen hey
Ye baat kartey kartey aankho(n) sey khoon(n) key aa(n)su aabid baha rahey they
Mastoor har ek zakhmi nahi(n) sar pey ridaye(n)
Baccho(n) ko bhi maqtal mey hi chhor(r) aayi hey(n) maaye(n)
Akbar key hey(n) baraati jo qayd ho key saarey ab shaam aa rahey they
Zainab ka khula sar tha or mehvey safar thi
Abbas ki nezey pey bhi hai neechi nazar thi
Baaghi ki behen hey ye ha(n)s ha(n)s key shaam waaley baatey(n) bana rahey they
Zinda key andherey mey sakina to darey gi
Rowegi ye baaba ko bohot yaad karey gi
Ey kaash soch letey akhtar ye shaam waaley kyu(n) zulm dhaa rahey they