Haaye
Zainab ko dekha sheh ne jo nazdeek e qatl gaah
Us dam Ghareeb e Zahra ne qatil se yeh kaha
Haye...
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar..(3)
Maula yeh sada dete the
Maula yeh sada dete the, aye shimr e sitamgar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
1. Akhit to safar hona hai is daar e mahan se
do baatein to kar lene de bhai ko bahan se
aati hai meri samt meri laadli khwahar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
2. Tu laakh sitamgar hai magar kaam yeh kar jaa
aye shimr mere seene se kuch der utar jaa
mar jayegi is haal mein dekha jo baradar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
3. Bhai ki mohabbat mein woh betab hui hai
khaime se bohot tez woh maqtal ko chali hai
sar se meri behna ke utar jaye na chadar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
4. Deedar kare woh mera mai bhi use dekhu
zakhmi hu magar akhri tazeem to karlu
aye shimr behen hai yeh meri maa ke barabar
Zaraa rok le khanjar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
5. Zainab chali jaye to sitam chahe jo dhana
hat jaye bahan meri toh khanjar ko chalana
kuch der mere shano pe rehne de mera sar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
6. Abbas ki khatir mujhe paigham yeh degi
shayad Ali akbar ki koi baat karegi
kuch der to rone de bahan bhai ko mil kar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
7. Mazloom ki tasveer ko ankho'n mein basakar
shabbir se masoom sakina ko mila kar
waada hai chali jaegi wapas meri khwahar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
8. Kehne laga maula se sitamgaar yeh has kar
pehle bhi nikal aayi thi yeh khaime se bahar
sheh ne kaha jab qatl hua tha ali akbar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
9. Sar sheh ka juda karne mein masroof laee'n tha
kya kehta hai mazloom woh sunta hi nahi tha
kehta raha sar tan se juda hoke bhi akbar
Zainab nikal aayi hai zara rok le khanjar
Zara Rok Le Khanjar | Mir Hasan Mir Nohay 2024 | Muharram 2024/1446 #ZaraRokLeKhanjar #MirHasanMirNohay #Nohay2024 Noha | Zara Rok Le Khanjar Recited By | Mir Hasan Mir Written By | Janab Hasnain Akbar Composition | Janab Raza Shah Sathi Noha Khuwan | Munawwar Ali Khan, Rajab Ali Khan, Amanat Ali Khan, Ghulam Abbas Khan Translation | Ahmed Virani (USA)