Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

Aayenge mola muntaqim lyrics Abbass Haider Lalji - Nohay 2011

Aayenge mola muntaqim lyrics Abbass Haider Lalji - Nohay 2011


 Aayenge mola muntaqim


Aayenge mola muntaqim (many times)

Ye maatam karo duae karo
Suno ghor se sada ye suno
Ghabrao na ay momino

Ayenge mola muntaqim (many times)

Wo hey bana qehre khuda
Wo he ali ka ladla
Mushkil kusha shere khuda
Tutey dilo ka aasra
Ye maatam karo duae karo
Suno ghor se sada ye suno
Ghabrao na ay momino

Ayenge mola muntaqim (many times)

Puchhenge wo ay zaalimo
Kya jurm tha mazlum ka
Heywaan bhi peete rahe
Wo aab se mehroom tha
Ye maatam karo duae karo
Suno ghor se sada ye suno
Ghabrao na ay momino

Ayenge mola muntaqim (many times)

Khaey tamache dur chhiney
Leti rahi wo siskiyaa(n)
Kyu shaam ki baazar mey
Rul gayi ali ki betiya(n)
Ye maatam karo duae karo
Suno ghor se sada ye suno
Ghabrao na ay momino

Ayenge mola muntaqim (many times)

Barchhi se chhalni hey kiya
Pyaasa jawa(n) hai hai jawa(n)
Kesa sitam tha al-amaa
Roye zamee(n) or asmaa(n)
Ye maatam karo duae karo
Suno ghor se sada ye suno
Ghabrao na ay momino

Ayenge mola muntaqim (many times)

Sadyaa(n) guzar gai he magar
He khoon aankhoo se rawaa
Kerbala or shaam ka
Tarpa raha he wo samaa
Ye maatam karo duae karo
Suno ghor se sada ye suno
Ghabrao na ay momino

Ayenge mola muntaqim (many times)

Wo jaantey hey kis tarha
Darbar mey ki gayi galaa
Kehti rahi binte ali
Kab aaoge aa kar imam
Ye maatam karo duae karo
Suno ghor se sada ye suno
Ghabrao na ay momino

Ayenge mola muntaqim (many times)

Popular posts from this blog

SAVERE SAVERE ALI KA QASIDA LYRICS - ALI TAFSEER MANQABAT

Ali Tafseer (2010) Savere Savere Musalle pe maine ali ka qasida juhi gungunaya savere savere khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko bada lutf aaya savere savere 1. Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2) to khud aaftab e shahadat ne uska muqaddar jagaya, savere savere 2. Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2) parindo ne apni zuba me qasida ali ka sunaya, savere savere 3. Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2) libaas e jina leke rizwan e jannat ne darr khat khataya, savere savere 4. Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2) chiragh e hadis e kisa apne ghar me jo maine jalaya, savere savere 5. Mai soya tha shab me ali ko bula kar ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2) mujhe khwab me roza e murtaza ka nazara karaya, savere savere 6. Namaz e mawaddat me guzri meri shab jhuka fajr me sar (paye saj

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015