Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

CHAKKIYAN PEES K AY LAAL LYRICS - AMEER HASAN AMIR NAUHA

 CHAKKIYAN PEES K AY LAAL LYRICS - AMEER HASAN AMIR NAUHA 


Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha

hala khanjar toh sarhane se pukari zehra 


Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) 

 Ay mere laal hussain (6) 

 Chala khanjar toh sarhane se pukari zehra 

 Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) 


 Teri gardan pe kiya karti thi mai pyaar kabhi Apni tasveer ko karti thi tera haal kabhi Kya qabar thi k chalegi yahin talwar kabhi Isi gardan pe toh lete the payambar bosa 

 Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) 

 

 Rehgaya khoon may reqabon ki tabeeron may Aaj har simt se tu phir gaya shamsheeron may Dekhun kin ankhon se laal tujhe teeron may Kabhi jibreel jhulate the tera gehwara 

 Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) 

 

 Aa mere laal mai anchal may chupalun tujhko Maamta kehti hai bahon may basalun tujhko Phir usi tarha mai seene se lagalun tujhko Jaise ek baar mera bandhe kafan toota tha 

 Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) 

 

 Tu hai woh phool k rota hai chaman bhi tujhko Tu musafir hai k dhundega watan bhi tujhko Haan magar denge na ashraar kafan bhi tujho Woh bhi chin jayegi agar laash pe rakhdun mai rida 

 Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) 

 

 Shimr ki ankhon may ghairat ki nishani bhi nahi Doob hai itna k khanjar may rawani bhi nahi Khush hai halq may rehal ka paani bhi nahi Haan mere mahal may halan k yeh behta dariya 

 Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) 

 

 Ab woh humshakle nabi akbar e jaraar kahan Sogaya dast may abbas e alamdar kahan Khaak e jungal may luti hai teri sarkar kahan Kya ujadta hai bhala yun bhi kisika kumba 

 Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) 

 

 Qasim o aun o mohammed ali akbar bhi nahi Naaz tha jise pe tujhe ab toh woh lashkar bhi nahi Kaanon baazu pe rakha hai k baradaar bhi nahi Kya qabar thi k tu hojayega itna tanha 

 Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) 

 

 Sab ko batlate hain ye log nabi ki ummat Ab na ankhon may murawat na dilon may ghairat Naam sa ghusl o kafan kaisi namaz e maiyyat Chod jayenge ye sab khaak pe laasha tera 

 Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) 

 

 Sogaye run may tere sog manane wale Khoon may doob gaye khaak udane wale Bekafan khud hai kafan tujhko pinane wale Aa teri laash pe mai dalun woh ashkon ki rida 

 Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2) 

 

 Asr e ashoor ka hai ameer o nayyar woh asar Ghumzade karbobala sa gaya har manzar par Ab musalle pe ho mimbar pe hun ya bistar par Ghum juda rehta hai socho mai wahi ek noha 

 Chakkiyan pees k ay laal tujhe pala tha(2)


Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015