Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

RUQAIYYA UJAR GAYI LYRICS SHAHID BALTISTANI NAUHA 2020


Ruqaiyya Ujar Gayi | Shahid Baltistani New Noha 2020 | Nohay 2020 | Noha Janab e Muslim



 Haey Muslim, Haey Muslim as

Haey Muslim, Haey Muslim as Aey Muslim E Ghareeb as Aey Muslim E Ghareeb as Karbobala Say Pehly, Ruqaiyya sa Ujar Gayi Karbobala Say Pehly, Ruqaiyya sa Ujar Gayi Muslim as Ki Laash Kofay, May Be-aasra Howi Kiya Haal Kardiya Hay, Safeer E Hussain as Ka Zakhmo Say Choor Choor Hay Damaad E Murtaza as Phir Kofa Roney Aai, Hay Beti Batool sa Ki Logo'n Ziraa Ko Bech Kar Dena Mujhe Kafan Mil Jayen Jab Pisar Mere, Pohanchana Tum Watan Muslim as Ki Pori Koi, Wassiyat Na Ho Saki Muslim Hay Bey Dayaar, Kisi Ko Nahi Khayal Kiya Hoga Karbala May, Yeh Kofay Jab Hay Haal Syed as Shaheed Hota, Hay Hanstey Hain Ummati Beyton Ko Intezar Tha Wo Laut Aynge Behno Ki Eid Hogi Galay Jab Lagaynge Baba, Baba Haey Baba, Kay Badlay Unsey Yateemi Galay Mili Haey.! Do Ungliyun Kay Darmiyan Dekho To Bhai Jaan Khanjar Galay Pey Kofay May Muslim as Kay Hay Rawaan Yeh Baat Roo Kay Ghazi as, Say Shabbir as Nay Kahi Ek Eid Kay Qareeb Howey Baap Say Juda Ek Eid Per Behan Ka Bhara Ghar Ujar Gaya Abbas as Dono Eido'n Pey Rotey Hain Aaj Bhi Qabr E Batool Per Gayi Ek Khaali Gaud Maa Sajday Kay Sath Aankh Say Aanso Howey Rawaan Ummal Baneen sa Ko Jab Yeh Takallum Khabar Mili




Popular posts from this blog

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

  Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab Sadqa Hussain Ka Suno, Ham Sab Ilteja Zainab Shabbir Ri Ki Raza Mai Teri Razi Hai Shaamil Tera Sabr To Mola Shabbir Sahiba Mil Tu Fatima, Tu Haider Tu Hassan-e-Mujtaba Tu Ghairat Panjetan Hai Tu Binte Abu Talib Kar Ham Pai Karam Aisa Muskil Pai Ham Ho Ghalib Mushkil Kusha Ki Beti Kar Mushkil-e-Kusha Zainab Ban Kai Hussain Ki Hai Abid Ki Rehnumai Laila Nay Ali Nay Di Tareekh Ki Gawahi Tu Fatima, Tu Ismat Tu Ayat-e-Khuda Zainab Tu Faath Shaam Bibi Tujh Sai Imam Bibi Har Aik Tere Dar Pai Haajat Tamaam Bibi Har Aik Pursadaar Ko Ab Shaam Mai Bula Zainab Khaime Mai Mole Ne Jab Akbar Ki Tilwat Ki Qasim O Ali Asghar Wo In Sai Khitabat Ki Shabbir Ka Bani To Us Baat Hosila Zainab Laiker Dua Aaye Tere Dhar Pai Azaadaryai Tere Bhaiyyo Kai Behto Kai Aaye Haijo Ghamkhaar Yai Ho Mustajaab Sab Nai Maangi Hai Jo Dua Zainab Tu Woh Ali Ki Beti Jo Shaam Mai Ali Hai Tere Hi Sadqe Bibi Mushkil Jo Hal Huwi Hai Mamnoon Hai Jo Tera Khud Rabbay Kibriya Zainab...

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka Soz Lyrics Mir Hasan Mir 2005

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ..(2) 1. Ae hurr teri qismat ne, kyu aaj ye karwat li ..(2) Kya subho ko dekha tha chehra ali akbar ka 2. Shabbir jhulate the abbas ke jhule ko ..(2) Abbas jhulate hai jhula ali akbar ka 3. Pucha gaya yusuf se jab husn ke baare me ..(2) Has kar kaha ye to hai sadqa ali akbar ka ..(2) 4. Laila ne kaha baithu, kis tarha mai saye me ..(2) Phirta hai nigaaho me chehra ali akbar ka ..(2) 5. Pucha gaya jab sheh se kyu kham hai kamar maula ..(2) Bole ke uthaya tha laasha ali akbar ka ..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ...Shared using Nauha Lyrics

Salaam Us Pe Jo Karbal Basa Ke Soya Hai Soz Lyrics Hasan Abbas 2019

SALAAM US PE JO KARBAL BASA KE SOYA HAI Salaam us pe jo karbal basaa ke soya hai Durood us pe jo ghar ko luta ke soya hai Salaam us pe jo khud to ujad gaya lekin Khuda ke deen ki basti basa ke soya hai Ham us husain ko dil se salaam karte haiñ Jo khud ko marziy e haq par mita ke soya hai Salaam us pe ke seh roz khud raha pyaasa Magar jo pyaas wafa ki bujha ke soya hai Hamaare sar pe hai ahesañ janaabe hur ka jo Hunar najaat ka jag ko sikha ke soya hai Salaam karte haiñ us chhe maheene waale ko Ke teer kha ke bhi jo muskuraa ke soya hai Durood un pe ke jin ko habeeb kehte haiñ Jo apne yaar se yaari nibha ke soya hai Hamaari jaaneiñ ho qurbaan husn waale par Jigar pe neze ka jo zakhm kha ke soya hai Salaam syed e sajjad par jo duniya meiñ Gham e husain ki duniya bana ke soya hai Durood us pe ke karbobala ki dharti par Jo laaelaah ki qismat jaga ke soya hai 'Hasan' yun jee ke maro ke kahe ye kal duniya Charaagh e zikr e bahattar jala ke soya hai ...Shared using Nauha Lyrics