Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

MERA MUSLIM AKELA HAI LYRICS - MIR HASAN MIR NAUHA 2020

 

mir hasan mir 2020 nauha

MERA MUSLIM AKELA HAI LYRICS - MIR HASAN MIR NAUHA 2020


●Mera Muslim Akela Hai

 

●Hayee Muslim Hayee Muslim

 

●Kaha Shabbir Ne Ghazi, Wo Dekho Janib e Kufa, Mera Muslim Akela Hai

Na koi Monis o Yawer , Na Koi Pass Hai Beta,  Mera Muslim Akela Hai

 

●Mairay Bhai Ko Charo'n Simt Se Fojo'n Ne Ghera Hai

Hazaron Maarne Wale Hain aur Muslim Akela Hai

Hain Kufi Char Janib, Nahi Hai Koi Bhi Apna, Mera Muslim Akela Hai

 

●Bari Dushwar Manzil Hai Kabhi Aesa Na Waqt Aye

Watan Se Door Gurbat Mai Koi Aese Na Dukh Payee

Rukayya one wali hai abhi kuch dair mai bewa, Mera Muslim Akela Hai

 

●Jo Mere Dil Pe Guzri Hai Unhain Batla Nahi Sakta

Tumhari Betiyon Ke Sath Kufa ja Nahi Sakta

Bacha Lein Mere Bhai Ko Najaf Nazdeek Hai Baba, Mera Muslim Akela Hai

 

●Kate Honton Ka Us Ke Khoon Jab Pani Mai Girta Hai

Gira Ker Jaam Pani Ko Bari Hasrat Se Takta Hai

Na Jane Kitna Zakhmi Hai Na Jane Kab Se Hai Piyasa, Mera Muslim Akela Hai

 

●Nazar Atay Nahi Abbas Ko Muslim Ke Shehzade

Muhammad aur Ibrahim Us Ke Sath Nikle The

Kahan Per Kho Gaye Dono Na Jane Kia Hua Aesa, Mera Muslim Akela Hai

 

●Yeh Kal Tak Sath The Us Ke Abhi Sub Hogaye Baagi

Safeer e Ibn e Haider Ki Ajab Gurbat Hai Yeh Ghazi

Koi Ghar Se Nahi Nikla Sada Deti Rahi Zehra, Mera Muslim Akela Hai

 

●Siwaye ibn e Urwa Ke Koi Aya Nahi Agay

Bachane Ko Nahi Aye Wo Lasha Hee Utha Lete

Kahan Khat Likhne Wale Hai Koi Ab Tak Nahi Aya, Mera Muslim Akela Hai

 

●Lipat Ker Sheh Ke Qadmon Se Kaha Ghazi Ne Ay Mola

Mujhe Pohancha Dein Kufa to Badal Dun Shehar Na Naqsha

Gareebi Per Mere Bhai Ki Saara Shehar Hai Hasta, Mera Muslim Akela Hai

 

●Kaha AKBER Ye Ro Ro Ker Shah e Wala Ne Ghazi Se

Wo Dekho Bethi Hain Amma Wahan Daman Ko Pehlaye

Sar e Muslim Ko Seene Se Lagaye Kehti Hain Zehra, Mera Muslim Akela 



 

 

 


Popular posts from this blog

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HUSSAIN AL GHAREEB ASH SHAHEED AL HUSSAIN LYRICS - ALINSAFDAR 2014 NAUHA

Ali Safdar (2014) Hussain al-ghareeb ash shaheed al hussain Husain Husain Husain Husain Ya Husain Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 1. Dohai dohai khudara dohai Ye dashte bala me hai kesi tabahi bahaya hai kisne ye khoone mohd qayamat ye dhai hai kisne ilaahi jawano buzurgo ko maara gaya hai shahido me shamil hai nanha sipahi  Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 2. kiya jashn barpa yu ehle hawas ne shahido ke laasho pe danke bajae jala daale aale mohd ke khaime sakina ke mu par tamache lagaye jo beemar tha uska bistar na choda nabi zadiyo par bhi durre chalaye Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 3. Uthi apne marqad se binte mohd siyah shab ki chadar me chehra chupakar gayi karbala me to usne ye dekha hai bosida kurte me ek laashe besar badan saara teero se chalni pada hai lahu me hai dooba hua saara paikar ...

SAVERE SAVERE ALI KA QASIDA LYRICS - ALI TAFSEER MANQABAT

Ali Tafseer (2010) Savere Savere Musalle pe maine ali ka qasida juhi gungunaya savere savere khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko bada lutf aaya savere savere 1. Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2) to khud aaftab e shahadat ne uska muqaddar jagaya, savere savere 2. Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2) parindo ne apni zuba me qasida ali ka sunaya, savere savere 3. Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2) libaas e jina leke rizwan e jannat ne darr khat khataya, savere savere 4. Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2) chiragh e hadis e kisa apne ghar me jo maine jalaya, savere savere 5. Mai soya tha shab me ali ko bula kar ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2) mujhe khwab me roza e murtaza ka nazara karaya, savere savere 6. Namaz e mawaddat me guzri meri shab jhuka fajr me sar (paye saj...