Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

BABA MAIN TERI ZAINAB SA HUN LYRICS SHAHID BALTISTANI NAUHA 2021

 


Baba Main Teri Zainab sa Hun | Shahid Baltistani | Mola Ali Noha 2021 | 21 Ramzan Noha | Nohay 2021

Ya Ali , Haye Ali

Haye Ali, Haye Haye Zainab Haye... Ghar Say Jab Haider E Safdar Ka Janazah Utha Sun Kay Hasnain Bhi Rone Lage Zainab Ki Sada, Baba Mere Baba Main Teri Zainab Hun Akhiri Bar Kaleje Say Lagao Baba Baba Main Teri Zainab Hun Tor K Band E Kafan Mujhko Bulao Baba... Kiya Gawara Hay Tumhe Sir Say Hataon Chadar Bolo Kiyun Chup Ho Padar Mujh Say Baten Kro Yun Mun Na Chupao Baba Main Bhala Kese Judai Ka Uthaongi Yeh Ghum Apko Maa Ki Qasam Dosri Baar Yateemi Say Bachao Baba Hukm Tha Apka Zainab Say Chupa Kr Rkhna Kuch Na Is Say Kehna Ab To Jatey Hue Wo Zakhm Dikhao Baba Kon Jannat Kay Manga Kr Mujhe Ab Dega Lebas Eid Bhi Agai Pas Ab Main Zid Kis Say Krongi Yeh Btao Baba Tum Ney Amma Ki Shahadat Pey Tasalli Di Thi Abhi Zinda Hay Ali Ab Mujhe Kon Sambhalega Btao Baba Tanha Milne Ky Liye Tum Say Kabhi Aa Na Sky Qabr Per Jaa Na Skyn Is Qadr Door To Basti Na Basao Baba Aap K Baad Bhi Is Tarhan Wafadar Rahen Sang Baari Na Karen Kufiyun Say Zara Kehty Hue Jao Baba Baap Ko Is Ney Takallum Na Di Awaz Kabhi Sirf Ashoor Ko Di Main Hun Mushkil May Najaf Chor K Aao Baba Baba Main Teri Zainab Hun Akhiri Bar Kaleje Say Lagao Baba Haye Ali, Haye Haye Zainab



Popular posts from this blog

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HUSSAIN AL GHAREEB ASH SHAHEED AL HUSSAIN LYRICS - ALINSAFDAR 2014 NAUHA

Ali Safdar (2014) Hussain al-ghareeb ash shaheed al hussain Husain Husain Husain Husain Ya Husain Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 1. Dohai dohai khudara dohai Ye dashte bala me hai kesi tabahi bahaya hai kisne ye khoone mohd qayamat ye dhai hai kisne ilaahi jawano buzurgo ko maara gaya hai shahido me shamil hai nanha sipahi  Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 2. kiya jashn barpa yu ehle hawas ne shahido ke laasho pe danke bajae jala daale aale mohd ke khaime sakina ke mu par tamache lagaye jo beemar tha uska bistar na choda nabi zadiyo par bhi durre chalaye Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 3. Uthi apne marqad se binte mohd siyah shab ki chadar me chehra chupakar gayi karbala me to usne ye dekha hai bosida kurte me ek laashe besar badan saara teero se chalni pada hai lahu me hai dooba hua saara paikar ...

SAVERE SAVERE ALI KA QASIDA LYRICS - ALI TAFSEER MANQABAT

Ali Tafseer (2010) Savere Savere Musalle pe maine ali ka qasida juhi gungunaya savere savere khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko bada lutf aaya savere savere 1. Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2) to khud aaftab e shahadat ne uska muqaddar jagaya, savere savere 2. Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2) parindo ne apni zuba me qasida ali ka sunaya, savere savere 3. Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2) libaas e jina leke rizwan e jannat ne darr khat khataya, savere savere 4. Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2) chiragh e hadis e kisa apne ghar me jo maine jalaya, savere savere 5. Mai soya tha shab me ali ko bula kar ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2) mujhe khwab me roza e murtaza ka nazara karaya, savere savere 6. Namaz e mawaddat me guzri meri shab jhuka fajr me sar (paye saj...