Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

RAB E JAHAN E KHENCHTEY HAIN- MIR HASAN MIR MANQABAT 2021

 


RAB E JAHAN E KHENCHTEY HAIN- MIR HASAN MIR MANQABAT 2021



Ba Mansha e Rab e Jahan Khenchtey Hain

Ali Sarhad e Kun Fukaa’n Khenchtey Hain

 

Woh Daikho Palat ta Hai Maghrib Se Suraj

Ali Waqt Ki Doriyan Khenchtey Hain

 

Hai Jis Hath Main Murtaza Ki Sawari

Usi Se Abuzar Jahan Khenchtey Hain

 

Yeh Ale Muhammad Hain Ale Muhammad

Jo Sajdon’n Say Haq Kay Nishaan Khenchtey Hain

 

Likho Nooh Tum Panch Isme Ilahi

Farishtey Abhi BadBaa’n Khenchtey Hain

 

Pisar Mang Rahib Yeh Daite Rahaingain

Sakhi Hath Apna Kahan Khenchtey Hain

 

Qayamat Main Daikha Qayamat Ka Manzar

Muqasir Ki Mesum Zaba’n Khenchtey Hain

 

Yeh Sajdo’n Main Sher e Khuda Ki Kashish Hai

Makaa’n Sey Suwe La Makaa’n Khenchtey Hain

 

Yah Khaki  Bashar Farsh e Aza Bicha Kar

Zameen Ki Taraf Asmaan Khenchtey Hain

 

Nuseri Muqasir Rahai Apni Had Main

Woh Mola Ko Kyun Darmiyaan Khenchtey Hain

 

Takallum Khuda e Sukhan kay Kalam Say

Jabee’n e Imam e Zamaan Khenchtey Hain




Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015