Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

MERA HUSSIAN HAINA LYRICS- MIR HASAN MIR MANQABAT 2021


●Hussain hai na

 

●Khuda Se Kehne Lagi Yeh Zehra

Hussain Hai Naa

 

●Teri Shariat Ko Kaisa Khatra

Hussain Hai Naa

 

●Kaha khuda ne rasool jao

Jahan ko yeh asool dedo

Hussain jab tak bhi pusht pe hai

Tum apne sajdon ko tool dedo

Tumhara sajdaa.... Bacha rahega

Hussain Hai Naa

 

●Khayal choton ka kis tarha se

Baron ne rakha hai yeh batana

Rasool zer e kisa thy jis dam

Hassan ne zehra ne murtaza ne 

Thaher ke pehle.... Nabi se pucha

Hussain Hai Naa

 

●Jo dekha maathe pe daag e sajda

Tou sheikh se boli unki zoja

Janab sub kheriat to hai na

Taweel itna Kiya hai sajdaa

Wo bole jal ker....Aray wo bacha

Hussain Hai Naa

 

●Ulatdi nanni si aastine

Qamar mai rumal uski bandha

Nazar utari nazar se apni

Ali ki beti ne phir yeh bola

Rabab Dekho..... tumhara beta

Hussain Hai Naa

 

●Khuda se Zainab Ka tha yeh waada

Yazeed jitna bhi dam laga le

Azan hogi namaz hogi

Wo chahe no lakh ko bula le

Gira sakega.....na tera Kaaba

Hussain Hai Naa

 

●Jalal Mai jab Ali Ka beta

Chala Jo taigh e Ali ko tole

Ajeeb baghdar thi Karbala mai

Sawar ik dusre se bole

Tere bhi peche.....are batana

Hussain Hai Naa

 

●Na wo kisi se hua hai paida

Na koi bhi use hoga paida

Ye shart touheed hai nuseri

Bata ke ab tera Kiya banega

Tere khuda ka...to aik beta

Hussain hai na

 

●Wo sub balaaon ko taal dega

Wo  mushkilon se nikal dega

Khilaf chahe ho sari dunya

Wo khud akaila sambhal lega

Ali ke shion....tumhara maula

Hussain hai na

 

●Udaas betha hai kyun musalman

Nahi ager Haj ki istetahat

To jaa abhi Karbala Chala jaa

Khuloos se dil mai karke niyat

Bagair Haj bhi....Tu haaji hoga

Hussain hai na

 

●Khuda ki izzat rakhi hai jis ne

Milegi mujh ko wahin se izzat

Uthalo dolat uthalo sohrat

Nahi taqallum ko Kuch zarurat

Haseen dunya.....Ka Kia karunga

Hussain hai na

 

 

 


 

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015