Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

Aa dekh le Zainab,tera zakhmi Baba,ghar loat ke ayaa hai- MIR HASAN MIR NAUHA LYRICS 2021


●Hayee Ali,Hayee Ali, Hayee Ali, Hayee Ali

 

●Fajar unisween ramzan ki tarpati hai

Fatima zehra ki jis waqt sadaa ati hai

 

●Aa dekh le Zainab,tera zakhmi Baba,ghar loat ke ayaa hai

 

●Kandho pe uthai,yun bete hain laaye,lagta hai janaza hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

 

●Mushkil se safar yeh te hai Kiya,jaari hai lahoo ka darya

Masjid se ghar tak,har ik qadam per,beton ne sambhala hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

 

●Halat hee ajab hai baba ki pehchanna mushkil hoga

Zehra ki garibi,yaad aye gi Bibi,tar khoon mai chehra hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

 

●Jirah se hujre ke bahir jab haal hassan ne pucha

Wo ro ke pukara,mushkil hua jeena,yeh zakham hee aesa hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

 

●Ab sham e gariban mai tum ko,yeh chehra nazar ayega

Ae sani e zehra,kuch roz ka mehman,ab ap ka baba hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

 

●Yeh shana hila ker kehti hain Abbas jari ki madar

Bibi uth jao,ashkon ko chupao,Baba ne bulaya hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

 

●Qadmon mai gir ke zainab ke,ghazi ki behan yeh boli

Baba ko bachalo,sadqe mujhe kardo,hazir yeh ruqaiyya hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

 

●Ik Roz akaile aana hai,is shehar mai tujh ko Bibi

Kiya hoga najane,shehzadi abhi se,badla hua kufa hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

 

●Shabbar ka jigar, Shabbir ka sar, Abbas jari ka bazoo

Katte dekhogi,ae baba ki piyari,yeh zakhm to pehla hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

 

●Yeh keh ke taqallum beti se,khamosh hui the maula

Darbar ke dar per,mai aoga milne,zainab mera waada hai

Aa dekh le Zainab, tera zakhmi Baba, ghar loat ke ayaa hai

 



Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015