Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

ZULJANAH ZULJANAH LYRICS - MIR HASAN MIR 2015 NAUHA

Mir Hasan Mir (2015)

Zuljanah zuljanah
Zuljana, Zuljana, Zuljana.....2
Zuljana, Zuljana.....2
Zuljana, Zuljana

Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2
Zuljana, Zuljana, Zuljana
Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2

Zeen Khali, Aur Rakabon Se Tapak Ta Hai Lahu
Tujh Se Aati Hai, Hai Garibe Karbala Ke Khoon Ki Bu
Kya SAKINA (SA) Ki Yatimi Ki Khabar Laya Hai Tu
Khoon Hai Mathe Pe Yeh, Kiska Mala
Zuljana, Zuljana, Zuljana
Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2

Haal Aaqa Ki Musibat Ka Suna De Zuljana
Ek Bahan Ko Uske Bhai Se Mila De Zuljana
Rah E Maktal Binte Zehra Ko Dikhade Zuljana
Dhoond Ne Jaaie Kahan SHEH (AS) Ko Bhala
Zuljana, Zuljana, Zuljana
Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2

Wa Husaina Ki Sadae Hai Fiza Mein Kisliye
Surkh Andhi Chal Rahi Hai Karbala Mein Kisliye
Baj Rahe Hai Shadiyane Ashkiya Mein Kis Liye
Shamiyon Mein Shor Hai Kaisa Bata
Zuljana, Zuljana, Zuljana
Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2

Dil Bahut Betab Tha Aaya Hai Jub Se Naamwar
Yaad SUGHRA (SA) Aa Gaie Kya Nau Jawan Ki Lash Par
Ladte Ladte Pad Gai Kya Zakhmi Sene Par Nazar
Laash Par AKBAR (AS) Ki Kya Gash Aa Gaya
Zuljana, Zuljana, Zuljana
Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2

Chain Kaise Bhai Ke Bin, Ghar Mein Paiengi Bahan
Teero Naizo Barchio Ke Zakhm Khaiengi Bahan
Apne Bhai Ko Utha Kar Ran Se Laiengi Bahan
Yeh Bata Tashna Dahan Kis Jaan Gira
Zuljana, Zuljana, Zuljana
Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2

Laut Ke Woh Ghar Na Aaya Aaj Maktal Jo Gaya
FATEMA (SA) Ka Chand Bhi Kya Nai Nawa Mein Kho Gaya
Shaam Se Phehle Takallum Kyun Andhera Ho Gaya
Kya Diya Kabre Nabi Ka Bujh Gaya
Zuljana, Zuljana, Zuljana
Hai Kahan Bhai Mera, Aai Zuljana.....2

Popular posts from this blog

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

AJ RUKHSAT HO RAHI HAIN TUMSE ZAHRA YA ALI LYRICS - MIR HASAN MIR 2019 NAUHA

Mir Hasan Mir (2019) Aaj rukhsat ho rahi hai tumse zahra ya ali Alwida Fatema (3) Haye Baad baba ke jo guzri wo Musibat sunlo Ya ali fatema zehra ki wasiyat sunlo Aaj rukhsat ho rhi hai Tumse zehra Ya Ali(3) Parda e shab mein meri mayyat uthana Ya Ali Aaj ruksat........ 1. Pasliya todi gai kaise ye batlaungi mai Hashr ke maidaa'n mein bhi is haal mein aaungi mai Haath pehlu se na tum mera hatana Ya Ali Aaj rukhsat..... 2. Wo musibat aap ne achcha hua dekhi nahi Ab mai sidhe haath se tasbih padh sakti nahi Aisa kunfuz ne hai mara taziyana Ya Ali Aaj rukhsat.... 3. Haye.... Kehti hai zainab ye mujhse dekhkar chehra mera Aapke rukhsaar par ye neel hai kaisa pada Are Maine khaya hai tamacha, Mat batana ya ali Aaj ruksat..... 4. Taziyane ki aziyyat ka uthana ek taraf Wo tamache, qatle mohsin, dar jalana ek taraf Sabse mushkil tha magar darbaar jana ya ali Aaj ruksat..... 5. Jab meri talqeen padhna yaad kar lena zara Dar ke girne se mera baazu bhi h...

HUR AA RAHA HAI AKBAR SEENE USE LAGAO LYRICS - MIR HASAN MIR 2020 NAUHA

Mir Hasan Mir (2020) Hur aa raha hai akbar Hur ibn e riyahi, aaja mere bhai..(2) Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) Mehmaan ko hamare..(2) khaime mein leke aao Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) 1. Khud yaad hoga usko paani tha usne roka khuddar wo bohot hai sharminda humse hoga pyaase hai saare bachhe, usko na ye batao Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) 2. Dekho woh chal raha hai maidaa'n mein ladkhada kar girne se pehle akbar, usko sambhalo jaakar aye mere shahzade, jaldi qadam badhao Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) 3. Abbas apne dil se, har baat saaf kardo maa Fatima ke sadqe, hur ko muaaf kardo jakar alam ke usko, saaye mein leke aao Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) 4. Beta hussain qaidi, kaise kisiko dekhe meri taraf se kholo, tum uske haaath jaake baba khafa nahi hai, jaakar use batao Hur aa raha hai akbar, seene use lagao..(2) 5. Tum se bhi pehle marne, jaega uska beta jee bhar ke dekhle wo, a...