Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

NA KAR QUBOOL MADINE HAMARE AANE KO LYRICS - MIR HASAN MIR 2013 NAUHA

 Mir Hasan Mir (2013)

MAT KAR KABOOL MAT KAR HAME QABOOL AI NANA KE MADINE
MADINA AA GAYA JAB YEH SADA UBHARNE LAGI
YEH PUSHTE NAKA SE KULSUM BAYN KARNE LAGI
LUTAKE AAYE HAI ZEHRA KE HUM GHARANE KO
NA KAR QUBOOL MADINE HAMARE AANE KO (2)

LUTAKE AAYE HAI ZEHRA KE HUM GHARANE KO
NA KAR QUBOOL MADINE HAMARE AANE KO (2)

BATAYE KAISE JO HUMPAR GUZAR GAYA MEHSHAR
SARE HUSAIN TADAPTA THA NAUKE NAIZA PAR
HAR EK SHAHR ME MAARE GAYE HUME PATTHAR
HAMARE CHEHRO KI JANIB THI SHAMIYO KI NAZAR
NA HAATH BHI THE YEH AAZAD MUH CHUPANE KO

NA KAR QUBOOL MADINE HAMARE AANE KO (3)

BICHAD KE APNI BAHEN SE DOBARA MIL NA SAKI
WOH DIL ME LE GAYI HASRAT MADINE AANE KI
MUSIBATO KE ANDHERO ME CHAL BASI BACCHI
HAME RIHAAI MILI WOH HAI AAJ BHI QAIDI
BASA LIYA HAI SAKINA NE QAID KHAANE KO

NA KAR QUBOOL MADINE HAMARE AANE KO (3)

MADINA LUT GAYI SARKAR TERE WALE KI
MERE HUSAIN KE SURKH GALE PE TEGH CHALI
BACHAANA ABID E BEEMAR KE SIWA KOI
HAMARI GODIYA PARDES ME HUI KHALI
QADAM UTHAYE NAHI JAATE GHAR ME AANE KO

NA KAR QUBOOL MADINE HAMARE AANE KO (3)

GALI GALI ME FIRAYA GAYA GARIBO KO
QADAM QADAM PE RULAYA GAYA GARIBO KO
BICHAAKE KAATE CHALAYA GAYA GARIBO KO
TAMASHA BINO ME LAAYA GAYA GARIBO KO
SAWAB SAMJA GAYA HAI HAME SATANE KO

NA KAR QUBOOL MADINE HAMARE AANE KO (3)

NA LIKH SAKEGA TAKALLUM SAMA WOH TERA KALAM
THI GIRD AHLE MADINA AJEEB THA AALAM
YEH KEHKE NAKO SE UTRE SIYAH POSH HARAM
YAHA PE CHAIN SE HOGA HUSAIN KA MATAM
TARAS GAYE THE HAM ASHKE AZA BAHANE KO

NA KAR QUBOOL MADINE HAMARE AANE KO (4)

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015