Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

MUSALLE PE AKBAR LK MAA RO RAHI LYRICS - MIR HASAN MIR 2004 NAUHA

Mir Hasan Mir (2004)

Musalle pe akbar ki maa ro rahi hai
Labo'n se nikal kar azaa'n ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai

1. Abhi to gaya bhi nahi ran mein akbar
abhi dil hai akbar ka seene ke andar
magar phir bhi noke sina ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai

2. Aye naazo ke paale zara tu theher jaa
ke zainab sajale tere sar pe sehra
ke aun o mohammad ki maa ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai

3. Nabi dekhte hai falak se ye manzar
safo mein khade sab namazi hai muztar
imamat liye hichkiya'n ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai

4. Waha'n par madine mein roti hai sughra
yaha'n par sakina ke labb par hai nauha
behen ek yaha'n ek waha'n ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai

5. Dua kar rahi hai ye karbal mein laila
na maut aaye akbar ko mere khudaya
wo le leke bus hichkiya'n ro rahi hai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai

6. Madine me akbar jaha'n se chale hai
zamee'n pe qadam ke nisha'n wo pade hai
behen dekhkar kuch nishaa'n ro rahi ai
musalle pe akbar ki maa ro rahi hai

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015