Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

KYA MERE JAWAN LAAL KE MAR JAANE KE DIN THE LYRICS - MIR HASAN MIR 2017 NAUHA

Mir Hasan Mir (2017)

Kya mere jawan laal ke
Haye kadiyal jawan akbar
mera kadiyal jawan akbar

haaye..
jeeti hai wo maa jiske guzar jaane ke din the..(2)
kya mere jawa'n laal ke mar jaane ke din the..(3)

jeeti hai wo maa jiske guzar jaane ke din the..(2)
kya mere jawa'n laal ke mar jaane ke din the..(2)

1. Thi jo hamare ghar mein nishani rasool ki
zainab rida mein apni jise paalti rahi
uth uth ke jisko chumte rehte the raat bhar
haye shabbir jee rahe the jise dekh dekh kar
us chehre ke kya khaak mein bhar jaane ke din the

2. Pyaase ko maar kar bhi na zalim ne dam liya
sar iska mere saamne usne qalam kiya
araam thodi der bhi paaya na khaak par
haye phir se shuru hogaya is laal ka safar
bazaar mein kab chaand sa sar jaane ke din the

3. Aaya ye jab jaha'n mein phuphi ne khushi khushi
azaad ek kaneez thi ki sheeri naam ki
aur saath saath ye bhi kaha tha na fikr kar
haye baraat leke aaungi iski mai tere ghar
pohcha waha na uske jidhar jaane ke din the

4. Haye lag jaye na nazar mere yusuf jamal ko
dekha nazar na bhar ke kabhi apne laal ko
hai gesuo mein khaak koi saaf to karo
haye zainab ki mai kaneez hu insaaf to karo
barchi kaha wo dil mein utar jaane ke din the

5. Nazuk badan pe zakhm na aane diya kabhi
maine na usko dhoop mein jaane diya kabhi
naize pe sar hai aaj badan jalti ret par
haye pardes mein ye aake nahi thi mujhe khabar
mehnat ki kamayi yu bikhar jaane ke din the

6. Waada kiya tha sar pe jo sehra sajaunga
ghabra na sughra mai tujhe lene ko aaunga
dehleez par hai baithi takallum wo ghum gusaar
arey cheh maah se hai usko baradar ka intezaar
pardes se ye laut ke ghar jaane ke din the

kya mere jawa'n laal ke mar jaane ke din the..(2)
haye kadiyal jawan akbar
mera kadiyal jawan akbar

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015