Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

DI THI AMMA NE JO POSHAK WO LA DO LYRICS - MIR HASAN MIR 2014 NAUHA

Mir Hasan Mir (2014)

Di thi Amma ne
Alwida alwida
Ae behen alwida..alwida alwida

Di thi Amma ne Jo poshaak wo laa do zainab
Apne hatho se kafan mujhko pinha do zainab

Aaj maqtal me faqat baat tumhari hogi
Abhi Amma se mulaqat hamari hogi..(2)
Koi paigham agar hai to suna do zainab

Hath pabande rasan behna tumhare hoge
Mujhko Reh Reh ke khayal aata hai lashe se mere..(2)
Teer Kis tarha nikalogi batado zainab

Mere laashe ki rahegi tumhe pehchan bahen
Chaak kardo mere kurte ka girehbaan bahen..(2)
Koi loote na ise aisa banado zainab

Saamne Apne sakina se utarwa lo gauhar
Abhi kuch der me lut jaega mazloom ka ghar..(2)
Ye amanat kisi goshe me chupa lo zainab

Bahar aane ko na khaime se mai kehta tumko
Hote Abbas to Takleef na Deta tumko..(2)
Banake Abbas Mujhe zee pe bitha do zainab

Qaid khane ki sambhalo ye amanat bibi
God me lo ise mazloom ho rukhsat bibi..(2)
Mera damannn meri Bachi se chhuda do zainab

Jab se akbar Gae beenai bhi ankho ki gai
Laake dedo Ali asghar ki nishani Koi..(2)
Kurta besheer ka ankho se Laga do zainab

Ghar se shabbir janaze ki tarha se Nikle
Sab hi rote the takallum dare khaima pe Khade..(2)
Sheh ne Jis dam Kaha Marne ki riza do zainab

Popular posts from this blog

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HUSSAIN AL GHAREEB ASH SHAHEED AL HUSSAIN LYRICS - ALINSAFDAR 2014 NAUHA

Ali Safdar (2014) Hussain al-ghareeb ash shaheed al hussain Husain Husain Husain Husain Ya Husain Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 1. Dohai dohai khudara dohai Ye dashte bala me hai kesi tabahi bahaya hai kisne ye khoone mohd qayamat ye dhai hai kisne ilaahi jawano buzurgo ko maara gaya hai shahido me shamil hai nanha sipahi  Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 2. kiya jashn barpa yu ehle hawas ne shahido ke laasho pe danke bajae jala daale aale mohd ke khaime sakina ke mu par tamache lagaye jo beemar tha uska bistar na choda nabi zadiyo par bhi durre chalaye Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 3. Uthi apne marqad se binte mohd siyah shab ki chadar me chehra chupakar gayi karbala me to usne ye dekha hai bosida kurte me ek laashe besar badan saara teero se chalni pada hai lahu me hai dooba hua saara paikar ...

SAVERE SAVERE ALI KA QASIDA LYRICS - ALI TAFSEER MANQABAT

Ali Tafseer (2010) Savere Savere Musalle pe maine ali ka qasida juhi gungunaya savere savere khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko bada lutf aaya savere savere 1. Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2) to khud aaftab e shahadat ne uska muqaddar jagaya, savere savere 2. Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2) parindo ne apni zuba me qasida ali ka sunaya, savere savere 3. Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2) libaas e jina leke rizwan e jannat ne darr khat khataya, savere savere 4. Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2) chiragh e hadis e kisa apne ghar me jo maine jalaya, savere savere 5. Mai soya tha shab me ali ko bula kar ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2) mujhe khwab me roza e murtaza ka nazara karaya, savere savere 6. Namaz e mawaddat me guzri meri shab jhuka fajr me sar (paye saj...