Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

DEKE AAWAZ BAAP KO AKBAR SOCHTE HAIN LYRICS - MIR HASAN MIR 2015 NAUHA

Mir Hasan Mir (2015)

Deke aawaz Baap Ko Akbar
Haye AKBAR (AS) Haye AKBAR (AS).....2
Baba Mere Baba
Haye AKBAR (AS) Haye AKBAR (AS)

De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS) , Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

Ladkhadte  Hue Jo Aa Bhi Gaye - 2
Haye Mere Lasha Uthayenge Kaise
De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS), Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

Hur Ke Bete Ki Lash Par Hur Se , Khe Rhe The Abhi Yahi Baba
Baap Lashe Javan Uthata Nhi, Iska Lasha Me Khud  Uthaunga
Ab Wahi Marhala Hai Baba Par, Mere Lasha Uthange Kaise
De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS), Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

Ek Meshar Bapa Tha Khayme Me, Maa Se Jis Dam Gaya Tha Me Milne
Aake Baba Ne Us Ghadi Daman, Khud Chhudaya Tha Meri Baheno Se
Mera Daman Chhudana Aasa Tha, Dil Se Barchi Chhudayenge Kaise
De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS), Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

Fiqr Barchi ki Kuch Nhi Mujko, Dil Me Bas Ye Khayal Aata Hai
Apne Kadyal Jawan Ke Lashe Par, Jeete Jee Baap-Mar hi Jata Hai
Iss Zaifi Me Ek Saat Pidar Do Janaze Uthayenge Kaise,
De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS) , Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

Ab me Samja Ke Kis Liye Baba , Mere Seene Ko Chuma Karte The
Haye Yaad Aati Thi Unko Jab SUGHRA (SA) , Meri Aakho Me Dekha Karte The
Gham Hai Ab Mera Meri Aakho Me, Mujse Nazre Milayenge Kaise
De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS), Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

Ayna-Ayna Ali-un AKBAR (AS) Ki, Ran Me Awaz Jab Wo Dete Hai
Haye Ghurbat Garibe ZEHRA (SA) Ki, Dekh Ke Sham Wale Haste Hai
Rasta Un Ko Mujh Tak Aane Ka, Fir Ye Katil Batayenge Kaise
De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS) , Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

Katle SHABBIR (AS) Ki Hai Tayyari, Ran Me Chamka Rahe Hai Sab Khanjar
Haye Barchi Seene Mai Hai Mere Lekin , Itna Majbur Bhi Nahi AKBAR (AS)
Sham Ke Log Mere Hote Hue , SHEH (AS) Pe Khanjar Chalayenge Kaise
De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS) , Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

Aakhn Me Askh Lab pe Nauha Tha , Aaie Takallum Ajib Lamha Tha
Haye Dil Me Wo Bar Bar Kahta Tha , Aane Wala Hai Qaside SUGHRA (SA)
Bhai Ki Lash Par Mere Baba, Khat Bahen Ka Sunayenge Kaise
De Ke Awaz Baap Ko AKBAR (AS) , Sochte Hain Ke Aayenge Kaise.....2

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015