Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

BETA SAJJAD UTHO LYRICS - MIR HASAN MIR 2002 NAUHA

Mir Hasan Mir (2002)

Beta sajjad utho
Sajjad utho
Beta Sajjad utho-3
Sham E ghareeba'n me tha ZAINAB ka Nauha,
Beta  SAJJAD utho-2
Sham...

Jal gaye khaime mera koi bhi na raha.
Beta SAJJAD utho-2
Sham E ghareeba'n...
Beta-2

1) QASIM hain na ab ALI AKBAR qatl hue ABBAS E dilawar.
Khil gaya khil kar keh K gale par koi nahi ab monis O yawar.
Sham E ghareeba'n..
Beta-2

2) Tashna labo'n k khoon me dubi karbobala KI paak zami'n hai,
Malzoomo bewo'n ka sahara koi nahi ab koi nahi hai.
Sham...
Beta...-2

3) Nanhe Mushahid gesuoo'n wale sher e jari ki maa ko sambhalo,
Wo hai mere ASGHAR ki nishani jhule ko jalne se bachalo.
Sham...
Beta...-2

4) Maar raha hai shimr tamache neel pade hain rukhsaro'n par,
Sun sun k beti ki sadayen kaanp uth-ta hai laashaye SARWAR.
sham...
Beta...-2

5) Roko sitamgaro'n ko roko uttho mere beta uth jao,
Sher se bete ko dekha hai khoo'n me nahaye barchi khaye.
Sham..
Beta..-2

6) Dekho zara kya zulm hua hai dekh hui hai kaisi tabahi,
Itni tassali do KUBRA ko bewa hui ik raat ki biyahi.
Sham..
Beta..-2

7) Maadar Kitni tadpi royi haye kisi ne Rehem na khaya,
Teer laga ASGHAR k gale par Mara gaya besheer bhi pyasa.
Sham..
Beta..-2

8) Sher se bete ko dekha hai khoo'n me nahaye barchi khaye,
Dil pe jawa'n bete ka gham hai maa uski kahi'n mar na jaye.
Sham..
Beta..-2

Popular posts from this blog

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HUSSAIN AL GHAREEB ASH SHAHEED AL HUSSAIN LYRICS - ALINSAFDAR 2014 NAUHA

Ali Safdar (2014) Hussain al-ghareeb ash shaheed al hussain Husain Husain Husain Husain Ya Husain Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 1. Dohai dohai khudara dohai Ye dashte bala me hai kesi tabahi bahaya hai kisne ye khoone mohd qayamat ye dhai hai kisne ilaahi jawano buzurgo ko maara gaya hai shahido me shamil hai nanha sipahi  Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 2. kiya jashn barpa yu ehle hawas ne shahido ke laasho pe danke bajae jala daale aale mohd ke khaime sakina ke mu par tamache lagaye jo beemar tha uska bistar na choda nabi zadiyo par bhi durre chalaye Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 3. Uthi apne marqad se binte mohd siyah shab ki chadar me chehra chupakar gayi karbala me to usne ye dekha hai bosida kurte me ek laashe besar badan saara teero se chalni pada hai lahu me hai dooba hua saara paikar ...

SAVERE SAVERE ALI KA QASIDA LYRICS - ALI TAFSEER MANQABAT

Ali Tafseer (2010) Savere Savere Musalle pe maine ali ka qasida juhi gungunaya savere savere khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko bada lutf aaya savere savere 1. Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2) to khud aaftab e shahadat ne uska muqaddar jagaya, savere savere 2. Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2) parindo ne apni zuba me qasida ali ka sunaya, savere savere 3. Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2) libaas e jina leke rizwan e jannat ne darr khat khataya, savere savere 4. Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2) chiragh e hadis e kisa apne ghar me jo maine jalaya, savere savere 5. Mai soya tha shab me ali ko bula kar ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2) mujhe khwab me roza e murtaza ka nazara karaya, savere savere 6. Namaz e mawaddat me guzri meri shab jhuka fajr me sar (paye saj...