Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

AYE MUSLIME GHAREEB LYRICS - MIR HASAN MIR 2014 NAUHA

Mir Hasan Mir (2014)

Aye Muslime ghareeb
Aye muslim-e-ghareeb..(6)

kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)

ya ali, ya ali koofe me fir aayi hai rone sayyeda

aap par jab ibne muljim ne kiya sajde me waar
hath pehlu par rakhe yaha aai thi me pehli baar
aaj fir us haal me zahra ko hai aana pada
kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)

koofe walo ne ise milkar hai maara ya ali
lashae muslim hai aise para para ya ali
jism hai sara mere bache ka zakhmo se bhara
kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)

kis tarah maine sambhala kis tarah thamba ise
kya batau mai khadi thi hath phailaye hue
darul ammara se jab tha lashae muslim gira
kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)

kuch hi din me phir yaha aungi mai roti hui
iske bacho par chalegi jab ke haris ki churi
mai sambhalungi unhe aakar ruqaiyya ki jagah
kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)

dushmani ale nabi se is tarha dikhlaenge
yu mohd aur ibrahim mare jaenge
naam ka bhi paas rakhenge na kuch ehle jafa
kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)

kar rahe hai zulm ki tafseer ye chehro ke neel
kat rahi hai aaj jo dar dar ye aulade aqeel
hai yaqeenan ye mere bacho se ulfat ki saza
kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)

bain the akbar zabane sayyada par bas yahi
sath zainab ke yaha fir mujhko aana hai abhi
shaam tak lejaega koofe se ghum ka silsila
kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2)

Aye muslim-e-ghareeb..(4)

Popular posts from this blog

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

  Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab Sadqa Hussain Ka Suno, Ham Sab Ilteja Zainab Shabbir Ri Ki Raza Mai Teri Razi Hai Shaamil Tera Sabr To Mola Shabbir Sahiba Mil Tu Fatima, Tu Haider Tu Hassan-e-Mujtaba Tu Ghairat Panjetan Hai Tu Binte Abu Talib Kar Ham Pai Karam Aisa Muskil Pai Ham Ho Ghalib Mushkil Kusha Ki Beti Kar Mushkil-e-Kusha Zainab Ban Kai Hussain Ki Hai Abid Ki Rehnumai Laila Nay Ali Nay Di Tareekh Ki Gawahi Tu Fatima, Tu Ismat Tu Ayat-e-Khuda Zainab Tu Faath Shaam Bibi Tujh Sai Imam Bibi Har Aik Tere Dar Pai Haajat Tamaam Bibi Har Aik Pursadaar Ko Ab Shaam Mai Bula Zainab Khaime Mai Mole Ne Jab Akbar Ki Tilwat Ki Qasim O Ali Asghar Wo In Sai Khitabat Ki Shabbir Ka Bani To Us Baat Hosila Zainab Laiker Dua Aaye Tere Dhar Pai Azaadaryai Tere Bhaiyyo Kai Behto Kai Aaye Haijo Ghamkhaar Yai Ho Mustajaab Sab Nai Maangi Hai Jo Dua Zainab Tu Woh Ali Ki Beti Jo Shaam Mai Ali Hai Tere Hi Sadqe Bibi Mushkil Jo Hal Huwi Hai Mamnoon Hai Jo Tera Khud Rabbay Kibriya Zainab...

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka Soz Lyrics Mir Hasan Mir 2005

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ..(2) 1. Ae hurr teri qismat ne, kyu aaj ye karwat li ..(2) Kya subho ko dekha tha chehra ali akbar ka 2. Shabbir jhulate the abbas ke jhule ko ..(2) Abbas jhulate hai jhula ali akbar ka 3. Pucha gaya yusuf se jab husn ke baare me ..(2) Has kar kaha ye to hai sadqa ali akbar ka ..(2) 4. Laila ne kaha baithu, kis tarha mai saye me ..(2) Phirta hai nigaaho me chehra ali akbar ka ..(2) 5. Pucha gaya jab sheh se kyu kham hai kamar maula ..(2) Bole ke uthaya tha laasha ali akbar ka ..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ...Shared using Nauha Lyrics

Salaam Us Pe Jo Karbal Basa Ke Soya Hai Soz Lyrics Hasan Abbas 2019

SALAAM US PE JO KARBAL BASA KE SOYA HAI Salaam us pe jo karbal basaa ke soya hai Durood us pe jo ghar ko luta ke soya hai Salaam us pe jo khud to ujad gaya lekin Khuda ke deen ki basti basa ke soya hai Ham us husain ko dil se salaam karte haiñ Jo khud ko marziy e haq par mita ke soya hai Salaam us pe ke seh roz khud raha pyaasa Magar jo pyaas wafa ki bujha ke soya hai Hamaare sar pe hai ahesañ janaabe hur ka jo Hunar najaat ka jag ko sikha ke soya hai Salaam karte haiñ us chhe maheene waale ko Ke teer kha ke bhi jo muskuraa ke soya hai Durood un pe ke jin ko habeeb kehte haiñ Jo apne yaar se yaari nibha ke soya hai Hamaari jaaneiñ ho qurbaan husn waale par Jigar pe neze ka jo zakhm kha ke soya hai Salaam syed e sajjad par jo duniya meiñ Gham e husain ki duniya bana ke soya hai Durood us pe ke karbobala ki dharti par Jo laaelaah ki qismat jaga ke soya hai 'Hasan' yun jee ke maro ke kahe ye kal duniya Charaagh e zikr e bahattar jala ke soya hai ...Shared using Nauha Lyrics