Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

ALLAH YE KAISA MANZAR HAI LYRICS - MIR HASAN MIR 2010 NAUHA

Mir Hasan Mir (2010)

Allah ye kaisa manzar hai
Allah ye kaisa manzar hai



Yeh KaunsiMastoora Hai, Kya Maang RahiHai. Islam KiKhidmat Ka Silaa Maang Rahi Hai.

Har Saahib-e-Ghairat Se Ridaa Maang Rahi Hai,Pardes Mai Marne Ki Dua Maang RahiHai.

Afsurda Hai Aflaaq Siyaah-a-boshZamin Hai, Jibreel Zara Dekh Yeh Zainab TohNahi Hai.



Allah,Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2



Beparda Shaamiyon Mai x 2, Aulaade Payamber Hai



Allah,Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2



1.    Nidaa De Raha Hai Ye HasskarManaadi,

AyLogo Gharo Se Nikal Aao Jaldi,

Sazaae Do Inko Yeh BaaghiHai Baaghi,

Bajhte Hai Shaadiyane x 2, Har Haath Mai PathharHai



Allah,Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2



2.    Kahaan Khauf Khaata, HaiZaalim Kisi Se,

Bulaata Hai Ik Ik,Ko WohNaam Leke,

Har Ik Bibi Chhupti HaiZainab Ke Pichhe,

Khud Ko Chhupaaye Zainab x 2, Fizza Ki Pusht Par Hai



Allah,Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2



3.    Bataata Hai Shimr AakeKhud Shaamiyon Ko,

Ke Kaata Hai Mai Ne Issi Se Saro Ko,

Dikhaata Hai Lehraake PhirBibiyon Ko,

Haatho Mai Uss ShaqiKe x 2, Ik Khun Bhara KhanjarHai



Allah,Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2



4.    Huwa Hai Asar ItnaBinaaiyon Par,

Ajab KashmakashMai Hai Asgher Ki Maadar,

Har Ik Neza Bardaar KePaas Jaakar,

Roroke Puchhti Hai x 2, Kya Ye Mera AsgherHai



Allah,Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2



5.    Aseero Pe Kaisi MusibatBani Hai,

Har Ik Bibi Bazaar Mai Dhundhti Hai,

Sakina Kahin Bheer Mai Khogayi Hai,

Mehshar Se Pehle Barpaa x 2, Bazaar Mai Mehshar Hai



Allah,Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2



6.    Qayamat Mai Kaisi Qayamat HaiBarpaa,

Taqallum Hai Godi Mai AsgherKa Laasha,

Adalat Mai Khaaliq Ki AatiHai Zehra,

Nazre Jhuki Hai Sabkix 2, Nabiyon Ke Labon Par Hai



Allah,Allah Yeh Kaisa Manzar Hai x 2

Popular posts from this blog

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

  Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab Sadqa Hussain Ka Suno, Ham Sab Ilteja Zainab Shabbir Ri Ki Raza Mai Teri Razi Hai Shaamil Tera Sabr To Mola Shabbir Sahiba Mil Tu Fatima, Tu Haider Tu Hassan-e-Mujtaba Tu Ghairat Panjetan Hai Tu Binte Abu Talib Kar Ham Pai Karam Aisa Muskil Pai Ham Ho Ghalib Mushkil Kusha Ki Beti Kar Mushkil-e-Kusha Zainab Ban Kai Hussain Ki Hai Abid Ki Rehnumai Laila Nay Ali Nay Di Tareekh Ki Gawahi Tu Fatima, Tu Ismat Tu Ayat-e-Khuda Zainab Tu Faath Shaam Bibi Tujh Sai Imam Bibi Har Aik Tere Dar Pai Haajat Tamaam Bibi Har Aik Pursadaar Ko Ab Shaam Mai Bula Zainab Khaime Mai Mole Ne Jab Akbar Ki Tilwat Ki Qasim O Ali Asghar Wo In Sai Khitabat Ki Shabbir Ka Bani To Us Baat Hosila Zainab Laiker Dua Aaye Tere Dhar Pai Azaadaryai Tere Bhaiyyo Kai Behto Kai Aaye Haijo Ghamkhaar Yai Ho Mustajaab Sab Nai Maangi Hai Jo Dua Zainab Tu Woh Ali Ki Beti Jo Shaam Mai Ali Hai Tere Hi Sadqe Bibi Mushkil Jo Hal Huwi Hai Mamnoon Hai Jo Tera Khud Rabbay Kibriya Zainab...

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka Soz Lyrics Mir Hasan Mir 2005

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ..(2) 1. Ae hurr teri qismat ne, kyu aaj ye karwat li ..(2) Kya subho ko dekha tha chehra ali akbar ka 2. Shabbir jhulate the abbas ke jhule ko ..(2) Abbas jhulate hai jhula ali akbar ka 3. Pucha gaya yusuf se jab husn ke baare me ..(2) Has kar kaha ye to hai sadqa ali akbar ka ..(2) 4. Laila ne kaha baithu, kis tarha mai saye me ..(2) Phirta hai nigaaho me chehra ali akbar ka ..(2) 5. Pucha gaya jab sheh se kyu kham hai kamar maula ..(2) Bole ke uthaya tha laasha ali akbar ka ..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ...Shared using Nauha Lyrics

Salaam Us Pe Jo Karbal Basa Ke Soya Hai Soz Lyrics Hasan Abbas 2019

SALAAM US PE JO KARBAL BASA KE SOYA HAI Salaam us pe jo karbal basaa ke soya hai Durood us pe jo ghar ko luta ke soya hai Salaam us pe jo khud to ujad gaya lekin Khuda ke deen ki basti basa ke soya hai Ham us husain ko dil se salaam karte haiñ Jo khud ko marziy e haq par mita ke soya hai Salaam us pe ke seh roz khud raha pyaasa Magar jo pyaas wafa ki bujha ke soya hai Hamaare sar pe hai ahesañ janaabe hur ka jo Hunar najaat ka jag ko sikha ke soya hai Salaam karte haiñ us chhe maheene waale ko Ke teer kha ke bhi jo muskuraa ke soya hai Durood un pe ke jin ko habeeb kehte haiñ Jo apne yaar se yaari nibha ke soya hai Hamaari jaaneiñ ho qurbaan husn waale par Jigar pe neze ka jo zakhm kha ke soya hai Salaam syed e sajjad par jo duniya meiñ Gham e husain ki duniya bana ke soya hai Durood us pe ke karbobala ki dharti par Jo laaelaah ki qismat jaga ke soya hai 'Hasan' yun jee ke maro ke kahe ye kal duniya Charaagh e zikr e bahattar jala ke soya hai ...Shared using Nauha Lyrics