Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

ALI UN WALI ULLAH LYRICS - MIR HASAN MIR 2015 NAUHA

Mir Hasan Mir (2015)

Aliun waliyullah
Haaa
Ash hado anna ali un waliullah x 2

Ya ALI (AS)
Ya ALI (AS).....4

Hay ALI (AS) .....4
ZEHRA (SA) Se Poocho Kya Hai ALIYUN WALIULLAH
Is Ke Liye BATOOL (SA) Ka Do Bar Ghar Jala
Baghdad, Sham O Kufa, Khurashan O Karbala
Ummat Ne Fatema (SA) Ko Kahan Dukh  Nahi Diya
Sab Kuch Lutaya Deen Ki Hifazat Ke Waste
ZEHRA (SA) Ujad Gai Hai Wilayat Ke Waste

Darbar Mein Bacha Ne.....2 .....Gai FATEMA ZEHRA (SA)
ALIYUN WALIULLAH.....4

Sunta Na Tha Madine Mein ZEHRA (SA) Ki Koi Baat,
Le Kar HASAN (AS) HUSAIN (AS) Ko Har Subha Apne Sath
Ghar Ghar Pe Yaad Jaa Ke ......2..... Dilati Thi SAIYADA (SA)
ALIYUN WALIULLAH.....4

Gam Mein ABUTURAB (AS) Ke Ghut Ghut Ke Mar Gai
Dar Parda FATEMA (SA) Ki Wasiyat  Yahi To Thi
Aaie Na Woh Janaze Par......2..... Jisne Nahi Padha
ALIYUN WALIULLAH.....4

Tooti Hui Thi Paslilyan, Dam Tha Ruka Hua
Tha SAIYADA (SA) Pe Jalta Hua Dar Gira Hua
Phir Bhi Lab E BATOOL (SA) Pe ......2...... Jari Thi Yeh Sada
ALIYUN WALIULLAH.....4

ZAINAB (SA) Pukari Aaie Mere Mazloom Be Watan
Wada Tumhari Lash Pe Karti Hai Yeh Bahan
Ek Din Zaroor Shaam Ki......2...... Galiyon mein Goonjenga
ALIYUN WALIULLAH.....4

Aaie Najaf Se  Shaam E Ghariba Mein Jub ALI (AS)
ZAINAB (SA) Yeh Keh Ke Apne Padar Se Lipat Gai
Khanjar Tale Bhi Bhai Ke Zakhmi Labon Pe Tha
ALIYUN WALIULLAH.....4

Boli SAKINA (SA) Aaya Jo Zindan Mein SHEH (AS) Ka Sar
Kaise Batau Shaam Ka Kaise Kiya Safar
Gir Gir Ke Khoon Kano Se......2...... Deta Raha Sada
ALIYUN WALIULLAH.....4

Zindan Mein Ek Kabr Banane Ke Waste
Humsheer Ka Janaza Uthane Ke Waste
Nade ALI (AS) Ki Shakl Mein......2...... SAJJAD (AS) Ne Padha
ALIYUN WALIULLAH.....4

Namehramon Ki Bhid Thi Darbar E Shaam Mein
ZAINAB (SA) Ne Deke Khudba Zabane IMAM (AS) Mein
Be Waqt Ki Azan me.....2...... Dab Ne Nahi Diya
ALIYUN WALIULLAH.....4

Maan Ki Lahad Pe  Bain Takallum The Beti Ke
Pehlu Pe Zakhm Kha Ke Bachaya Tha Aap Ne
Main Ne Rida Luta Ke.....2..... Bacha Ya Hai Ba Khuda
ALIYUN WALIULLAH.....4

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015