Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

ZINDA HAI ZINDA HAI AZADARI LYRICS - ALI SAFDAR 2013 NAUHA

Ali Safdar (2013)

zinda hai azadari
zinda hai zinda hai zinda hai azadari..(2)

ye qaum kaha haari, zinda hai azadari
marne ki hai tayyari, zinda hai azadari
sunle ye har ek naari,zinda hai azadari
seeno me hai bedaari, zinda hai azadari
hai zarb yahi jaari, zinda hai azadari
zinda hai azadari,zinda hai azadari..(2)
eeman ki sarshari, zinda hai azadari
zinda hai azadari,zinda hai azadari..(4)

1. Is daur e shahadat me (jeene ki hai dushwari)
lekin ye sadaqat ka ab bhi hai safar jaari
ham ehle aza haq ki karte hai tarafdari
duniya ke yazidiyo se ye qaum kaha haari

2. Rakhe hai muqabil me teero ke badan hamne
ansare husaini se seekha hai chalan hamne
matam ki fazao me pehna hai kafan hamne
marne se nahi darte marne ki hai tayyari

3. wo sar jo sare maqtal jo zulm pe chaya tha
jis sar ko laeeno ne naize pe uthaya tha
jis sar ki balandi ka har gaam pe saaya tha
qatil se koi kehde us sar ki hai sardaari

4. zalim se koi kehde kyu humko satate ho
tum maut ki wadi me kis kis ko sulate ho
kitne hi charagho ko tum roz bujhate ho
fir bhi hai har ek ghar me dekho ye azadari

5. ye majliso matam bhi sadqa hai shaheedo ka
hai khoon ki lehro me ek josh aqeedo ka
jo dil se husaini hai munkir hai yazeedo ka
aisa hi husaini ko bay'at se hai inkaari

6. hai aaj sabhi shamil is majliso matam me
jo ghair hai apna hai is shehre moharram me
dil sab ke tadapte hai tafreeq nahi gham me
tehzeeb e aza dekho millat hai yaha taari

7. hai zere alam marna, hai zere alam jeena
anware imamat ka panje me hai gan jeena
noori hai har ek jazba noori hai har ek seena
marte hai kaha noori sunle ye har ek naari

8. jaata hai juloose ghum raftare qadam dekho
abbas ki ulfat ka ye jaho hasham dekho
maula ke julooso me aage hai alam dekho
abhi hai alam ucha baqi hai alamdari

9. ek daste burida se hamko jo mohabbat hai
matam ka safar ab bhi us haq ki badaulat hai
us haq ke julooso me uski hi qayadat hai
ye zikre wafa saara hai deen ki saalari

10. ye shaane azadari mane na koi mane
har mod pe majlis hai har gaam azakhane
ek shamme shahadat ke hai gard ye parwane
ankho me to ansu hai seeno me hai bedari

11. ek dars hilaal aisa majlis ko naya denge
paighame husaini se zehno ko jaga denge
matam ki sadao se duniya ko hila denge
hai gunj yahi baqi hai zarb yahi taari

zinda hai azadari,zinda hai azadari..(4)
zinda hai zinda hai zinda hai azadari..(2)

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015