Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

YA IMAME ZAMAN LYRICS - ALI SAFDAR 2015 NAUHA

Ali Safdar (2015)

Ya Imame zaman
Ya Imam ...x8
Al ajal ya Imam....x2
Ashkon se likha raha hoon ariza tere huzur
Mujhko yaqeen hain aap padhege ise zaroor
Dushman ki har taraf se hain yalwar aiye
Aa jaiye ab aiye ab aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman ....
Aapke muntazir....

Lashe utha rahe hain azadar subho shaam
Seene pe hath lab pe hain labbaik ya Imam
Labbaik ya Imam
Nara laga rahe hain shahaadat ka peeke jaam
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman....
Aapke muntazir....

Fir sar utha rahe hain yazidi yaha waha
Dain taag momino pe zameen aur aasmaan
Zameen aur aasmaan
Zulmo sitam ki dhoop me hain aap sayeban
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman....
Aapke muntazir....

Dil se game Hussain nikala kabhi nahi
Sar zalimon ke dar pe jhukaya kabhi nahi
Jhukaya kabhi nahi
Jo aapse hain ishq chupaya kabhi nahi
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman....
Aapke muntazir....

Aulaad e Fatema pe hain ab bhi sitam rawa
Hain Karbala me ek nayi Karbala bapa
Nahi Karbala bapa
Fir se nikal rahi hain bas ab to yahi dua
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman....
Aapke muntazir....

Har shehar har zameen hain aaka lahu lahu
Gulshan lahu lahu hain to sehra lahu lahu
Sehra lahu lahu
Fir se hua furat ka darya lahu lahu
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman....
Aapke muntazir....

Qasre yazeediyat yuhi dhaate rahege hum
Firauniyat ka naam mitate rahege hum
Mitate rahege hum
Abbas ke alam ko uthate rahege hum
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Ya Imam e Zaman....
Aapke muntazir....

Jaan apni yeh Safar dare Zehra pe warna
Na harna aye momino himmat na harna
Himmat na harna
Apne Imam e waqt ko yuhi pukarna
Ya Imam e Zaman ya Imam ya Imam
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Aa bhi jaiye
Aapke muntazir hain yeh gulaam
Ya Imam

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015