Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

YA ALI ADRIKNI LYRICS - ALI SAFDAR 2015 NAUHA

Ali Safdar (2015)

Ya Ali adrikni
Ya Ali...x4
Ya Ali.....x5
Ya Ali.... x7
Ya Ali Ali Ali...x3
Ya (Ali)...x7
La ilaha illah Mohammadur Rasulullah
(Aliyun Waliullah)....x3
Nade Ali ya mazharal ajaeb tajhidho aunallaka fin nawaeb kullo hammin wa hammin sayanjali be azamateka ya Allah be nubuwateka ya Mohammed be wilayateka Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni...x4

Ya Ali e Murtaza aye mere Mushkil Kusha
Aiye imdad ko ab mere hajat rawa
Qatl hote hain Hussaini roz bejurmo khatam
Jis taraf bhi dekhe hain ban rahi hain Karbala
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni....x4

Muntazir ke muntazir hain ehle        ehle wafa
Jinko lena hain jahaan me inteqaam e Karbala
Kash woh ghaibat se nikle aur karde faisla
Ham jihad e haq me apni jaan kardege fida
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni....x4

Ham abhi khamosh hain unki ziyarat ke liye
Jaan dene ke liye unki ijazat ke liye
Ham toh hain tayyar maula har qayamat ke liye
Zindagi bechain rehti hain shahaadat ke liye
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni....x4

Shaam o Kufa muztarib hain hir duhayi ya Imam
Karbala me ho rahi hain fir ladayi ya Imam
Kijiye duniya se batil ki safai ya Imam
Aapke kabze me hain saari khudayi ya Imam
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni.....x4

Parcham e Abbas ke saye me hain Gazi tama
Alkama se dur maqtal me lagaye hain khayam
Bargah e Sayyeda me pesh karte hain salam
Sar hatheli par rakhe hain aapke saare gulam
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni....x4

Noke naiza se tilawat ki sadayein ayi hain
Maqtale Karbobala se ab hawayein ayi hain
Jo chini thi Karbala me woh ridayein ayi hain
Woh jo bacche kat gaye the unki maayein ayi hain
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni....x4

Maqtal e Karbobala hain haye Zainab ya Hussain
Hone wala faisla hain haye Zainab ya Hussain
Fir tabassum bolta hain haye Zainab ya Hussain
Tera waris aa raha hain haye Zainab ya Hussain
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni....x4

Haidar e Safdar ka beta woh shahe aali waqar
Ho raha hain jiski aamad ka abhi tak intezar
Karbala ka muntakim aya hain lekar zulfikar
Uske qadmon par abad ham jaan kar dege nisaar
Ali Ali Ali adrikni
Ya Ali ya Ali adrikni.....x4

Nade Ali ya mazharal ajaeb tajhidho aunallaka fin nawaeb kullo hammin wa hammin sayanjali be azamateka ya Allah be nubuwateka ya Mohammed be wilayateka Ali Ali Ali adrikni

Popular posts from this blog

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

  Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab Sadqa Hussain Ka Suno, Ham Sab Ilteja Zainab Shabbir Ri Ki Raza Mai Teri Razi Hai Shaamil Tera Sabr To Mola Shabbir Sahiba Mil Tu Fatima, Tu Haider Tu Hassan-e-Mujtaba Tu Ghairat Panjetan Hai Tu Binte Abu Talib Kar Ham Pai Karam Aisa Muskil Pai Ham Ho Ghalib Mushkil Kusha Ki Beti Kar Mushkil-e-Kusha Zainab Ban Kai Hussain Ki Hai Abid Ki Rehnumai Laila Nay Ali Nay Di Tareekh Ki Gawahi Tu Fatima, Tu Ismat Tu Ayat-e-Khuda Zainab Tu Faath Shaam Bibi Tujh Sai Imam Bibi Har Aik Tere Dar Pai Haajat Tamaam Bibi Har Aik Pursadaar Ko Ab Shaam Mai Bula Zainab Khaime Mai Mole Ne Jab Akbar Ki Tilwat Ki Qasim O Ali Asghar Wo In Sai Khitabat Ki Shabbir Ka Bani To Us Baat Hosila Zainab Laiker Dua Aaye Tere Dhar Pai Azaadaryai Tere Bhaiyyo Kai Behto Kai Aaye Haijo Ghamkhaar Yai Ho Mustajaab Sab Nai Maangi Hai Jo Dua Zainab Tu Woh Ali Ki Beti Jo Shaam Mai Ali Hai Tere Hi Sadqe Bibi Mushkil Jo Hal Huwi Hai Mamnoon Hai Jo Tera Khud Rabbay Kibriya Zainab...

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka Soz Lyrics Mir Hasan Mir 2005

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ..(2) 1. Ae hurr teri qismat ne, kyu aaj ye karwat li ..(2) Kya subho ko dekha tha chehra ali akbar ka 2. Shabbir jhulate the abbas ke jhule ko ..(2) Abbas jhulate hai jhula ali akbar ka 3. Pucha gaya yusuf se jab husn ke baare me ..(2) Has kar kaha ye to hai sadqa ali akbar ka ..(2) 4. Laila ne kaha baithu, kis tarha mai saye me ..(2) Phirta hai nigaaho me chehra ali akbar ka ..(2) 5. Pucha gaya jab sheh se kyu kham hai kamar maula ..(2) Bole ke uthaya tha laasha ali akbar ka ..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ...Shared using Nauha Lyrics

Salaam Us Pe Jo Karbal Basa Ke Soya Hai Soz Lyrics Hasan Abbas 2019

SALAAM US PE JO KARBAL BASA KE SOYA HAI Salaam us pe jo karbal basaa ke soya hai Durood us pe jo ghar ko luta ke soya hai Salaam us pe jo khud to ujad gaya lekin Khuda ke deen ki basti basa ke soya hai Ham us husain ko dil se salaam karte haiñ Jo khud ko marziy e haq par mita ke soya hai Salaam us pe ke seh roz khud raha pyaasa Magar jo pyaas wafa ki bujha ke soya hai Hamaare sar pe hai ahesañ janaabe hur ka jo Hunar najaat ka jag ko sikha ke soya hai Salaam karte haiñ us chhe maheene waale ko Ke teer kha ke bhi jo muskuraa ke soya hai Durood un pe ke jin ko habeeb kehte haiñ Jo apne yaar se yaari nibha ke soya hai Hamaari jaaneiñ ho qurbaan husn waale par Jigar pe neze ka jo zakhm kha ke soya hai Salaam syed e sajjad par jo duniya meiñ Gham e husain ki duniya bana ke soya hai Durood us pe ke karbobala ki dharti par Jo laaelaah ki qismat jaga ke soya hai 'Hasan' yun jee ke maro ke kahe ye kal duniya Charaagh e zikr e bahattar jala ke soya hai ...Shared using Nauha Lyrics