Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

SAKINA BHOOL GAYI ZAEQA BHI PANI KA LYRICS - ALI SAFDAR 2018 NAUHA

Ali Safdar (2018)

Sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka
Haye sakina, haye pyaas..(2)
gila bhi karti nahi apni tashnakami ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka..(2)

1. Wo pehli shaam judayi ki aur wo tanhayi
wo ghup andhera wo maqtal wo yaad baba ki..(2)
mayaan e dard o alam hai safar yateema ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka

2. Hai dastane sitam wo jala hua kurta
nisha'n tamacho ke rukhsaar par daleel e jafa..(2)
gawahi zulm ki deta hai zakhm seyli ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka

3. Talaash seena e sarwar hai aur sakina hai
ajeeb hooka sa manzar hai aur sakina hai..(2)
na puch haal aye ghazi teri bhatiji ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka

4. Phuphi ko takti hai hasrat se ye sukhan keh kar
figaar kaano se behta hai khoon reh reh kar..(2)
gulu ko karta hai zakhmi hisaar rassi ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka

5. Wo wehshatein wo udasi wo khauf aur wo ghazab
jo qaid e shaam mein guzri wo sakhtiya'n hai ajab..(2)
ye dil ke waaste samaa'n hai ghum gusari ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka

6. Padar ke baad kabhi chayn ki na neend aayi
ajab sitam hai padar par na khul ke ro payi..(2)
wo ghum bhula na saki baap ki judayi ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka

7. Sitam ki saari hado se guzar gayi akhir
padar ki yaad mein asif wo marr gayi akhir
chalo ye waqt hai zainab se pursa daari ka
sakina bhool gayi zaeqa bhi pani ka

Popular posts from this blog

SAVERE SAVERE ALI KA QASIDA LYRICS - ALI TAFSEER MANQABAT

Ali Tafseer (2010) Savere Savere Musalle pe maine ali ka qasida juhi gungunaya savere savere khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko bada lutf aaya savere savere 1. Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2) to khud aaftab e shahadat ne uska muqaddar jagaya, savere savere 2. Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2) parindo ne apni zuba me qasida ali ka sunaya, savere savere 3. Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2) libaas e jina leke rizwan e jannat ne darr khat khataya, savere savere 4. Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2) chiragh e hadis e kisa apne ghar me jo maine jalaya, savere savere 5. Mai soya tha shab me ali ko bula kar ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2) mujhe khwab me roza e murtaza ka nazara karaya, savere savere 6. Namaz e mawaddat me guzri meri shab jhuka fajr me sar (paye saj

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015