Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

PARDA KAHI MILTA NAHI LYRICS - ALI RAZA SURANI 2015 NAUHA

Ali Raza Surani (2015)

Parda kahi milta nahi
Haye Sajjad(as) x6
Parda kahi(N) milta nahi x2
Milta nahi x2

Abid e bimaar(as) ki aakho(N) se khoo(N) rukhta nahi haye x2
(Jisko Zainab(sa) ke liye)x2 parda kahi(N) milta nahi

Abid e bimaar(as) ki aakho(N) se khoo(N) rukhta nahi haye x2

(1)Dekho na mera tamasha,roke Abid(as) ne kaha
Saath mere aayi hai hoke woh qaidi berida
(Nange sar jisko kabhi)x2 baba ne bhi dekha nahi

Abid e bimaar(as) ki aakho(N) se khoo(N) rukhta nahi haye x2

(2)Darr se sehmi hai Sakina(sa) khoon kaano se ravaa(N)
Puchti dikhla ke Abid(as) ko tamacho ke nisha(N)
(Kab watan mei jaaenge)x2 koi yahaa(N) apna nahi

Abid e bimaar(as) ki aakho(N) se khoo(N) rukhta nahi haye x2

(3)Zidd na karna tum Sakina(sa) safar mei Zainab(sa) ke saath
Sine pe soo jana maa(N) ke jab bhi hojaegi raat
(Laut kar aayega ab)x2 beti tera baba nahi

Abid e bimaar(as) ki aakho(N) se khoo(N) rukhta nahi haye x2

(4)Saamne Abid(as) ke ban mei jal gaya Zehra(sa) ka ghar
Kistarha Zainab(sa) ko laaya Shaam mei woh nange sar
(Dekha hai kainaat mei)x2 sabir koi aisa nahi

Abid e bimaar(as) ki aakho(N) se khoo(N) rukhta nahi haye x2

(5)Raat bhi haojaye toh tapta hai dasht e Karbala
Uska jhula jalgaya,pani bhi usko na mila
(Kistarha soojau main)x2 Asgher(as) mera sooya nahi

Abid e bimaar(as) ki aakho(N) se khoo(N) rukhta nahi haye x2

(6)Jiski baazaro mei dekho horahi tasheer hai
Fakr e Maryam(sa),Binte Zehra(sa),Waris e Tatheer hai
(Paak Zainab(sa) ka Hassan)x2 yeh gham kabhi bhula nahi

Abid e bimaar(as) ki aakho(N) se khoo(N) rukhta nahi haye x2

(Jisko Zainab(sa) ke liye)x2 parda kahi(N) milta nahi
Abid e bimaar(as) ki aakho(N) se khoo(N) rukhta nahi haye x4

Haye Sajjad(as) x2
Parda kahi(n) milta nahi x2
Milta nahi x2

Popular posts from this blog

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HUSSAIN AL GHAREEB ASH SHAHEED AL HUSSAIN LYRICS - ALINSAFDAR 2014 NAUHA

Ali Safdar (2014) Hussain al-ghareeb ash shaheed al hussain Husain Husain Husain Husain Ya Husain Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 1. Dohai dohai khudara dohai Ye dashte bala me hai kesi tabahi bahaya hai kisne ye khoone mohd qayamat ye dhai hai kisne ilaahi jawano buzurgo ko maara gaya hai shahido me shamil hai nanha sipahi  Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 2. kiya jashn barpa yu ehle hawas ne shahido ke laasho pe danke bajae jala daale aale mohd ke khaime sakina ke mu par tamache lagaye jo beemar tha uska bistar na choda nabi zadiyo par bhi durre chalaye Husain al-ghareeb al-ghareeb al-Husain Husain as-shaheed as-shaheed al-Husain..(2) 3. Uthi apne marqad se binte mohd siyah shab ki chadar me chehra chupakar gayi karbala me to usne ye dekha hai bosida kurte me ek laashe besar badan saara teero se chalni pada hai lahu me hai dooba hua saara paikar ...

SAVERE SAVERE ALI KA QASIDA LYRICS - ALI TAFSEER MANQABAT

Ali Tafseer (2010) Savere Savere Musalle pe maine ali ka qasida juhi gungunaya savere savere khuda ki qasam phir ibadat ka mujhko bada lutf aaya savere savere 1. Jo sheh ki mawaddat ne hurr ko jhanjhora to usne bhi ghaflat ke (bistar ko choda)..(2) to khud aaftab e shahadat ne uska muqaddar jagaya, savere savere 2. Ubharte hi suraj ne hamd e khuda ki ziyarat ki phir (roza e murtaza ki)..(2) parindo ne apni zuba me qasida ali ka sunaya, savere savere 3. Hai zehra ki marzi mashiyat khuda ki hua tha na lab se (abhi hukm jaari)..(2) libaas e jina leke rizwan e jannat ne darr khat khataya, savere savere 4. Uthi jhoom kar rehmato ki ghataye chali mere ghar me (jina ki hawaein)..(2) chiragh e hadis e kisa apne ghar me jo maine jalaya, savere savere 5. Mai soya tha shab me ali ko bula kar ba hukm e khuda kuch (farishto ne aakar)..(2) mujhe khwab me roza e murtaza ka nazara karaya, savere savere 6. Namaz e mawaddat me guzri meri shab jhuka fajr me sar (paye saj...