Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

LIPAT KE ROTI HAI ZEHRA SA LYRICS - ALI RAZA SURANI 2015 NAUHA

Ali Raza Surani (2015)

Lipat ke roti hai zehra
Ya Zahra(sa) x4
Haye Zahra(sa) x4

Lipat ke roti hai Zehra(sa) Nabi(saw) ki turbat se x2
Yeh ajr baba mila mujhko teri ummat se

Lipat ke roti hai Zehra(sa) Nabi(saw) ki turbat se x2

(1)Laae(N) ne aapki tahreer ke kiye tukre
Hawa mei phek ke hasne laga,kahu(N) kaise
Main dekhti rahi uski jafa ko hairat se

Lipat ke roti hai Zehra(sa) Nabi(saw) ki turbat se x2

(2)Kabhi jo galiyoN se yasrab ki hum guzarte hai
Nawase aapke mujhse sawaal karte hai
Kyu dekhta nahi humko koi mohabat se

Lipat ke roti hai Zehra(sa) Nabi(saw) ki turbat se x2

(3)Na jaane kaise musalmaan hai pidar tere
Gawahi unki bhi jhut laa dee saamne mere
Woh jinke kurte the rizwan laaye jannat se

Lipat ke roti hai Zehra(sa) Nabi(saw) ki turbat se x2

(4)Ali(as) ko ab toh jawaab e Salaam aata nahi
Yeh gham sahe hai jo mujhse bhulaya jata nahi
Ghazab ke din the guzare ajab hii ghurbat se

Lipat ke roti hai Zehra(sa) Nabi(saw) ki turbat se x2

(5)Yeh aarahi hai raza qabr e Sayyada(sa) se sada
Banega rauza mera aur bichegi farshe aza
Jab aaega mera Beta(atfs) naqaab e ghaibat se

Lipat ke roti hai Zehra(sa) Nabi(saw) ki turbat se x2

Yeh ajr baba mila mujhko teri ummat se
Lipat ke roti hai Zehra(sa) Nabi(saw) ki turbat se x4

Haye Zahra(sa) x4

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015