Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

KHAMOSH NIGAAHO MEIN HAYE BABA ALI LYRICS - ABBAS HAIDER LALJI 2016

Abbas Haider Lalji (2016)

Khamosh nigaaho mein
Haye baba ali..(4)
Khamosh nigaho'n mein apne baba se ye pucha zainab ne..(2)
Wo kaunsa dukh hai duniya mein..(2)
jo dukh na dekha zainab ne, dekha zainab ne

Khamosh nigaho'n mein apne baba se ye pucha zainab ne..(2)

1. Jab sham e ghareeba mein jalte khaimo ke sholo ko dekha
phir sue najaf karke faqat..(2)
baba ko pukara zainab ne, pukara zainab ne

2. Bazaar ki bheed mei chalte hue jab yaad aayi apni chadar
phir sar ko jhuka kar der talak..(2)
abbas ko socha zainab ne, socha zainab ne

3. Darbaar mein zalim ne har ek bibi ka naam pukara jab
kulsoom ne dekha zainab ko..(2)
kulsoom ko dekha zainab ne, dekha zainab ne

4. Zindaan mein pehli majlis thi shabbir ki yaad mein matam tha
sajjad ne ghum ka haal kaha..(2)
aur nauha sunaya zainab ne, sunaya zainab ne

5. Akbar ka ghum shabbir ka ghum bhuli to nahi hogi lekin
socho ke aun o mohammad ko..(2)
kis tarha bhulaya zainab ne, bhulaya zainab ne

6. Jis bacchi ko shabbir sada seene pe sulaya karte the
zindaan ki khaak pe kis tarha..(2)
phir usko sulaya zainab ne, sulaya zainab ne

7. Meri behno bhool nahi jaana zainab ne jo paighaam diya
baalo par khaak gira kar bhi..(2)
parde ko bachaya zainab ne, bachaya zainab ne

8. Abbas ke lehje ki nemat, hashim ke lafzo ki izzat
ye nauha padhaya zainab ne..(2)
ye nauha likhaya zainab ne, likhaya zainab ne

Khamosh nigaho'n mein apne baba se ye pucha zainab ne
Haye baba ali..(4)



Popular posts from this blog

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

  Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab Sadqa Hussain Ka Suno, Ham Sab Ilteja Zainab Shabbir Ri Ki Raza Mai Teri Razi Hai Shaamil Tera Sabr To Mola Shabbir Sahiba Mil Tu Fatima, Tu Haider Tu Hassan-e-Mujtaba Tu Ghairat Panjetan Hai Tu Binte Abu Talib Kar Ham Pai Karam Aisa Muskil Pai Ham Ho Ghalib Mushkil Kusha Ki Beti Kar Mushkil-e-Kusha Zainab Ban Kai Hussain Ki Hai Abid Ki Rehnumai Laila Nay Ali Nay Di Tareekh Ki Gawahi Tu Fatima, Tu Ismat Tu Ayat-e-Khuda Zainab Tu Faath Shaam Bibi Tujh Sai Imam Bibi Har Aik Tere Dar Pai Haajat Tamaam Bibi Har Aik Pursadaar Ko Ab Shaam Mai Bula Zainab Khaime Mai Mole Ne Jab Akbar Ki Tilwat Ki Qasim O Ali Asghar Wo In Sai Khitabat Ki Shabbir Ka Bani To Us Baat Hosila Zainab Laiker Dua Aaye Tere Dhar Pai Azaadaryai Tere Bhaiyyo Kai Behto Kai Aaye Haijo Ghamkhaar Yai Ho Mustajaab Sab Nai Maangi Hai Jo Dua Zainab Tu Woh Ali Ki Beti Jo Shaam Mai Ali Hai Tere Hi Sadqe Bibi Mushkil Jo Hal Huwi Hai Mamnoon Hai Jo Tera Khud Rabbay Kibriya Zainab...

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka Soz Lyrics Mir Hasan Mir 2005

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ..(2) 1. Ae hurr teri qismat ne, kyu aaj ye karwat li ..(2) Kya subho ko dekha tha chehra ali akbar ka 2. Shabbir jhulate the abbas ke jhule ko ..(2) Abbas jhulate hai jhula ali akbar ka 3. Pucha gaya yusuf se jab husn ke baare me ..(2) Has kar kaha ye to hai sadqa ali akbar ka ..(2) 4. Laila ne kaha baithu, kis tarha mai saye me ..(2) Phirta hai nigaaho me chehra ali akbar ka ..(2) 5. Pucha gaya jab sheh se kyu kham hai kamar maula ..(2) Bole ke uthaya tha laasha ali akbar ka ..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ...Shared using Nauha Lyrics

Salaam Us Pe Jo Karbal Basa Ke Soya Hai Soz Lyrics Hasan Abbas 2019

SALAAM US PE JO KARBAL BASA KE SOYA HAI Salaam us pe jo karbal basaa ke soya hai Durood us pe jo ghar ko luta ke soya hai Salaam us pe jo khud to ujad gaya lekin Khuda ke deen ki basti basa ke soya hai Ham us husain ko dil se salaam karte haiñ Jo khud ko marziy e haq par mita ke soya hai Salaam us pe ke seh roz khud raha pyaasa Magar jo pyaas wafa ki bujha ke soya hai Hamaare sar pe hai ahesañ janaabe hur ka jo Hunar najaat ka jag ko sikha ke soya hai Salaam karte haiñ us chhe maheene waale ko Ke teer kha ke bhi jo muskuraa ke soya hai Durood un pe ke jin ko habeeb kehte haiñ Jo apne yaar se yaari nibha ke soya hai Hamaari jaaneiñ ho qurbaan husn waale par Jigar pe neze ka jo zakhm kha ke soya hai Salaam syed e sajjad par jo duniya meiñ Gham e husain ki duniya bana ke soya hai Durood us pe ke karbobala ki dharti par Jo laaelaah ki qismat jaga ke soya hai 'Hasan' yun jee ke maro ke kahe ye kal duniya Charaagh e zikr e bahattar jala ke soya hai ...Shared using Nauha Lyrics