Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

KASHTI E DEEN LYRICS - ALI RAZA SURANI 2015 NAUHA

Ali Raza Surani (2015)

Kashti-e-deen
Ya Hussein(as) x4
{Mera Asgher(as) Haye Mera Asgher(as)
Mera Asgher(as) Mera Asgher(as)} x2

Kashti e deeN ne asra dekha x2
Khoon mei ghark na khuda dekha

Kashti e deeN ne asra dekha x2

(1)Goud mei phir na aasake Asgher(as) x2
Muddato maaN ne rasta dekha

Kashti e deeN ne asra dekha x2

(2)KhooN bhare aasmaa(N) ke taro ne x2
Chand imamat ka doobta dekha

Kashti e deeN ne asra dekha x2

(3)Maa hai ran se samajh gaye Asgher(as) x2
Parda khaime ka jab utha dekha

Kashti e deeN ne asra dekha x2

(4)Sari dunya ne ay Ali Asgher(as) x2
Nanhe se dil ka hosla dekha

Kashti e deeN ne asra dekha x2

(5)Zindagi aur maut ka Asgher(as) x2
Muskurahat mei faisla dekha

Kashti e deeN ne asra dekha x2

(6)Lashe Akbar(as) ke paas baith gaye x2
Ab Khuda jaaney Sheh ne kya dekha

Kashti e deeN ne asra dekha x2

(7)Fazl ne sar wahi(N) rakha Shabbir(as) x2
Jis jagah tera naqsh e paa(N) dekha

Kashti e deeN ne asra dekha x2

Khoon mei ghark na khuda dekha
Kashti e deeN ne asra dekha x4

{Mera Asgher(as) Haye Mera Asgher(as)
Mera Asgher(as) Mera Asgher(as)} x2

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015