Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

ELAHI MERA BHI NAAM HO LYRICS - ALI SAFDAR 2008 NAUHA

Ali Safdar (2008)
Elahi mera bhi naam
Elahi mera bhi naam

(Elahi) x3 Elahi mera Bhi Naam Aaye (Imam e Mehdi ke Qafle mein) x2

(Sadaaye Ghaibat Muje Bulaaye) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main
(Elahi) x3 Elahi mera Bhi Naam Aaye (Imam e Mehdi ke Qafle mein) x2

Imamaton Ka Safar Liye Ye imam e awwal ka qafla hai
nahi hai aasan ye saath dena ye ahl-e-maqtal ka qafla hai
(jo mard-e-hur ho wo sath aaye) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main
(Elahi) x3 Elahi mera Bhi Naam Aaye (Imam e Mehdi ke Qafle mein) x2

imam e aakhir ke qafle me jo chaahata hai shareek hona
agar ho jaa(n) ki talab to raah e imam me hai ye jaa(n) bhi khona
(lahu se apne diya jalaye) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main
(Elahi) x3 Elahi mera Bhi Naam Aaye (Imam e Mehdi ke Qafle mein) x2

wo jis ne haqq-e-ada-e-zahra ada kiya ho wo aagay aaye
wafa-e-ghazi se jis ne dars-e-wafa liya ho wo aagay aaye
(wohi wafaao(n) ko aazmae) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main
(Elahi) x3 Elahi mera Bhi Naam Aaye (Imam e Mehdi ke Qafle mein) x2

imam e aakhir ke qafle main sahabiyo ke ye dhang honge
kahi(n) Abuzar ki shaan hogi kahin pe Mesum ke rang honge
(sahabiyon se qadam milayei(n)) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main
(Elahi) x3 Elahi mera Bhi Naam Aaye (Imam e Mehdi ke Qafle mein) x2

ye qafla hai hussainiat ka yahan hidayat na ruk sake gi
yahan pe asghar ki kamsini bhi, shakawaton se na jhuk sake gi
(ke teer kha kar bhi muskurayei(n)) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main
(Elahi) x3 Elahi mera Bhi Naam Aaye (Imam e Mehdi ke Qafle mein) x2

ye kis ki aahai(n) hai(n) qafle me ye kis ke aansu(n) rawa hai logo(n)
ye kon rota hai chupke chupke, ye kon maatam kuna hai logo(n)
(ye kon kehta hai haaye haaye) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main
(Elahi) x3 Elahi mera Bhi Naam Aaye (Imam e Mehdi ke Qafle mein) x2

'hilal' aasa(n) nahi ke ham bhi imam e aakhir ke sath honge
jo log honge sarapa momin unhi ke hathon me hath honge
(wahin chalenge safei(n) banaye) x2 Imam e Mehdi Ke Qafle main
(Elahi) x3 Elahi mera Bhi Naam Aaye (Imam e Mehdi ke Qafle mein) x2

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015