Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

Ayna mustufa lyrics - ALI SAFDAR 2004 NAUHA

Ali Safdar (2004)
Ayna Mustufa
Ayna mustafa

(Ya Mustafa, Ya Murtaza, Ya Fatema, Ya Fatema) x2

aina Mustafa, aina Murtaza, aina Fatema, ai fatema zahra, ai shehzaadie-e-kounain, ai maadare hussein, aayie aur dekhiye phir ek nayi karbala, saj rahi hai, phir dashte karbala par, kisi mazlum ka khun bahaa, phir kisi maasum, shesh maah ke gale par zakhm laga, aina Mustafa, aina Murtaza, aina Fatema, phir kisi ke liye jawaan ke sine pe barchi ka zakhm laga, ai farzande zahra, ai imame zamaana, inteqaame karbala ke liye, zahoor pharmaaie

Aina Mustafa, Aina Murtaza, Aina Fatema, maadare hussein

Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
Phir Yazidi ke fikr ho rahi hai aam, dilse uth na jaae tera ehteraam, ai mere khuda, rabbe subho shaam, ab to bhej de barwaa imaam
Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
Ai mere imaam fatema ke laal, dekhte hai aap ehle haq ka haal, kaise muztarib, kitne purmalaal, sabke lab pe hai, ek hi sawaal
Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
Kitni tankh hai aaj ki fazaa, yaad aa gayi jehde karbala, who muqaabila, jabro sabr kaa, phir yazid hai, darpaae jafaa
Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
Ab ye samje log kya thi karbala, dushmane hussein laakh ashkiyaa, phir bhi shaah ka sar na juk saka, ham usi ko aaj dete hai sadaa
Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
Wangki zad pe hai zist ka chaman, jal rahe hai shehr puk rahe hai ban, karbala najaf, sab shikastatan, al madam imam, ai shahe zaman
Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
Ab magar kahan lashkare husein, hochuke shaheed, yaware husein, sar barehna hai, khwahare husein, kisko de sada dukhtare husein
Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
Dashte karbala hai lahu lahu, deen ko chahiye lashkare hussein
Ya Mustafa, Ya Murtaza, Ya Fatema, Ya Fatema

Popular posts from this blog

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

  Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab Sadqa Hussain Ka Suno, Ham Sab Ilteja Zainab Shabbir Ri Ki Raza Mai Teri Razi Hai Shaamil Tera Sabr To Mola Shabbir Sahiba Mil Tu Fatima, Tu Haider Tu Hassan-e-Mujtaba Tu Ghairat Panjetan Hai Tu Binte Abu Talib Kar Ham Pai Karam Aisa Muskil Pai Ham Ho Ghalib Mushkil Kusha Ki Beti Kar Mushkil-e-Kusha Zainab Ban Kai Hussain Ki Hai Abid Ki Rehnumai Laila Nay Ali Nay Di Tareekh Ki Gawahi Tu Fatima, Tu Ismat Tu Ayat-e-Khuda Zainab Tu Faath Shaam Bibi Tujh Sai Imam Bibi Har Aik Tere Dar Pai Haajat Tamaam Bibi Har Aik Pursadaar Ko Ab Shaam Mai Bula Zainab Khaime Mai Mole Ne Jab Akbar Ki Tilwat Ki Qasim O Ali Asghar Wo In Sai Khitabat Ki Shabbir Ka Bani To Us Baat Hosila Zainab Laiker Dua Aaye Tere Dhar Pai Azaadaryai Tere Bhaiyyo Kai Behto Kai Aaye Haijo Ghamkhaar Yai Ho Mustajaab Sab Nai Maangi Hai Jo Dua Zainab Tu Woh Ali Ki Beti Jo Shaam Mai Ali Hai Tere Hi Sadqe Bibi Mushkil Jo Hal Huwi Hai Mamnoon Hai Jo Tera Khud Rabbay Kibriya Zainab...

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka Soz Lyrics Mir Hasan Mir 2005

Is baat se zahir hai rutba ali akbar ka..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ..(2) 1. Ae hurr teri qismat ne, kyu aaj ye karwat li ..(2) Kya subho ko dekha tha chehra ali akbar ka 2. Shabbir jhulate the abbas ke jhule ko ..(2) Abbas jhulate hai jhula ali akbar ka 3. Pucha gaya yusuf se jab husn ke baare me ..(2) Has kar kaha ye to hai sadqa ali akbar ka ..(2) 4. Laila ne kaha baithu, kis tarha mai saye me ..(2) Phirta hai nigaaho me chehra ali akbar ka ..(2) 5. Pucha gaya jab sheh se kyu kham hai kamar maula ..(2) Bole ke uthaya tha laasha ali akbar ka ..(2) Hota hai azaano me charcha ali akbar ka ...Shared using Nauha Lyrics

Salaam Us Pe Jo Karbal Basa Ke Soya Hai Soz Lyrics Hasan Abbas 2019

SALAAM US PE JO KARBAL BASA KE SOYA HAI Salaam us pe jo karbal basaa ke soya hai Durood us pe jo ghar ko luta ke soya hai Salaam us pe jo khud to ujad gaya lekin Khuda ke deen ki basti basa ke soya hai Ham us husain ko dil se salaam karte haiñ Jo khud ko marziy e haq par mita ke soya hai Salaam us pe ke seh roz khud raha pyaasa Magar jo pyaas wafa ki bujha ke soya hai Hamaare sar pe hai ahesañ janaabe hur ka jo Hunar najaat ka jag ko sikha ke soya hai Salaam karte haiñ us chhe maheene waale ko Ke teer kha ke bhi jo muskuraa ke soya hai Durood un pe ke jin ko habeeb kehte haiñ Jo apne yaar se yaari nibha ke soya hai Hamaari jaaneiñ ho qurbaan husn waale par Jigar pe neze ka jo zakhm kha ke soya hai Salaam syed e sajjad par jo duniya meiñ Gham e husain ki duniya bana ke soya hai Durood us pe ke karbobala ki dharti par Jo laaelaah ki qismat jaga ke soya hai 'Hasan' yun jee ke maro ke kahe ye kal duniya Charaagh e zikr e bahattar jala ke soya hai ...Shared using Nauha Lyrics