Skip to main content

Latest Nauha Update

Ai Shareekatul Hussain Ai Binte Murtaza Zainab lyrics Abbas Haider Lalji Nohay

SALAAM KHAK NASHEENON PE SOGWARON KA LYRICS-MARSIYA


Salaam khaak nasheenon pe sogwaaron ka
Salaam khaak nasheenon pe sogwaaron ka
Ghareeb dete hain pursa tumhaare pyaron ka

Salaam unhein jinhein sharm khaaye jaati hai
Khule saron pe aseeri ki khaak aati hai

Salaam uspe jo zehmat kash-e-salaasil hai
Museebaton mein Imaamat ki pehli manzil hai

Salaam bhejte hain apni shehzaadi par
Ke jisko saunp gaye marte waqt ghar Sarwar

Musaafirat mein jisey be-basi ye dikhlaayi
Nisaar kar diye bachche na bach sakaa bhai

Aseer ho ke jise shaamiyon ke narghey mein
Hussainiyat hai sikhaana Ali ke lehjey mein

Sakina bibi tumhaare ghulam haazir hain
Bujhe jo pyaas to ashqon ke jaam haazir hain

Ye sin ye hashr ye sadme naye naye bibi
Kahaan pe baithi ho khaime to jal gaye bibi

Pahaad raat badi der hai savere mein
Kahaan ho shaam-e-ghareebaan ke ghup andhere mein

Zameen-e-garm yateemi ki sakhtiyaan bibi
Wo seena jis pe ke soti thi ab kahaan bibi

Janaab-e-maadar-e-besheer ko bhi sab ka salaam
Ajeeb waqt hai kya de tasalliyon ke payaam

Abhi kalejey mein ek aag si lagi hogi
Abhi to goad ki garmi na kam hui hogi

Nahin andhere mein kuchh soojhta kahaan dhoonde
Tumhara chaand kahaan chhup gaya kahaan dhoonde

Na is tarah koi kheti hari bhari ujrhi
Tumhari maang bhi ujrhi hai koakh bhi ujrhi

Nahin laeenon mein insaan koi Khuda hafiz
Darinde aur ye bevaarisi Khuda hafiz

Shareek-e-haq ke durood-o-salaam-e-paighambar
Salaam Sayyed-e-lolaq ke lutey ghar par

Salaam tum pe rasool-o-batool ke pyaaro
Salaam mehr-e-Imamat ke gird sayaaro

Salaam mohsin-e-Islam khasta tan laasho
Salaam tum pe shaheedon ke be-kafan laasho

Bachey to agley baras hum hain aur ye gham phir hai
Jo chal basey to ye apna salaam-e-aakhir hai

Popular posts from this blog

DUA FATIMA KI HUM EHLE AZA HAIN - SHADMAN RAZA 2007 MANQABAT

Shadman Raza (2007) Dua Fatima Ki Dua fatima ki hum ehle aza hai hume aazmane ki koshish na karna muqallid hai meesam ke daaro rasan se kabhi bhi darane ki koshish na karna 1. Wilayat ke munkir se ye keh rahi hai lahu ki taharat sada de rahi hai najaf ki zami hai saqifa nahi hai yaha aap aane ki koshish na karna dua fatima ki.. 2. Waha bhi ali ne ki mushkil kushai lehed ke sirhane se aawaaz aai azadar e sarwar hai sone do isko farishto jagane ki koshish na karna dua fatima ki.. 3. Kajawo ka mimbar banaya nabi ne ye hukme khuda hai bataya nabi ne ali ke siwa janasheen e mohammad kisi ko banane ki koshish na karna dua fatima ki.. 4. Musalsal ha pehra waha ambiya ka jaha par saja hai alam bawafa ka khabardar kehde koi mushkilo se waha aane jane ki koshish na karna dua fatima ki.. 5. Khuda hukm deta hai mere Mohammad kiye jaye sajdo pe sajde Mohammad husain aapki pusht par aagaye hai abhi sar uthane ki koshish na karna dua fatima ki.. 6. Khuda ki qasa...

ZIYARAT E AMEENULLAH (ENGLISH, ARABIC,ROMAN ENGLISH

ZIYARAT AMEENULLAH The fourth comprehensive form of ziyarah is the previously cited form known as Ziyarah Aminullah. It has been placed as the second form of ziyarah of Imam ‘Ali Amir al-Mu’minin (‘a). This form begins with the following statement: اَلسَّلَامُ عَلَيْكَ يَا اَمِيْنَ اللهِ فِىۤ اَرْضِهَ وَ حُجَّتَهُ عَلٰى عِبَادِهِ‏ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِىْ اللهِ Through considerable chain of authority, it is narrated on the authority of Jabir (ibn ‘Abdullah al-Ansari) on the authority of Imam al-Baqir (‘a) that Imam Zayn al-’Abidin (‘a), once, visited the holy tomb of Imam ‘Ali (‘a). He stood at the tomb, wept, and pronounced the following words: اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْنَ اللّٰهِ فِیْ اَرْضِهٖ وَ حُجَّتَهٗ عَلٰی عِبَادِهٖ اَلسَّلَامُ عَلَیْكَ یَا اَمِیْرَ الْمُؤْمِنِیْنَ اَشْهَدُ اَنَّكَ جَاهَدْتَ فِی اللّٰهِ حَقَّ جِهَادِهٖ وَ عَمِلْتَ بِكِتَابِهٖ وَ اتَّبَعْتَ سُنَنَ نَبِیِّهٖ صَلَّی اللّٰهُ عَلَیْهِ وَ اٰلِهٖ حَتّٰی دَعَاكَ اللّٰهُ اِلیٰ جِوَارِهٖ فَقَبَضَكَ ...

HAIDER HAIDER HAIDER LYRICS - FARHAN ALI WARIS MANQABAT 2015